11 May sa exams start he ap logo ke time table soon update hoke notice board pa laga diya jaega Sir Faraz (Principal Of coaching) na announced kiya aur class sa bahar nikal gae, unka jate he class ma machli bazar ka manzerdene laga tha k aj 9 he aur bina time table diye exam day bata diye ese kese tayari hoge. Sare he bachy pareshan thy kionke ya final exams thy aur uska bad board k exams dene the unka pass ya papers apne self test k liya bht bhtreen moka tha aur ap ya moka unka liya mazeed tuff krdiya gaya tha
Lubna: Mere tu lgta ha band baj jaege agr pehla paper Urdu hua tu lubna k chehry pa baal ana shrw hogae
Arfa: Yar Lubna urdu bht asan ha bs thora content zayda he.
Sonia: Jo hoga dekha jaega jitni tayari hoge dedenge baki board s pehly prepare krenge chill, Sonia na ankh marty hue dono k hath pa taali mare aur teeno dost hasty hue class sa bahar nikle tu Hamza aur uska group darwaze k pass mojood bato ma masroof thy.
Ali: Aj tm sb mere ghr ajao bbq party karte aur menanew sheesha bh liya ha sb try karty.
Hamza: Nhi yar mene ya sb ik taraf kardiya ab ma nh pionga ya sb aur wese bhabh exams hone wale ha tu bhter ha parhae karty he. Hamza k is jawab ne na sirf uska dosto ko heraan kiya balke baraber sa guzarne wale Arfa k group ko bh heraan kiya sb k sb heraan hoke usa dekhna lage, Hamza kbh bh parties aur adventures k liya mana nhi karta aur exams ko serious nh leta, Hamza kun zehan nhi tha wo chezain bht jaldi grip krleta tha, wo kam parhta tha lkn jo parhta tha wo usa ma kamal rkhta tha.
Ali: Come on Hamza kya hogaya tum aur party mana krrhe wo bh exams k liiya? Ali ki ankhain pareshanisa bahar agae, aur ya smoking chorne k tm na kb socha?
Hamza: Bus yaar ahsas hogaya kebilwaja hum apne ap ko apni jism ko takleef de rahe ha, ese cheezo ka zariya, Zindage Allah ki bht bare naimaat ha hum uska shukar ada karne ka bajae uski di hue naimaato ki na qadri karty he, aur hamra jism bh hame bddua deta h jab hum usko glt cheezo ka zariya takleef dete ha. Hamza ma aaj ik wazeeh tabdeli nazar arahe the uski batain sb ko heraan kr rhe thi, khas kar Arfa ko wo apne dosto k sath tu ja rahe the lekn uska kan uska demag ma Hamza ki batain ghum rahe the.
Alina: Hamza tm na bht acha faisala kiya mjha behad khushi hue k tm apne ander aik positive changes le ae.Alina na muskra kr usa saraha, Aroosa na bh Hamza ki tareef ki aur sath he Ali ko bh toka k tm bh ab chor do ya faltu kam aur serious hwjao zindage ma abh career bana ne ka waqt kareeb araha he.
Ali: zor se apne hath jore aur kaha acha matao maafi abh chale ghr ya yahe bashan dena h. sub hasne lage aur ik dosre ko khuda hafiz keh kr sub nikal he rahe thy k Hamza ko yaad aya k uski bike ki chabi desk k ander reh gae Usna ik dam kaha tm sb jao ma apni chabi clss ma chor aya ma wo leke ata hu. Ye keh kar Hamza class ki janib jane laga aur baki sb ghr k liya nikal gae. Hamza na class sa chabi uthae aur wo coaching sa bahar nikal kr dekhta he k Arfa abh bh bahar kare rikshaa k wait kar rahe the. Aj extra classes ki waja sa uska jo fix riksha wala tha wo nh a paya air usa riksha leke ghr jana tha lkn raat k is wqt qareeb 10 bje waha koi riksha nazar nh arahy tha. Yar ye abhi tak yaha kiya kar rahe ha, Hamza uska pass gaya aur us na thore fasle sa Arfa ko mukhatib kiya, Arfa kya hua tm abhi tak ghr nhi gae? Arfa na mur kr uski taraf dekha aur kaha han mera riksha wale na ana se mana krdiya extra class ki waja sa tu riksha dhund rahe. Lekin is waqt is area ma itny riksha nh ate, tm apne baba ko bula lo Hamza na usa mashwara diya. Baba office k kam ki waja sa Bahar gae ha. Tm jao ma chali jaonge Arfa na bina use dekhe road pa nazar jamae usa jawab diya, Nhi nhi tm akele khare mat hu jab tk riksha nh milta ma wait krlunga, Hamza na uska pass ake bola, Are nhi tm kio khud ko pareshan kar rhe hu wese bh late ho raha he tm ghr chale jao Arfa uski taraf rukh kr ke ab usa jane k mashwara de rahe thi, itne ma bike pa aik larka Arfa aur Hamza ko ghorta hua waha sa guzr gaya, Arfa ko dekh kar khof ane laga magr us na khud ko stable karliya.
VOCÊ ESTÁ LENDO
Jadojehad (Struggle)
AventuraThe story of a girl who struggle hard for her dreams. Living in a Conservative family where a girl is not allowed to full fill her dream, in this type of family Arfa fights and successfully fullfill her dreams