Baap ka saya sar sa uth gaya, qarobar ma nuqsan, bemaar ma, Dr banny ka khuwab aur Payar ma dhoka Aik he waqt ma Arfa par pareshanio k pahar toot para mushkil waqt tooty dil ka sath ab ma ki zimadari bhi usky kandho pa agae, Arfa khud behad kamzoor aur takleef ma the, usky dil pehly he Hamza ki bewafai sa toota hua tha aur uspar usky abu k intiqal na usko dukh ma mazeed izafa kardiya, Hamza k bad ab Mr.Ahmed bhi usa chor gae, Mr.Ahmed aur Hamza Arfa k 2 wahid sahara thy jis par usa behad bhrosa tha k zindage k har mamly ma wo uska sath denge lekin bad qismati sa dono sath chor gae shuru k ik hafty tak Arfa kahe nhi gae is mushkil waqt ma Sonia aur Lubna na apna farz bakhubi nibhaya aur uska sath khare rahe, Arfa na Lubna sa mali madad lene sa mana kiya kionka wo khud dar larki th us na aj tak apne walid k age hath nhi pehlae tu aj is mushkil waqt ma us sa paise kese lete.
Lubna: Arfa ma chahti hu k ma tmhare madad karu, tm ya kuch paise rakh lo.Arfa ka pass ake usna envelop hath m dabae uska hath ma rakha.
Arfa: usna ankha utha k Lubna ko herani sa dekhamaur ik dum chunk ka mana kiya nhi yar lubna ma ya nh le sakti, please mjha force na kru
Lubna: Yar me tmhare dost hum itne saal sa sath ha, ya ma tmha apne khushi sa de rahe apna farz smjh k, khuda na khuwasta tmha koi necha dekhnae k liya nhi de rahe yar. Lubna Arfa k inkar par mu latkae usa kahil krne ki koshis ma lage hue,
Arfa: Nhi yar Lubna ese baat nhi bus mera zameer igazt nhi deta mujha k me ese kese sa madad lo, aur tm kab tak mere madad kruge aik saal 2 saal 3 saal? kitne saal! sare zindage tu nhi kar sakti na, agr tum waqai mere madad karna chahty hu tu please mere liya duaa karo k Allah mujha itni himmat de ma is zalim aur matlabi duniya sa lar saku aur apne pairo par khare hoker apne zimadare puri kar saku aur duniya ko dikha saku k sirf larky he ma baap ka sahara nhi ban sakty larkia bh ban sakti he. Arfa na bina aik ansu bahae lubna ki ankho ma ankhe dal k ya sub kaha lubna ik dum heraan reh gae us na apne paise muthesa daboch k apna hath pechay kr liya aur fakhriya andaz sa kehna lage
Lubna: Ma janti hu tm karskti hu, u can do it mere sare duaain tmhare sath ha. Lubna ne Arfa ko gale sa lagaya aur Arfa na uska shukriya ada kiya.
Mr.Ahmed k intiqal k bad ab uska ghr wale uski biwi aur bacho ki khair kheriyat k liya age ane lage Mr.Ahmed k bare bhai Mr. Qayum na unki biwi sa kaha ;
MR.Qayoum: Dekhain Bhabhi bhai tu chale gae aur ap sub ki zimadare hum sb p agae ha tu ma chahta hu is zimdare ko jald az jald pura kiya jae, Arfa bh kamre ma mujood the uske mate p ik dum bal ane lage.
Mrs.Ahmed: Kya matlab?
Mr.Qayoum: Ma ya chahta hu apki beti Arfa aur mere bete Mustafa ki shadi kardi jae tu wo bh apka sath is ghr ma rehna lagega is tarhaghar ma mard bh ajaega aur kamne wala ap logo pa koi baat bh nh kar skta.
