" Safar Do Kaqam Ka he Jis Ishq Log Kehty he, Mgr Ishq Wale Sub Safar Me Rehtay"
Ting ton Ghar ke bell baji, Kon? Ander sa mulazma na pocha, mai hu Arfa darwaza kholo, bahar sa Arfa na jawab diya, mulazma na jawab sunty he foran darwaza khola
Mulazma: As-Salam-o-Alikum Arfa baji mulazma na muskurate hue darwaza khola aur khud ik taraf hogae jese Arfa ko ander ane k liya rasta de rahe hu.
Arfa: Walikum Salam, Kese he? Arfa na bh muskuraker jawab diya, Wo aj pehly ka muqable zyada khush the.
Mulazma: Ji ma theek hu, usna jawab diya Arfa ander ae aur usna phr darwaza band kardiya, Arfa ghr ma ate he apne room ki taraf nikal gae,room ma ate he us na room ka darwaza band kiya aur apne bag sa wo letter nikala jo Hamza na usa diya, letter nikate he wo apne study table pa beth kar parhne lage;
Hello Arfa.
Mujha tum sa apne dil ki baat karne the, aur kafi waqt sa ma koshish kr pa raha tha ka baat karu lekin kabhi himmat nhi hue tmhare age, ise liya mena ya rasta chuna, aur tmha letter likh dala,
Arfa ma tumha jab sa pasand karta tha jab mene tmha pehli bar coa me dekha tha, Shrow ma mjha laga k shyd mjha tum sa waqti attachment hue ha, lekin ahista ahista tmhare sadge mjha tmhare taraf keechti chale gae, lekin tm tak rasae mere liya bht mushkil tha kionka kae maheeno tk tm na kese sa dosti he nhi ki hue thi, na mene kabhi tmha kese sa zayda baat krty dekha, phr jab Lubna bh ae is coaching ma aur mjha pata chala k wo tmhare bht purane dost ha, aur Alina tmhare muqable thori zyda social the, tu mena ahista ahista us sa dosti ki baat barhaya phr mena us sa request ki wo hamre dosti krwae, aur uska bad jo hua tm sub jante hu, Ma tum sa un sub baato k liya maafi chahta hu, me janta hu mere adatain tmha pasand nhi is liya un ma sa bht sare mene chor di ha,aur age bh khud ko ik behter insan bana ne ki pori koshish kar raha hu, Arfa ma tumha bht chahta hu dil sa chahta hu, majanta h tm jis family sa belong karti hu waha ya sb aur tmharamjh sa milna baat krna behad mushkil kam he, aur in sab chezo ka tasawur bh paida nhi hota, Lekin ma wada karta hu ma tmha kabhi bh galat baat pa force nhi karunga na he ese koi harkat ya baat karunga jis sa hamre rishta ma koi masla ya tmhare lia koi mushkil paida hu, ma bh tmhare tarha Dr ka khuwab leke is field ma aya hu, mere mama ki khuwaish he ka ma bh apne baba ki tarha ik kamyab Heart Surgeon bano. Me bhe apne dream ko pore kare bina shadi nh karunga, aur na he tmha force krunga, ma tmha wada karta hu ka hamre rishta kabhi bh hamre profession ka bech ma nhi aega, ma tmha kbhi bh in sb k liya mana nhi krunga, Mujha jawab ki koi jaldi nhi tum achi tarha soch smjh ka jawab dena Tmhara jo bh jawab hoga mujha manzor hoga, Tm na bh karuge tb bh hamre dosti ma faraq nhi aega. I Love you.
