Aj uski zindage ka sub sa barha lamha tha aj wo mashre ma us name sa mashoor hone lage the jiska khuwab us na bachpan ma dekha tha, ya wo name tha jis name sa uska abu usko janna chahty thy, uska name ki alag pehchan ban gae thy ab wo sirf Arfa nhi Balky Dr.Arfa Ahmed k name sa jane jaege. Aj uska hospital ma pehla din tha wo bare khushi khushi hospital ma ae thi, hospital life k idea medical students ko rotations ma he hojata ha k unke age k zindage kis tarha hone wale ha unko kin mushkilat k samna karna parta he, lekin jab ap us field ma dakhil hote hu tu apka liya mamlaat badal jate ha ap student nh as a dr ate hu, yahe mushkilat ab uski zindage ma ane wale the.
Pehla he din Arfa ki duty emergency ward ma the, Emergency ward ma kam karna koi asan kam nhi tha waha har tara k cases kabh bh askty thy Dr ko har hal m chust rehna parta ha aur jald faisle krne party take unhe masla na hu, Arfa ko ya asani hue kusko apne ik purane ustad k sath kam karna tha, Ik nae Dr ko har department ma thora thora kam karna parta ha take wo har kam ko deal kar sake ya unke hospital k qanoon tha.
Arfa tu pehle he apne asataza ki noor e nazar the tu asataza k sath kam karne ma usko koi khas mushkil nhi ae Arfa parhae ma taaiz the sath he sath uska dmgh bh taaiz tha wo bht jaldi cheezo ko smjh jate aur seekh lete. Shrow shrow ma case itne zayda serious nh arahy thy wo aram sa sare cases solve kr rahe the.
Ik din shehar ma dhamaka hogyaa tha jis ki waja sa shehar ka tmam choty bare hospitals ma emergency nafiz hogae the, Arfa jis hospital ma kam kar rahe the wo behad kareeb tha jis ki waja sa zayda s zayda patients ko wahe laya ja raha tha, sare Drs waha mujood thy ik k bad ik mareez ko laya ja raha tha koi shadeed zakhmi tha tu koi on the spot mar gaya tha, kese ki tang toot gae thy tu kese ka hath khoon m lipty tooty pooty logo ko laya ja raha tha, Arfa ki liya pehli dafa tha, qunka rotations ma bh ese koi case nh ae jo usko experience ho iska, pehla tu usko khud pa control krna behad mushkil hogaya tha thori dair ma us na khud pa qabo kiya apne ahsasat ko smbhale aur dusre drs ka sath milker kam krna shrow krdiya aj iska sar pa koi nh tha jo isko smjhae, aj isko sub khud he karna, aur khud he sare faisle krne thy kuch patients ko us na achay sa deal kiya aur unke zakhmo ko sahe maram patti ki, ik mareez uska pass esa aya jis k sar pa kafi gehri chotain ae thy, aur uska jism pa kafi zakham thy, uska bp control ma nh araha tha aur usko saas lene ma masla ho raha tha, Arfa k liya ya case asan nh tha kionks is mareez ko jitne gehry zakham thy k uska bachne ka chances behad kam thy, lekin ik Dr k farz hota ha k chae kuch bh ho usko is mareez ko bachane ki akhri had tak koshish krne thy, Arfa na first attempt ma ya jan liya tha k is mareez ko bachana behad mushkil ha iska bawajood bh is na barpor koshish ki aur qareeb 20 min k bad wo us bande k airway ko mehfooz kar pae jis ki waja sa usko saas ane shrw hue aur sas ane ki waja sa uska bp bh control ma ane lag gaya, aur kafi had tak uski halat bhter hue tu us na usko zakhmo ko patti laga k uski jan bachae, ese cases ma 99% mareezmar jate ha, bht he kam log bachty us ma Allah ki marzi Drs ki anthak mehnat shamil hoti ha, is mareez ko bachane k bad Arfa ki behad tareef hue aur usa Hospital ma parmanently rakh liya gaya, Kese bh fresh graduate k liya ye bht bare baat hoti ha ka usa jald he job pa rakh liya jae.Arfa na apni training har department ma bakhoobi nibhae, aur sath sath usna age ki parhae bh jare rakhi, us na Heart ma specialization k liya apply kia hua tha, aur waha usa bht mushkil ho rahe the, Hospital ki job k sath sath parhae phr ghr pa ami k dehan rakhna ya sub usko ik sath mange krna mushkil ho raha tha is par k usna apne tutions bh chor de the take wo apne kam pa concentrate kar sake.
