Azmaish

35 11 0
                                    

Zindage insan ko har waqt azmate ha, Arfa k liya zindage kabhi asan nhi rahe, usa zindage ma jitni bh khushiya mile ya jo bh log uski zindage ma ae wo hamesha ik choti mudat k liya ae ya agr koi khushi kise ki waja sa usa hue to wo khushi bh chand dino k mehman he hua karty he. Hamza ka sath bh Arfa ki zindage ma kuch waqt k liya he tha, unka relation ko abhi 2 saal bh nhi hue ka unka rishta khtam hogaya. Arfa ki zindage ma logo k daira bht kam tha chand he log uski zindage ma thy jin k hone sa usa himmat aur khushi milti the, aur unhe logo na usa behad dukh diya. Hamza na apne nashy ki halat ma Arfa ke behad tazlil ki bilkul wese he jese Arfa na  2 saal pehly uski ki the lekin faraq sirf itna tha k us wqt logo k hujoom k bajae sirf dost thy, aur us waqt jhazbati lagao nhi tha, lekin is bar Arfa k khushio k sath sath uski muhbbat bh chale gae, Arfa k shumar un logo ma hota ha jo sare zindage ahsas e kamtari k shikar hote ha, aur jab koi unki zindage ma aje tu wo un k liya zayda ahsas aur fikar mand hoty. Arfa na Hamza k sath 2 saal bht achayguzare, Apne chat pa bethe hatho ma chae ka mug liye wo kae arse bad us jaga p ake beth gae jaha wo aksar dukhi hoke betha karti the aur apne ghum ko bhulane ki koshish karti, aj aik mudat bad wo dubara waha ae ankho ma ansu bikhry baal khayalo ma ghum Arfa ik kone ma khare apne sath hone wale aj k waqiye ko yaad kar rahe thy, wo waqiya wo batain wo andaz bar bar uski ankho k samne araha tha, Wo shayad he kabhi is tarha dukhi hue jis tarha aj he,  Pehla k ghum aur ab ke ghum ma sirf itna faraq tha k usa hamesha sa pata tha k wo kuch bh karle wo apne ghr walo k liya larka ban kr khush nhi kar sakte wo aik aese ghr a palibari ha jaha larkio ko koi murtaba nh milta us na tang nazar ghr ma usna apne had sa zayda bardasht karke unka dil jeetna ki koshish ki unka dil ma apne liya pyar jagane k liya usna din raat aik kardiye the lekin phr bh usa wo muhbbat wo payar nhi mila, Lekin Hamza sa milne wale ghum ki usa bilkul tawaqa nhi the, Hamza sa uski ummed usky tawuqaat ziyda the, Hamza na pehla usa behad suhane khuwab dikhae phr usa un khuwabo ma jeena ka adi banaya phr ik dum sa uska sare khuwab tor diye the. Apne dhuma ma ghum ik jaga khare khare Arfa bs roe ja rahe thi, usna Asman ki taraf dekha aur Hath utha kar rone lage " Ya mere khuda mere sath esa kio hota he, kio mjha koi khushi zayda dair k liya nhi milte, ya Allah kio usa mere zindage ma bheja, kio mere dil ma uska liya mubbat paida ki kio Allah pak kio.

Hamza raat jab utha tu uska nasha utar gaya tha, zayda peena ki waja sa uska sir ma dard ho raha tha, bed sa uth kar wo fresh hone gaya fresh hone ka bad jab us na room pa sahe sa nazar ghumae tu usa andaza hua wo uska ghr nhi tha wo is waqt Alisha k ghr pa he, ya dekh kar usa behad herrani hue kionka wo hamesha limit ma peeta tha aur usa itna hosh rehta tha k wo apne ghr sukon sa ja sake, Wo herrani sa room ko dekh raha tha k itne ma Alisha kamre ma dakhil hue,

Alisha: Uth gaye janab utar gaya nasha ya abh bh kuch baki he? tanzia hase k sath hatho ma chae ka cup liya wo room ma dakhil hue,

Hamza: jamaelete hue us na apne baalo ma hath phera aur Alisha k pas ake tray sa chae ka cup uthaya aur kurse pa beth gaya Alisha bh uski baraber wale chair p ake beth gae, chae kp ghunt lete hue jab uski nazar ghari pa aprhe tu 6 baj rahe the, ya dekh wo ik dum bolne laga Abhi tu sirf 6 he baje ha chalo ma phr ghar k liya nikalta ami pareshanna hwjae.