Arfa: Intihae adab k sath us na apne taya jan ko mukhatib kiya. Taya jaan ma abhi par rahe hu, Dr banna baba k khuwab tha mujha apne baba k khuwab pora karna ha tu is liya abhi shadi k sawal he nhi uth ta, aur bare mazraat ma kese ese larke sa shadi nh karna chahti jo kuch kam tu karta he nhi aur phr ghr jamae ban k rahe. Arfa abh baat kar he rahe th k Mrs.Ahmed na bh apni baat kehna shrow kardiya
Mrs.Ahmed: Unka hamesha sa khuwab tha k hamre bachi Arfa Dr banne khub name kamae aur kese achay dr sa phr hu uski shadi kardainge, hamre ik he beti aur ise sa hamre sare khuwab jury thy lehaza mazraat ap bare ha lekin ma apki ya baat nh man sakti, Ma k mu sa ya sb Arfa pehli bar sun rahe thi aur ya alfaz usa kamzoor aur rona k bajae ab mazboot kaar rahy thy
Mr.Qayoum: Bhabhi jan ap log josh ma kuch zayda bol gae ha, apko shayad pata nhi abh duniya ka, aur rahe baat mere bete ki tu bhaleus na kuch nh parha mera pora qarobar uska he ha wo chalega age, uska liya risho ki line ha lkn Ahmed na apna boj bh mere kandhy dal diya jabh mene socha ik he sath sare kam nipat jaenge. bare be dil aur ghuro ma pao p pao rakhe mucho ko tao dete hua Mr.Qayoum na unko necha dekhaya.
Mrs.Ahmed: MAaf kijiyega mere beti kese pa boj nh hum apna guzara karlenge ap ja sakty he, mehrbani krke dubara nhi ayega.Mrs.Ahmed ko unka andaz itna bura laga k unhona ghusse ma ake unko khari khari suna de.
Mr.Qayoum: Apni jaga sa uth kar bare ghusse ma unhone Mrs.Ahmed ko jawab diya. Yahe tu masla ha tum jese aurto ka khud ko mard k baraber smjhti hu, zamne ki thokre khaoge tu ese zameen p philphilane lagoge. Aj tak knse larkio nna parh k ma baap ko sahara diya parhne jake mu kala krty he phr unka sath shadi krke apne ma bap ko palat k bh nh dekhty. Apne baat puri karke Mr.Qayoum waha sa nikal gae, unke jane k bad Mrs.Ahmed na apne kursi sa take lagae aur rone lag gae, Arfa bhagte hue ae aur apni amo ko gale sa lagaya dono ma beti rone lage.
Arfa: Ami ap befikar rahe ma parhunge Dr bh banonge job bh karunge aur in sb k mu ban kardunge, ma apka sath hu ma apko smbhalunge, me apne coaching ma jake parhaonge aur ghr pa bh bache parhaunge, Is saal university ma bh mjha scholorship miljaega tu hamre kharche wese he kam hwjaenge.
Mrs.Ahmed: Betay mujha tm p pora bhrosa ha Arfa ka mathe chum kar unhone Arfa ko saraha, ma bh silae k kam kshuru kardunge hum dono mil kar is duniya ko dikha sakty k auraat zaat bh kese sa kam nhi.
Dono ma beti mushkil waqt ma ik dusre ka sahara ban gae aur ik dusre ko sahary dete hue unhone ik nae zindage ki shuruwat ki jis ma Mr.Ahmed inka sath nhi thy. Arfa na apne dil sa Hamza ka hum bilkul nikal diya aur us na Hamza ko na sirf university ma face kiya balke isko university k mukhtalif muqablo ma bh haraya.
Hamza apne ayashio ma ghum hoker parhae ma itna pechy reh gaya k iska semester back hogaya, aur phr bh uski adat ma koi khas tabdeeli nhi. Lubna, Sonia,Aroosa inhona bh Hamza sa taluq tark kardiya, sub k sub apne universites ma be inteha mehnat karne aur apne career bana ne ma lage hue thy. Lubna aur Sonia na Arfa ko coaching aur home tutions dilane ma kafi madad ki, Sonia k abu k silae k workshop tha us na apne abu k workshop sa ghr bethe uski ami ko kam dilae jis sa unka zarya maash kafi had tak behter hogaya.
"Jab Allah ka karam ho jata ha, tu waseela bh ban jate ha, aur mangne ka tareeqabhi ajta hai"
Buzargo na bh bhoot khub kaha he;
"Zindage jab tak kese ko hara nhi sakti, jab tak wo khud har na manle."
YOU ARE READING
Jadojehad (Struggle)
AdventureThe story of a girl who struggle hard for her dreams. Living in a Conservative family where a girl is not allowed to full fill her dream, in this type of family Arfa fights and successfully fullfill her dreams