Apne cabin sa nikalne k bad Arfa k ankho sa ansu ana shrow hogae thy wo ansu ju us na Hamza ki tae aami k samne roke rakhe thy ab wo unpa aur zayda qabo nhi kar pae, hospital sa nikalkar jab wo gare ma ake bethe tu phot phot k rone lage itne saalo ma jitni bh mushklain ae wo kabhi itne bebas nhi hue jitni wo aj Hamza ko dekh kar hue, college ma wo usa bht avoid karti thi na he zayda uska pass jate bs door sa usko dekh kar khush hojate, Hamza theek ha ya dekh kar wo khush aur mutmain hojate the, Aj usa is tarha operation theater ma dekh kar jese uski apni he jan nikal gae hu, apne jhzbat ik taraf krke usnabare mushkil sa Hamza ki jan bachae phr uska bad uski tae aami k sawalo k samna kiya unki baato k bad uska khud pa control mushkil tha ise liya wo waha sa utha kar chale gae th. Aj wo jese dubara mazi ma chale gae the, usa Hamza k sath bithaya har pal yaad araha tha zindage ko jese kese na remote sa pecha kardiya hu, Phr usa ik dum Hamza ki badtaamizi aur apne abu ki baatain yaad agae tu usna ik dum sa rona band kardiya ansu saaf kiye aur ghr k liya nikal gae.
Agly din subah jab wo hospital ae tu apne routine k hisabsa kam krne lag gae, wo daily wards ma 2 chakar lagate the, round sa pehla usna apne mind ko prepare kiya aur blkul professional hoke round p nikli, mukhtalif mareezo ko dekhna ka bad jab wo Hamza ka ward ma phunche tu, Hamza bed p betha apne tae aami sa batain kar raha tha, Arfa ko dekh kar wo ik dum chunka, magr Arfa na usa dekh kar koi bh radeamal nh dikhaya wo ae tu uska sath bht sa drs thy sb Arfa ko uski reports sa mutalik agah kar rahe thy sb ki batain sun kar Arfa Hamza sa mukhatib hue;
Arfa: so, Mr Hamza ap theek ha ab? koi pareshani koi masla?
Hamza: shrow ma tu usna koi jawab nhi diya wo usa ese he dekh raha tha, phr wo ahista ahista bolne laga ji ma ab behter mehsos kr raha hu.
Arfa: Uski file hath ma liya usa read krty hue usa hidayat dene lage, ik du din ma apki chutti hwjaege ap dawaiya lete rahiyega aur har kism k nashe sa dori krle, aur thora healthy diet liya kare. hidayat dene k bad us na file band krke rakh de aur age nikal gae. Hamza sa haka baka samne ki taraf dekh raha tha jaha Arfa mujood the, Arfa ko yun yaha ik kabil Dr bana dekh kar heraani hue aur sath sath usa khushi bh hone lage uska chehry p ik masoomana hasi ane lage, Tae aami dekha apne ya Arfa ha ya ha wo Arfa jis k zikar ma ap sa kiya karta tha tae ki taraf mu kar ke khushi khushi wo unhe batane laga.
Hamza's Grand mother: Ji beta ma janti hu, ese natmhara ilaj kiya tha, ise na tmhare jan bachae mere baat hue the is sa. Hamza ko itne saalo bad ese muskurata dekhwo bht khush the,aur khushi khushi Hamzako Arfa aur unki mulakat ki tafseel batae.
Tae ama ki guftugo sa Hamza ko andaza hogaya tha ke, Arfa badal chuki ha ya wo Arfa nh jo Hamza sa payar karti thi, apne bed pa lait kar ab wo sare situation ka andaza laga raha tha. Mere jaga koi bh hota wo ese he react karti, ese he usa bachane k liya adhi raat ko wapis ate, Hum Drs ka kam he yahe ha logo ko bachana, Hum Drs? ma tu Dr he nhi ban paya mujha tu kuch ata he nhi itne bar fail hue har semester do bar parhna para ya kiya kardiya mene apne sath, zara se nadani ma apna mustakbil taba krdiya mene, Hamza ko ya pachtawa Arfa ko is maqam par dekhna k bad hua, Hamza apna MBBS pora kar chuka tha lekin jis iziyat k sath is na MBBS ko pora kiya tha k usa kahe job ki peshkush bh nh hue aur na he is na koi koshish bh ki thi.
Arfa round k bad apne cabnit ae aur dubara sa tafseeli jaiza liya Hamza k reports k aur staff ko usky diet aur tablets wagera k timings wagera k dehan rakhne k hidayat de.
" Abhi na cheer mohabbat k geet ko ae mutrib, abhi hayat ka mahool khush gawar nahi"
STAI LEGGENDO
Jadojehad (Struggle)
AvventuraThe story of a girl who struggle hard for her dreams. Living in a Conservative family where a girl is not allowed to full fill her dream, in this type of family Arfa fights and successfully fullfill her dreams