Alisha: Alisha hasty hue Hamza ko dekhne lage, mere masoom dost ya sham k nhi subah k 6 baj rahe ha, ap na zayda pee le the tu apko andaza nhi hua k ap kitna soe ha.

Hamza: uska mathe pa ik dum bal ane lage chae k lie hue ghunt usnadubara cup ma phenki hain kya subah k 6 ho rahe ma pori raat sota raha kese aj tk esa nh hua, wo ik dum ghabrana shrw hogaya uska mathe pa ab paseena ana shrow hogya, Alisha ki taraf nazre ghuma k wo foran pochne laaga tum na ami sa kya bola?

Alisha: Yahe ktumhara phone kharab hogaya aur hum sub dost aj mere ghr combine study karenge tu Hamza na kaha ma apko bata du.

Hamza: Alisha ki baat sun kar wo ik dum relax hoke kurse p take laga k beth gaya, Shukar tm na aqal sa kam liya warna mere tu aj band bajne wale the. Hamza ko ik dum Arfa k khayal aya, usna ik dum mobile dhundne k liya jaib ma hath dala mera mobile kaha Arfa ki koi call ae hoge ya nhi pata nh wo kitna ghussa kar rahe hoge wo mu he mu ma barbarnae laga.

Alisha: Ab us sa kya baat krne tm na? Alisha na bare heraan hoker Hamza ki taraf dekh kar pocha.

Hamza: mobile nikal kar bolne laga kya mtlb tmhara? mobile on krne k bad wo heraan hain! ik call bh nh ae? na msgs Allah khair! wo phr pareshani ma barbarane laga

Alisha: Tum kya pagal hu itnezalil hone k bad wo ab tmha kio msg karege? koi bh itna gira hua nhi joo itne zalalt k bad msg kare, Alisha na bare rawa sa bola.

Hamza: Mene zalil kiya pagal hu ma q krunga yr mjha batao tu k asal baat he kya?

Alisha: Itna mat piya kru k kuch yaad na rahe. Akisha na chae k gunt liye tanz karty hue bola.

Hamza: Tum asal baat p aoge? Hamza na ab ghusse ma Alisha sa mukhatib hoke bola.

Alisha: Ghussa nhi karo bata te hu, ALisha na Hamza ko sare batain batae pora scene bina izafi alfaz k bilkuk lafz ba lafz bataya, Hamza k shakal p tu jese 12 bajhne lage, uski hawaiya ghum the us na apne mathe pa zor sa hath mara aur kurse sa taaik laga k bolne laga ye mena kya kardiya. Usko ik dam apne kiye pa pachtawa hone laga thori dair k liya Hamza behad tension m agya Phr uth k us na apne bag sa ciggrette nikale aur peerna shrow kardiya Alisha khamoshi sabethe uski harkato dekh rahe the, usa ya nhi pata tha k Hamza kese k liya itna serious bh ho sakta ha, kionka wo Hamza ko pehla sa nhi jante the, tu usa is baat k ilm bh nhi tha, aur Hamza bh yahe chahta tha k kese ko uska aur Arfa k relation ka bare ma pata na chale, Adhi cigrette peena k bad Hamza Alisha sa bolne laga, Ma kio fikar kar raha uski dafa karo mere zindage ha wo hoti kon mjha kuch kehna wale, Bilkul ma bh wahe heraan tm uska liya kio pareshan hu Alisha na bola pass ake us na Hamza k hath sa ciggrette le aur Kash laga k bolne lage ya choty log hoty he ese ha chalo kae nashta krne chalte, Alisha na Hamza ko offer ki aur Hamza uska offer ko qabol kakre uska sath nashty k liya nikal gaya.

