Zindage ki talkhio ko uboor karty hue, bila akhir Medical college k akhri saal aa phuncha. Is akhriimtihan tak phunchne k liya Arfa na bht kuch khoya, apni qeemti sa qeemti cheez khodi, Apna support. apna payar, apna sukoon, apna bachpan sub ya sub khoker us na apni ma k payar aur apne baap ki khuwaish ko paya aur wo aitmad jis na isko itna mazboot kardiya tha k is na apne 3 saal bagair walid aur bagair kese k sath k akele mehnat ki coachings de tutions de,, khud parha clinics ma job kiya apne pore ghr ka boj uthaya, be sahara maa k sahara bane. Apne kamre k ik kone ma bethi Mrs.Ahmed Arfa ki tasveer liya uski mehnaat aur uski ahsanat aur apne bure sulook ko yaad kiye roe ja rahe the, aj jab wo Dr banny wale ha aj inko beti ki qadaro qemaat mehsos hone lage, aj inko ehsas hogaya k zindage ma sirf bete he nhi betiya bh ma baap k buraphe k sahara ban saktie ha, Arfa ki tasveer ko dupty sa saaf krke table pa rakh kr hath pehla kar apni beti ki kamyabi k liya duaa krne lage;
" Aye mere Khuda mujha maaf kar mola, me tere di hue Rehmat ki qadar na kar saki, tere rehmat ko mene hamesha takleef di aur bojh smjha aj tu na us ke sahare chor kar ya ahsas dilaya aulaad chae larka hu ya larki ma baap k liya rehmat aur naimat k bais hoti ha, Aye Allah tera lakh shukar tu na mjha Arfa jese aulaad sa nawaza, Mere yahe duaa ha Allah sub ko iski jese aulaad de, Ya Allah ispa koi pareshani ane nhi dena, na isko kabhi kamzor parne dena Ameen" Duaa k bad unhone hath apne mu p phere aur palat kar dekha tu Arfa pass kahre muskura ker unhedekh rae white coat pehny gale ma stethoscope laage wo apni ma ko muskura kar payar bhari nazro sa dekh rahe th, shayd us na apni ma ki duaa nhi sune, Mrs.Ahmed Arfa ko dekh kar behad khush hue aur uth kar usa gale sa lagaya aur matha chum kar kaha Allah tumha har nazre bad sa bachae Ameen
Arfa: Ameen. ami jan apki dawai k waqt hogaya ya le dawain aur dawai kha kr ap khana khane ajae me aj aka liya bahar sa khana lae hu. Arfa k jane k bad Mrs.Ahmed na dawae le, aur khana khane k liya bhar agae dono ma beti na hasty bolty khana khaya, khane k bad Mrs.Ahmed aram karne k liya apne ghr gae aur Arfa barten dhoke apne room ma parhne k liya chale gae.
Arfa apne room ma wapis ae tu qareeb 10 baj rahe the, wo behad thak gae the, usa sona bh tha lekin final exams qareeb hone ki waja sa wo sone sa guraiz kr rahe th aur ya silsila pechly ik hafty sa chal raha tha. Wo parhnne bethi the k Lubna ki call ane lage,
Lubna: As salam o alikum Arfa! kya haal he?
Arfa: Walikum salam ma tu theek Alhumduliallah tum sunao?
Lubna: Bus yaar khush ho finally ab hum graduate hone wale bs 2 viva k bad. Lubna ki awaz sa uski khushi k pata ba asani lag raha tha.
Arfa: Qasmy yaar mujha bhi behad khushi ho rahe ha ya soch kar baba ki khuwaish pori hone wale ha soon hum Drs kehlaenge yaya, Arfa ki ankho ma nami thi kionka uska is khuwab ko pora hoty dekh uska baba uska sath nhi, lekin guzishta saalo ma Arfa ma ik tabdeeli ya zarori ae k baat baat p ronausna chor diya wo ab pehly k muqable kafi mazboot hogae th.
