Raat ka waqt chat p jhole par bethe Arfa apne he yaado ki duniya ma ghum the, Aj Ka pora scene uska ankho ma samaya hua tha, pore scene ma ik bar bar uska dmgh ma aik he baat atk rahe the. Hamza Arfa ko pasand karta ha! Usa ma pasand hu? mjh ma esa kya he? mena tu kabh ese koi cheez ya harkt nh ki ka uski attention hasil kr saku, mjh jese be rukhi larki ma usko kya dekh gaya. Kya pata usa bs apna dil behlana hu, yahe baat hoge larko ko aur ata he kya he? Wo apne jaga sa uth ka chat k dewar k sath khare hoke bahar dekhne lage, pori gali ma sanata tha raat k is pehar pori gali ma behad khamoshi thi thandi hawain taaiz hone lag gae the, Arfa k baal hawa ma lehra rahe the wo apne balo ko set krke pechy kr rahe the ky achanak uska mobile ka screen roshan hogaya uar uspa Lubna ka name namodar hua.
Hello Arfa Jag rahe he ho? Yar tum na maaf tu kiya na mjha, ghr sa jab s gae hu tm na koi msg he nh kiya koi baat bure lage ho tu please maaf kardo.
koi baat Lubna ma busy the isliya sg nhi kiya, kal milty ha college ma goodnight! Arfa na Lubna ko jawab diya aur mobile off krke rakh diya wo is wqt kese sa baat krne kamood manhi the, wo apni he duniya ma ghuma thi. Lubna ne jo Hamza k pasand k aitraaf kiya us baat na Arfa ki zindage ma ik naya asar leliya tha. Har insan k dil ma dheero muhbbat, khuwaishat chupy hote ha, Arfa bh ik seedhi sadhi masoom khuwash rakhne wale ik mamoli si larki the. Wo bh baki logo ki trha ik khush mizaj aur muhbbat krne wale larki the, Aj tak us ko ya sb kabh mehsos nh hua kionka uski zindage ka maqsad, uska mahool, uski soch sirf parhae par the, Wo aj bh aik kamyab dr banna chahti ha lekin sath he sath uska dil ma ghar gheristi, jewan sathi k khuwaishat bh janam lene lage.
Agle subah wo college jane k liya tayar ho rahe the, aj ki tayari baki dino sa mukhtalif the,aur uski do khas waja the,
1) Wo itne dino bad dobara sa college ja rahe the, is bar uska ghr wale sb k sb uska parhne par razi the, khas kar uski ami aur uski dadi k dil ma bh uska liya thori si muhbbat jagne lage ha.
2) Aj uski soch ma tabdeeli the, uska mizaaj ma tabdeeli the,, shayad ya us jumle ki waja sa hua he jo kal Lubna na bola.
Jab wo college phnche tu sb shrow hogae sawal jawab ma kaha gayab the? q nh arahe th? bina batae chale gae kese k msgs call k koi jawab nhi. Wo sub ko apne ghr ki dastan batana nh chahti th is liya usna jhoot bola k wo cazan ki shadi ma shareek hone k liya Islamabad chale gae the aur waha masroof the ise liya kese sa rabta nh kar pae. College k ikhtatam par wo library jake beth gae aur wo use jaga bethe th jaha sa usna Lubna aur Hamza ko park a dekha tha, wo kitaab khole khirki k bahar nazrain jamae muskura rahe the. Uska mizaaj ma kafi tabdeeli agaethi wo ab khush rehna lage th.
College sa wapis aker usna ghr k sara kam nipta kawo coaching k liya tayar hone lag gae the, aj tak kabhi usna apne baal bannane ma time nh lagaya aj wo aik ghante sa tayar ho rahe the, najane kitne scarf badal chuki the wo aj bht acha dekhna chahti the. Aik ghante ki tayari k bad aj wo pehly ki nisbat zayda payari lag rahethe, shyd wo itne dino bad tayar hue ha is liya!
Coaching phnch kr wo sb sa pehly apne sir k pass gae aur apne ghair hazri ki waja batae aur un sa mazraat ki, phr wo wapis apne class ki taraf barhnelage, uske dil ki dharkan taaiz ho rahe the, pata nh hamza ab mjha dekehega bh ya nh, pata nh ma achi lagunge bh nh, Arfa k dil ma bht sa swal the, wo chalty chalty ik dam ruk jese kese na uska hath pakar liya ho, ya sb krne k liya nh ae the ma yaha mjha Dr bnnaha ya sb mere liya nhi ha, me in kharafato ma nh parh skti, wo class k bajae washroo chale gae waha usna apna mu dhoya aur sara makeup utar diya wo ab blkl wese lag rahe the jese wo hamesha sa ban k ate the. seedhi bina makeup k ik sawli si larki. Wo class ma dakhil hue tu Hamza waha betha hua tha,usna Hamza ko ignore kiya aur age beth k black board ki trf dekhna lage. Aj coaching uska wajood tu mojood tha magr uska zehan ghair hazir tha. Ma ya sb kio soch rahe ya sb mere dmg sa jata q nh? kya ya sb gunnah he? uska dmg ma ik k bad ik sawal ane lage wo ghum sum hoga, Arfa Arfa beta kaha ghum hudehan kaha h tmhara aj tm na kuch likha bh nh ma kab sa note kar raha hu tmhara dehan class ma nhi, Sir na Arfa ko thoka
sorry sir, wo apne jaga sa uthe aur class sa bahar chale gae, ya pehli bar hua tha k wo is taraha sa class chor k nikli ya cheez lubna ko bh ajeeb lage thori dair bad Hamza bh uth kar class sa bahar nikal gaya, aur Arfa ko dhundty dhundty cafe tak agaya. kya hua Arfa ap class chor k kion nikl ae kuch hua he?
Arfa: Nhi Hamza kuch nh ap class ma jae lecture miss na karo
Hamza: Are wo chore ap batae kya hua he?
Arfa: Hamza ik baat pochu ap such bataenge?
Hamza: je poche?
Arfa: Kya ap wakai mjha pasand karty he? m sorry mena ap sa direct poch liya? lkn mjha ya sawal bht tang kr raha tha jabh ap s pocha mene!
Hamza: ji ap ko sahe pata chala he ma ap ko pasand karta hu! Hamza na bht confidently bola
Arfa: lekin mjha he q? ap ko tu koi bh mil sakti ha, balky mena suna h bht sa log apko pasand karty he tu phr mahe q? ankhe jhukae Arfa rawange sa bol rahe th
Hamza: Arfa pasand karne k liya khubsurat hona zarori nhi the, ap ik achi aur ba ikhlaq larki hu aur mjha ese he larki pasand ha
Arfa: ma achi nh wo table sa uthe aur cafe sa nikal gae, Hamza wahe betha usa jata dekhta reh gaya wo itni taizi sa nikli k wo kuch nh kr paya.
YOU ARE READING
Jadojehad (Struggle)
AdventureThe story of a girl who struggle hard for her dreams. Living in a Conservative family where a girl is not allowed to full fill her dream, in this type of family Arfa fights and successfully fullfill her dreams