Hamza k khat Arfa na koi 5 bar parha aur 5 bar bh us na usko ik he feel k sath parha jese Hamza uska samne us sa ya sub keh raha hu, is pore khat ko parhty waqt Arfak chehra blush karne laga tha, aur kio nhi karta ya moka ya din uski zindage ma pehli bar aya, pehli bar kese na usko apni zindage me itni ahmiyat deha, pehli bar kese na usa itni izat itni muhbbat di ha, pehli bar kese na uski views k uska faisle ki itne parwa ki ha, Arfa behad khush thi uski ankho sa ansu nikal rahe thy, usna ansu saaf kiye aur 2 rakat shukrana nafil ada kiya,Arfa dil ki saaf larkithe, ya nakhreya attitude ya rob dekhana action marna usa ata he nhi tha, wo ik straight forward aur masoom si larki jis naapnizindage ma taleemi idare aur ghr k ilawa koi jaga he nhi dekhe chand logo pa mushtamil uski choti si zindage thi jis ka zayda waqt woo kitabo ma guzarte th aj uske zindage ma aik esa shaks ane agya ha jo usa be los chahta he, jis ki zindage ma Arfa ka ik maqam ha jisko Arfa ki fikar ha, jo uspa apni marzinhi chalana cha raha tha balke uske khuwaish janna chata tha. Arfa na nafil k bad Dua k liya hath utha k Allah k behad shukriya ada kiya aur Allah sa unky behter mustakbil k liya duain ki. Duaa k bad jab usna apna mobile utha Hamza ko msg karne k liya, tu uspa Hamza ka pehly sa he msg aya hua tha, ya dekh kar wo aur khush hue usne msg khol;
Hamza: Khaat parha tm ne?
Arfa parh kar muskurane lage aur phr us na jawab type kiya, Yes :)
Hamza: Ok tu phr kya socha? Hamza ka foran replay aya jese wo mobile hath ma liya Arfa k jawab k intizar kar raha tha jese wo janta tha k wo usa aj he jawab dege, Arfa k sath itna waqt guzar k na jane kio usa hamesha yahe lagta tha k uska dil m bh uska liya kuch na kuch ha aur bolti nh, shayad yahe andaza tha jis ki waja sa wo mobile hath ma liya Arfa k jawab k intizar kar raha tha.
Arfa: Hamza such batao tu tmhara khat parh kar mujha behad khushi hue, ma tmha bata nhi sakti k ma kitna khush hu, Arfa k ankho ma ansu k rella nikal raha tha wo ro ro k msg type kar rahe the, Mere zindage ma tum wahid insan hu jis namere qadar ki mujh sa muhbbat ki warna mene zindage ma siwae nafraat aur hikarat k kuch nh dekha, Hamza mujha bh tm behad pasand hu, tmhare badlty rawiye, aur buri suhbaat sa doori na mere dil ma tmhare liya izzta barha de ha, aur aj tm na jo khuwab pore krne ki baat ki ha mjha us sa bht khushi hue k tm mere ghr walo ki tarha nh hu, mere bus ik he iltija ha tum sa bus kese ko kabhi nh batana hamre bech kuch ha, ma nhi chahti log hamre bare ma bh batain banae jese wo dusro k bare ma banate ha. Usna apne ansu saaf kiye aur muskura kr msg send kardiya.
Arfa k msg k jawab likhne ma kafi waqt laga diya tha, jis ki waja sa Hamza ki pareshani ma be intiha izafa hogaya tha, wo bar bar apne mobile ko check kar raha tha, jab Arfa k replay aya tu Hamza k dil ki drkhan aur taiz hue, usna msg khola aur parhna start kiya parhty parhty uski bh ankhain num hone lage aur uska dil m khayal ane laga k wo kitna khush kismat ha k uski zindage ma aik ese larki ane wale ha jo duniya sa mukhtalif ik sada sa larki ha jis k masoomana khuwaish ha, usa khud pa rashk araha tha.. Usna msg parhne ka bad foran Arfa ko call kiya aur rasme salamduaa k bad dono apne bato ma mashghool hogae,
"Jub koi acha lagne lagta he, tu us ka bura bhi acha lagta he, Muhabbat andhi nhi faragh dil hoti ha, Aeb nazar ate magr nazar andaz kar dete ha"
YOU ARE READING
Jadojehad (Struggle)
AdventureThe story of a girl who struggle hard for her dreams. Living in a Conservative family where a girl is not allowed to full fill her dream, in this type of family Arfa fights and successfully fullfill her dreams