Arfa ko shyd jealousy feel ho rahe ha mujh sa, k coaching itna khoobsurat larke ko ma pasand hu wo nh. Shayad Arfa ko bh Hamza pasand hu jabhi usko itna ghussa aya, kese dost ha mere apne dost ki dosti p khush nhi insan ko itna bh tang nazar nahi hona chaiya ajeeb! (Arfa ka ghr sa wapsi ma lubna k dil ma pehli bar burae paida hone lage ha, yahe sb sa bara masla hota ha kum umri ishq ka)
Arfa: Lubna kal college ka bad library ma ruk ke coaching k test ki preptation karty he ( raat ko sona sa pehly Arfa na lubna ko msg kiya? is baat sa anjan k uske dost k dil ma ab uska liya pehla jese izzat nhi rahe)
Lubna: lubna apne computer pa social apps k zarya Hamza k sath baat cheet pa masroof the aur kal dono na milna k plan bh bana liya ( lubna ke mobile pa Arfa k msg namodar hua) uffo iska is wqt msg (lubna k mu bn gaya). Yar ik tu isko itna kya parhna (Arfa sa wese uski hati hue thi aur ab uska msgs lubna ko chubna lage thy)
Lubna: Sorry yar kal mjha ghr jaldi jana he, Ami ko market sa kuch khareedari karni he! ( pehli bar lubna na Arfa sa jhoot bola, pehli bar usna us sa jan churani chae ya inki dosti kharab hone k ibtadae lamha he)
Arfa: Ok dear koi baat nhi. Usko jawab dena ka bad Arfa na fajar ka namaz ke liya alarm set kiya aur sogae.
Agly din college ma Lubna Arfa k bajae Soniya ka sath beth gae. Arfa na is baat ko nazar andaz kiya jese uska liya koi masla nhi, aur waqai ma ya sab uska liya koi masla wale baat nhi thi, agr aj koi uska dost nhi hota jab bh wo parwa nhi karti uska maqsad dostiya r payuar ma uljhna nhi tha uska maqsad Dr banna tha na sirf Dr balke aik mashoor aur maroof Dr. Wo apne baba ki khuwaish aur apne khuwab ko pora krne k liya purazam thi.
Lubna bh parhne ma ache th wo bh is college aur coaching ma parhae karne aur Dr khuwab leke ae thi lekin uski tbyt aur Arfa ki tbyt ma bs itna faraq tha k uska ghr wale larkio ki parhae k mamle ma tang nazar nhi thy. Lubna k dil dmgh ab sirf Hamza ki taraf tha, usna aj ki pori class ma koi bh lecture sahe sa nhi suna wo sirf aur sirf Hamza sa lage hue thi
Hamza ik pur kashish larka tha, wo parhae ka sath sath baki activities ma bh teez tha, ise liya coaching ki bht si larkia usa pasand karti thi. Choty baal side mang aur halki halki dari k sath wo bht purkashish nazar ata tha aur Black Kurta pehn ka wo bht zayda haseen laghta tha. Lubna usko sirf achi lagte th. wo Lubna k zarya Arfa ka kareeb ana chahta tha aur Lubna kese aur khush fehmi ma masroof th.
Lubna aj college ma mamol k mutabik zayda tayar hoke ae thi, aam dino ma wo abaya aur scarf krti th. aj wo scarf krke nh aye th aj usna ik poni r dark lipistic bh lagae thi, sath sath usna apne nails ko bh poliosh kiya hua tha. face pa halka sa base touch up krke ae th. aur aj wo achi lag rahe th. sawla rung hone ka bawjood bh us ma thori kashish jhalak thi the.
Sonia: Lubna ma subha sa dekh rahe thi tum na aj class bh sahe sa nhi le bs mobile ma chatting ma masroof thi! Kya baat he, hame bh tu batao. Batati hu magar mehrbani karke us parhako ko na batna khama khae mood kharab kardege
Sonia: kis ko kya hua he esa?
Lubna: Arfa ko yar, asal ma baat ye ha k coaching ma jo Hamza he na uski request ae th. mere pass fb pa mena add kiya batain hue tu hum na number bh exchange kiya, usna mjha bataya kal k wop mjha like karta he, aur mene ya baat Arfa ko batae tu usna mjha khama khae zalil krdiya apne ghr pa!
Sonia: Hamza na wah bhae mazay apke.
Lubna: Bs naseeb ki baat he yar, Mjha lagta ha Arfa usa psand krti ha jabhi wo jealous hue mjh sa!
Sonia: Allah jane dafa karo tm batao phr kahe aj milna tu nhi ja rahe?
Lubna: sharmate hue Han yar wo aj college k pass wale park ma aega waha milenge hum!
Sonia: ohoo ( rashk karty hue usna uske kamar p thapki di) tu baat yaha tak phnch gae ha! chalo jao best of luck!
Lubna: SHukria(muskurate hue boli, uska chehry sa muskurahat khtm he nhi ho rahe th. koi bh dekhe tu smjh jae ka kya majra he) Luban k mobile vibrate krna lagta he, wo dekhti tu Hamza k msh hota he( Ajao dear ma agaya hu)
Lubna: 2 min dear, i am coming usna reply diya aur class chor k nikal gae!
Arfa na usa jate dekha aur ignore kiya, Arfa in sb sa bekhabr thi k uska dost k dil ma ab uska liya burae agae, aur ab nafraat paida hone wale ha. Usa tu ya bh nh pata ka ghr jake kya tamsha hone wala he!
Ami kal mene Arfa aur Lubna ki batain sune akhir apki ladle beti hamra name kharab karne wale ha.
Dadi: Haye Allah Nasreen(Arfa ki walda) kya hua he esa?
Mrs Ahmed: wahe jis ka dar tha larkio k chakar ma prh gae ha ye madam, mene apne in gunnah gar kano sa suna ha, bs aj Arfa ka abu ajae tu ap do took baat kariyega.
Class ka ikhtitam pe jab wo library sa book leke window wale seat pa jake kitaab parhne lagte ha, tut hori dair bad uska dehan khirki sa bahar jata he tu usko lubna nazar ate ha aur wo Hamza k sath batao ma mashghool hoti ha. Ya sab dekh k usko bht bura laga k uski dost na best friend na usa jhoot bola wo bh kal ke ae hue is larke k liya!(Arfa dil ki bht nazuk larki thi,wo choti choti chezo ma rodete ha) usna kitab band krdi aur rone lag gae!
YOU ARE READING
Jadojehad (Struggle)
AdventureThe story of a girl who struggle hard for her dreams. Living in a Conservative family where a girl is not allowed to full fill her dream, in this type of family Arfa fights and successfully fullfill her dreams