Arfa k liya Hospital k shrowate 3 month bht zayda tuff rahe, usna in month ma bht mehnat krke training pori ki, uski heart specialization course bh sath sath jare tha apne free waqt ma wo parhne beth jate the, uska bht zayda lago ki waja sa sir na usa apne assistant ki job k bola tha uska training k foran bad sir na usko apne sath rakha, ibtidae 2 3 month tak koi surgery nhi tha na he koi esa case aya jis ko surgery ki need hu. WO sir ka sath rounds pa jate, patients k file parhti, sir kis tarha patients ko dekhty, aur kya kya hidayat dete usko patient k sath sath agr koi note karta tu wo Arfa the, BAz okat sir patients k samne uski halat bata ke apne junior Drs ko pochty k iski mumkina dignose kiya hoge tu Arfa zayda tar jawab me pehal karti, kabhi wo sahe bata te tu kabhi galat, usky passion ko dekh kar sir hamesha uski tareef karty thy.
Mrs.Ahmed ko Arfa ki shadi ki behad fikar the kionka unke jane k bad Arfa ko smbhalne wala koi nhi tha, Isliya wo Arfa k liya rishto ki talash ma the, kae rishty bh ae lekin kuch uski ami ko nh pasand tu kuch ko Arfa ya keh kar tal dete the k wo shadi nhi krna chahti.
Sunday amoman uska off hota ha lekin wo zayda tar off k bajae hospital me chale jate ha, Lekin aj Mrs.Ahmed na usa Hospital jane sa roka;
Mrs.Ahmed: Mera bacha kitna kam karoge? Dr ko khud bh healthy hona chaiya aj tum rest krlo.
Arfa: Arfa khud bh bht thake hue the lekin ghr ma rehna akela pan usa purane yaado me lejata ha jo wo chahti nhi the, lekin aj ami na israr kiya, Theek ha ami jesa aap kahe!
Arfa ruki tu uski ami uska liya juice bana k le ae juice dene k bad dono ma beti idhr udhr ki baato ma lag gae.
Mrs.Ahmed: Beta tjha koi pasand he kya? Arfa ka braber ma beth kar Mrs.Ahmed na bare payar sa us sa pocha.
Arfa: Arfa k tu jese chehry ka rung he ur gaya? Mujha nhi Ami ya kesa sawal he? Usa apni ami sa kese bh cheez ki tawaqa the, usa iska zara bh idea nhi tha k kabhi uski ami us sa koi esa sawal pochege.
Mrs.Ahme: Beta chunko nhi ab tum bare hu ab tm sa esa sawal poch sakti ma, us wqt choti th aur tu pasand nhi thi ise liya ghussa karti the, unhona Arfa k chehre ko hatho m liya ab tut m jan ho mere, aur ik tm he hu mere pass ma chahti hu tm kese ese jaga beha du k ma mar bh gae tu tjha koi masla na hu waha Arfa k matha chuma, Aj itne saalo bad phr uski ankho ma ansu ka rela rawa tha, Arfa na pni ami ko gale sa lagaya aur beehad zaroqatar sa rone lag age. Mrs.Ahmed usa chup karwa rahe the, aur sath he sath us sa rone ki waja poch rahe the.
Arfa: roty roty usna bola, Pata ha ami aj Abu ki bht yaad ae, college k pehla din abu na mujh sa yahe kaha tha k koipasand hu batana aj ap na bh ik dum yu sawal pocha tu abu ki yaad ae aur mere ansu agae.
Mr.Ahmed k sun ke Mrs.Ahmed ki bh ankhain bhar ae aur wo bh rone lage, beta hum tum sa bht payar karty ise liya hum nh chahty tum log kam umri be maeni mubbato ma par kar apne zindage kharab kro. Har cheez ki ik umar hoti aur ya tmhare umer ha agr tm sa is wqt koi izhar e muhbbat kare tu zayda chance hota ha wo serious hu phr wo rishta bhjta ha kionka wo khud settle hota ha aur usa apne zindage ko acha bana ne k liya hum safar ki zarort hoti ha.
Arfa apne ansu saaf kiye apne ami ki baat behad payar sa sun rahe the aur smjh rahe the. Ami abh ya sub batain chore chalain kahe bahar chalty he, usna apni ami k dehan shadi ki batao sa hataya aur unke mind ko divert kardiya.
Dono Ma beti tayar hoke ghumne k liya nikal gae.
"Sair Kr Dunya Ki Ghafil Zindagni Phir Kahan
Zindagi Gar Kuch Rahi Tu Ye Jawani Phir Kahan"
ESTÁS LEYENDO
Jadojehad (Struggle)
AventuraThe story of a girl who struggle hard for her dreams. Living in a Conservative family where a girl is not allowed to full fill her dream, in this type of family Arfa fights and successfully fullfill her dreams