Lubna: Han yaar Bs waqt kese guzar gaya pata he nhi chala, thori dair idhr udhar ki baatain hoti rahe qareeb adhe ghnate bad in dono ki batain khatam hue, mobile rakhne k bad Arfa apne study tabel per beth gae aur parhty parhty wo wahe so gae Qareeb 4 baje usky mobile k Alaram bajne laga wo chunk kar uthe alrm band kiya aur tahajud parhne beth gae uska bad usna fajar ki namaz tak Quran parha, aur fajar k bad nashta bana ne nechy chale gae. Namaz Quran ki tilawat ya sb Arfa ki adat ban gae the aur Duniya aur Akhrat ki kamyabi bh yahe ha, Arfa ki anthak mehnat k sath uska khuda p yaqeen namaz aur quran in sub na bh uska behad sath diya jis ki badolat wo kamyab dr banny ja rahe th.
Nashty k bad wo exam dene k liya college gae, final year final viva Arfa bht zayda nervous the, Aj surgery ka final viva tha usko surgery ma puri command hasil the lekin exam s pehly hamesha isnan ko tension hoti ha chae uski tayari kitni ache he q na ho examination hall ma jane sa pehly usna Allah s duaain ki ayatain parhi aur viva dene k lia ander chale gae. 10 min k taweel viva k bad jab wo examination room sa bahar ae tu uska chehry k tasuraat badly hue thy wo behad khush aur khushi sa cheekti hue bahar ae aur ruksar ko gale sa lagaya;
Arfa: Ya mera ab tak ka sub sa behtreen viva hua he cheekty hue us na kas kar Ruksar ko hug kiya,, pata ha sir na mujha apne hospital ma apna assistant k offer bh de ha.
Ruksar: Arey wah! Bht Bht mubarak mere jan.
Arfa na mobile nikala aur foran apne ghr k number p call kiya. thori dair call bajte rahe phr ik dum sa Mrs.Ahmed na call uthae.
Mrs.Ahmed: hello Assalam o alikum
Arfa: Walikum salam ami ma Arfa.
Mrs.Ahmed: Arey beti bolo bolo kesa hua viva, larzti awaz ma khushi khushi us na apni beti sa pocha.
Arfa: Ami jaan bht bht bht achaa hua aj tak sub se best hua ha, aur apko pata ha ami sir na mujha apne sath surgery ma assistant k tor par kam krne ki offer de ha
Mrs.Ahmed: Arey wah! phr tm na kya jawab diya
Arfa: Mene bola ha k me ami sa poch k bataonge.
Mrs.Ahmed: Arey mera bacha mujha kya masla hoga aur mujh sa zayda apko pata in cheezo k, bus itna kahunge beta zindage hame moqe bht kam dete ha bus ese moko ko jane na dena.
Arfa: ji ami. Arfa na apne ami sa baat krne k bad jab viva end hua tu wo sir k pass gae aur unko bayta diya k wo raazi ha job k liya, sir na us ko uski job cnfrm kardi.
Arfa ka akhri sal bht acha guzra usky exams k kamyabi k badusa job bh mil gae the, aik week ka gap k bad usa apne job start karne the.
Allah pak insan ko uski mehnat k phal hamesha deta ha wo bus apne bande k mehnat aur lagan dekhta ha, Arfa na bh apni mehnat aur lagan sa bina kese k support aur sifarish k apni zindage akele lar kar khud he ya maqam hasil kiya k graduate sa pehla he usa job mil gae th. Graduation party ko abh 2 hafty baki the, abhi degree ane bh baki the, lekin Arfa ki kabliyat sa sub wakif thy aur sub janty thy k usa apne college k hospital ma job zaror milege aur esa he hua.
Hamza ae ko adato ki waja sa 2 baar fail hua jis ki waja sa uska 2 ssal ka nuqsan hua, 2 saal k nuqsan aur uski ami k intiqal na usko ghaflat ki nend sa jaga diya tha, lekin us na jagne ma itne dair karde th k usna apni shohraaat apna maqam apna payar sub kho diya tha.
Lubna, Sonia,Ruksar,Aroosa sub na bh apne apne college ma achay sa kamyabi hasil ki aur sub dost apne apne pasand k course ma specialization k liya agy barhne ko tayar thy.
Arfa ko dil k doctor banny ma behad dilchasp thi aur itifaq sa usko Jis surgeon teacher na offer di wo bh dil k mashoor drs masa ik thy.
" Hatho k lakeroo ma he agr likhi qismat hoti, tu Allah insan ko ungliya kabhi nhi deta"
YOU ARE READING
Jadojehad (Struggle)
AdventureThe story of a girl who struggle hard for her dreams. Living in a Conservative family where a girl is not allowed to full fill her dream, in this type of family Arfa fights and successfully fullfill her dreams