Hussain: Hello Arfa! gare ma beth ty hue, Hussain na Arfa ko call milae,
Arfa: Hi Hussain. phone speaker pa krke table pa rakh ke Arfa bal bana ne ma masroof th.
Hussain: Ap tayar he? ma bus 15 min ma ajaunga.
Arfa: Han ma tayar hu, bs baal bana rahe,
Hussain: okay see you then! phone rakh ka Hussain na gari start ki aur nikal gaya.
Hussain aj Arfa ko Hospital ki construction dikhane le ja raha tha, joke ese location pa tha jaha sehri log aur dehati log ba asani waha aa ja sake.
Arfa aj kafi arse bad dobara bare shoq sa tayar hue ha, aik bary arse k bad usa koi khushi mile koi maqsad mila zindage ma jisa wo pora karna chahti thi. Hamza k bad ya pehla koi mard ha jis ka sath Arfa khud ko mehfoz mehsos karne lage thi shayd Hamza sa bh zayda, Hussain Hamza k muqable blkl bh acha nhi tha, lekin Ikhlaq ma uska koi muqabala nh, Hussain sanjeeda mizaj k malik ik self made man tha, jis ka ghr har asaesh the, lekin iska bawjood Hussain ma magrori nh thi.
Mrs.Ahmed Arfa ko is tarha tayar dekh kar behad khush hue, aur unhone pass ake apne beti ka matha chuma,
Mrs Ahmed: Masha Allah bht payari lag rahe mere beti, tmhare khushio p kese ki nazar na lage . Arfa k sar sa hath pher k uski ami na nazar utare desi tareke sa.
Arfa: Are ami mjha kis ki nazar lagne Arfa hasty hue bole.
itne ma bahar darwaze sa dastak ki awaz ae.
Arfa: Lagta ha Hussain agae, Arfa na darwaze ki taraf dekhty hue bola, ma dekh k ate hu, ya bol kar Arfa darwaza kholne k liya nikal gae, Mrs Ahmed bh Arfa k sath uska pechy pechy nikal gae dekhna k liya.
Arfa na darwaza khola aur kholte hue muskurate hue bole;
Arfa: As salam o alikum Ander ajae,
Hussain: Muskurate hue jawab diya walikum salam, aur ander ate he bola Shukriya,
Arfa na Ami ki taraf dkhty hue bola ami ya Dr Hussain ha, aur Hussain ya mere ami ha.
Hussain: As salam o alikum anti kya haal he apke Hussain na sar jhuka ke muskura ke ba adab salam kiya.
Mrs Ahmed: Walikum salam beta, jeety rahu khush rahu, Mrs Ahmed na sar pa hath rakhty hue Hussain ko duain de.
betu betha ap kya lenge thanda garm? Mrs Ahmed na muskura kr bht payar sa Hussain sa pocha, Arfa waha khare muskura kr apniami aur Hussain ko dekh rahe th, Arfa ko wo din yaad aya Jab wo Hamza sa mili bh nhi the, aur lubna k jhooty bayan par usky ghr walo na kis tarha uski kirdar kashi ki th. uski ankho ma ansu agae thy lekin us na wo saa kiye aur muskura ker apne ami k pas ake beth gae aur Hussain unki samne wale kursi pa ake beth gaya, Thori si rasmi guftuge hue aur itne ma Mrs Ahmed na Arfa ko chae k liya bhj diya, Arfa chae bana ne chale gae tu Mrs Ahmed na Hussain ko Arfa k past k bare ma sare batain batae k kis tarha us na mehnat krke us na ya maqam hasil kiya, aur wo kitni sanjeeda ha iske project ko leke, Hussain ko andaza hogaya k kio Arfa na itne sare details nikale hospital k liya kio itne searching ki, Hussain k dil ma Arfa k liya izzat aur barh gae kio ka Arfa bh uski tarha mehnat krke is maqam p phnche ha.
Inki guftugo chal he rahe thi k Arfa chae aur sath ma refreshment le ae. Teeno na mil kar chae pi, Hussain ko Arfa k hath ke chae bht pasand ae lekin us na uski ami k samne uska chae ki tareef nhi ki, wo uska samnekrna chahta tha.
Thori dair ki rasme guftugo k bad Arfa aur Hussain hospital ka construction site p nikal gae.