Arfa ki sare raat chat pa he guzar gae. Lubna k call sa uski ankh khule tu wo chaht pa apne jhole par laiti hue the, mobile ki awaz sa uski ankh khuli tu wo heraan the khud ko chaht pa paker, thori dair wo soch ma he ghum  th k wo kese nechy nh gae kese yahe sote reh gae itne ma Lubna ki call bh kat hogae, Arfa ko call k dehan he nhi raha wo bhagte hue nechy ae aur kitchen ki taraf chale gae, Nashta bana ne k bad jab wo nashta leke apne ami k room ma ae aur apne ami ko dawae de k nashta karne lage, ik dum sa usa yaad aya k abu nazar nhi arahe tu usna ami sa pocha, Abu kaha he? wo nazar nhi arahy,tu uski ami na bataya k fajar ma unko koi call ae tu wo bina batae nikal gae, itne ma Arfa k mobile dubara bajne laga, LLubna ki call the, usna call uthae;

Arfa: Hello Lubna

Lubna: Arfa tum theek hu? yar mjha abh  pata chala uncle ka bht afsos hua?

Arfa: Arfa ki tu jese sas he atak gae kya matlb ma smjhe nh apne jaga sa uth kar wo room sa bahar ae, aur pochne lage kya hua abu ko? uske mathe pa bal ane lag gae dil ki dharkan ma taizi ane lage.

Lubna: Yar  Subah abu news dekh rahe thy tu us ma dekha rahe the ik  kapro k market ma agh lag gae jis ki waja sa sare dukain jal gae, aur abu bata rahe th k tmhare abu ki bh pori dukan jal gae

Arfa: Ya sun k uski halat kharab agh lag gae kese? abu jabh subah subah bina batae nikal gae, usna  call kate aur jake ami k camre ma tv on krke dekha tu us ma yahe sb dikha rahe thy jo abhi thori dair pehly lubna na usa bataya. Ya sb dekh kar dono ma betio ki halat bure hogae kionka unky ghr k sarmaya yahe dukan tha Mr.Ahmed na apne sare zindage ki kamae sa is karobar k aghaz kiya tha aur ab ik dum sa qarobar khtam, unhe Mr. Ahmed ki fikar hone lage the, Arfa na jaldi sa apne abu ko call milaya pehly tu kese na call nhi uthae musal sal 4 bar call karne k bad kese na uthae;

Arfa; Hello abu ap kaha he, ap theek ha na, Arfa ki awaz ma laraz ankho ma ansu thy 

dusre taraf sa jo awaz ae wo uska abu ki nhi the, wo koi aur tha

Dekhe beta ap ka walid ko dil k dora para ha wo abh is waqt hospital ma ha ap log jaldi sa ajae, ya sun kar Arfa ki awaz band hogae, usna call rakh k apni ami ko bataya aur dono ma beti bhage bhage hospital phnchy tu buri khabr unky intazar ma waha bethe the, emergency department ma jab wo phnche tu waha pa mujood Dr na unko bataya k unko abu ko bht seviour attack aya jis ki waja sa unki on the spot death hogae.

Ya khabar tu dono ma betio paar jese pahar ki taraha toot para dono ik dusre k sath lipat kar behad rue, Ghr k sarbarah k hath ab inka uper sa hat chuka thy, Arfa yateem aur uski ma bewa hogae thy, Zindage inka liya aik nae azmaish le ae, aur azmaish inka liya behad khatar nak the.

" Azmaish ka dusara name he Zindage ha"

"Azmaish jitne sakht hoti Inam bh hamesha utna bara he milta he"


Jadojehad (Struggle) Where stories live. Discover now