Thore musafat k bad, Hussain na Arfa ko dekh kar kaha tm chae bht acha banate hu.
Arfa na Hussain ki taraf dekha herange sa aur muskura kar kaha Shukriya :)
Hussain: pleasure :) Tmhare ami kafi achi khatoon ha bht acha laga un sa baat krke,
Arfa: Han bht pyar karti ha mujh sa,
Hussain: so tu ha ab wo kio karti ha ya bh ma janta hu! Muskura ke Arfa sa nazre chura kr us na kaha.
Arfa muskurate muskurate ik dum dhang reh gae Kya mtlb?
Hussain: Ami na mjha sb bataya k tum kin mushkilat sa guzar kar yaha phnche hu.
Arfa: Aami na apko sub bataya?
Hussain: Ji sub bataya, ghabrao nh ma tmha judge nh krunga, balke matu kafi impress hua ho tum sa,
Arfa: Impress?? mujh sa? Arfa na kafi herange k izhar kiya.
Hussain: Kio tum sa kya koi impress nhi ho sakta? Cherna wale andaz ma Hussain na Arfa ko bola, dono k darmiyan be taklufi si barhne lage, dono k darmiyan be takulfi ki waja sirf wahe khushosiyat ha jo dono ma ik jese thi, Dono zindage k us stage pa the jaha insan fuzol kharafato sa hat jata ha.Dono k vision am logo sa mukhtalif thy, wo Dr k profession ma kamane nh balke insani khidmat k liya ae thy.
Arfa: Mjha kabhi ya sub sochne ka mokanhi mila na mene kabhi iski zarort jane k ma kese ko impress kru, aur na he ab... Arfa kehty kehty ruk gae.
Hussain: ab? Arfa ki tarf sawliya andaz ma dekhty hue bola.
Arfa: nhi kuch nh bs ik bura tajurba raha zindage ka/
Hussain: Batana chahti hu tu you can as i told you i'll not judge you. samne dekh kar kandhy uchakty hue Hussain na bola.
Arfa: Old long boring story ha ap bore hwjaoge. Arfa na bezarge k andaz ma bola jese wo ab apne past ko yaad krke dukhi nh hona chahti.
Hussain: Rasta abh kafi ha chaho tu suna sakte hu front glass sa Arfa ki tarf dekhty hussain na bola.
Arfa: ufhh ik gheri sas leke us na Hussain ki taraf dekha, aur thori dair ma us na Hamza k bare ma Hussain ko sub kuch bataya, Kis tarha sa dosti hue, kese usna uski help ki kese wo sath medical college ma ae aur phr kese us na uski tazleel ki, aur kese ilaj k bad usna donbara usa zalil kiya.
Hussain: Allah o Akber duniya ma ese ehsan faramosh log bh hoty he ya mene aj he jana ha. Well tum dil chota na kro Allah insan m ese log zaror bhjta ha jo inko sabaq sikhae aur logo ki pehchan sekha de take wo age ese koi galti na kare.
Arfa: nam ankho sa uski tarf dekha aur heran hue uski baat sun kr k kese koi itna smjhdar ho skta ha, wo itna mature kese ha, Hussain ki batain uska dil ma bs rahe thi. thori dair ki khamoshi k bad Arfa bole Thankyou, duppte sa ansu saaf karty hue bole.
Hussain: Are thankyou kis liya? aur is ma rone ki kya baat. khair h it's part of life.
Arfa na muskura kar usa dekha.
Thori dair ma dono Hospital site phnch gae, Hospital k kam bht taizi sa chal raha tha, Hussain na Arfa ko naqshe aur animated videos k through dikhaya k unka hospital kesa hoga unki service kese hunge aur kn kon sa mulk sa experties unka sath mil kar kam kareng, Arfa ya sub sun kar behad heran aur khush hogae k uska mulk ma itna jadeed setup hone wala tha aur wo is jadeed setup k hisa banne wale thi.
Arfa aur Hussain k bech ma be taklufi barhne lage, aur aj ki is mulaqat ma dono k bech ma akfi achi dosti aur understanding paida hone lage thi.
YOU ARE READING
Jadojehad (Struggle)
AdventureThe story of a girl who struggle hard for her dreams. Living in a Conservative family where a girl is not allowed to full fill her dream, in this type of family Arfa fights and successfully fullfill her dreams