Fcps ma kamyabi k bad Arfa Ab ik kamyab surgen bun chuke the us na heart surgries sa related apni sare parhae puri karle the bus ab uska practice period shrow hogaya tha, wo ap ne sir ki supervision ma surgeries ma hisa lete the aur sir k assistant k tor par madad karti the, wo surgeries ma abh itne zayda tajurba kar nhi thi.
South Africa me dil k amraz ma taaizi sa izafa ho raha tha jis ki waja sa waha ka Drs na Logo ko in beemario aur inki wajohaat sa aga karne k liya mukhtalif mumalik sa Dil k mahreen ko bulaya tha,Unma sa ik Arfa k sir Dr Dev Kumar bh thy, Dev Kumar ko do din k ander South Africa k liya nikalna tha ise liya unhona apne sare surgeries Arfa k sath mil kar jald he nipta le aur wo rawana hogae.
Raat 11baje jab Arfa khane peena aur ghar k kamo sa farigh hue aur apni ami ko dawae de kar unka room sa nikli he thy k hospital sa usa call ae;
Staff: Hello Dr Arfa
Arfa: Ji bol rahe hu.
Staff: Dr ik emergency case ha, ik larke ko heart attack hua he aur unki condition serious ha ap jaldi sa ajae.
Arfa: Okay ma ate hu. call k foran bad wo dubara apni ami k kamre ma gae;
Arfa: Ami hospital sa call ai ha mujha jana parega emergency ha ik.
Mrs.Ahmed: pareshan hoke bolne lage beta tjha ae hue kitne dair hue ha ab dubara jaege koi aur nhi ha kya?
Arfa: Muskura ke jawab dene lage ami dil k case ha aur sir bh yaha nh jana zarori ha ap sojae ma ajunge. Ami k pass ake usa hug krke unka matha chum k Arfa hospital k liya nikal gae. Ghr sa nikalne k sath he usna staff ko operation ki tayari krne k keh diya take bina waqt zaya kiye operation kiya jaske, Arfa ki hidayat par staff na operation ki sare tayari kar lete, jese he Arfa hospital ae tu staf na unko pore case aur reports dekhae, aur bataya k larka zayda nasha krne lag gaya tha jis ki waja sa usko myocardial infection hogaya Arfa na name p ghor nhi kiya aur case dekhne lag gae case dekhne k bad wo operation dress pehna chale gae, Operation dress pehhny k bad jab wo ander ae tu patient ko dekh kar haka bakka reh gae aur chonk kar usa dekhna lage, ik pal ko usa laga shyd usna kuch galat dekha ha lekin jab usna dubara ghor sa dekha tu wo Hamza tha us na dubara reports uthae name parha tu Hamza k name tha, uski ankho ma aik pal k liya ansu agae, Hamza na bhale usa dhoka diya hu, bhale itne saal usna khud ko control kiya hu lekin usna kabh Hamza ki ese halat tawuqo nhi ki wo Hamza k bura kabhi nhi chahti thi Aj usa ese dekh kar uska dil phr pighal gaya ab uski zindage Arfa k hatho ma the, Hamza na nasha krke apne halt bht zayda kharab kar lete, Arfa na himmat dikhae aur 3 ghante k taweel waqt k bad uska operation ikhtatam hua, Operation k bad wo roti hue apne room ma age aur wazoo krke do rakat shukrane k ada kiya, ik tu ya uska akele pehla case tha aur itna mushkil operation akele kiya lekin Arfa ko is sa zayda khushi Hamza k jan bachne ki thi, wo Allah k shukar ada krne k liya nafil ada krne lag gae,
Junior Dr jab operation k room sa bahar nikle tu Hamza ki ami waha mujood the, unhona Hamza ki ami ko mubarak bad de k operation kayab raha ab Hamza khatre sa bahar he. Hamzaki ami us dr ko duain dene lage tu usna kaha;
Aunty ap Allah k shukriya ada kre hum to zarya he, aur Dr. Arfa k bagair ya operation namumkin tha wo off pa the lekin phr bh ae. Allah usa khush rakhe lambi umer da Hamza ki ami Arfa ko duain dene lage, Beti mujha un sa milna ha Hamza ki ami na Dr s kaha. Ap bethe mabulate hu. unko betha k Dr,Arfa k room ma ae;
Junior Dr: Ma'am Hamza ki tae aami ap sa milna cha rahe ha. Ami k intiqal k bad Hamza apni Tae ami k sath rehna laga tha, uski tae ami kwo noor e nazar tha, unki koi aulaad nhi thi, tu wo bh Hamza ko behad pasand karti ha aur uska khayal rakhti ha unky miya k intiqal ho chuka tha,tu wo bh akele rehti the, Hamza ki aami k jane k bad wo bh Hamza k sath ake rehna lage the. Arfa namaz sa farigh he hue the, usna janamz uthae ik taraf rakh di bula lo usna dupta utar ty hue Junior Dr ko hidayat de, Arfa Hamza ke report bannay ma masroof hogae thori dair bad uska room ka darwaza knock hua tuk tuk;
Arfa: Ander ajae.
Hamza's Grand Mother: As salam o Alikum Dr sahiba.
Arfa: report band krke sar utha k unki taraf dekh kar salam k jawab diya walikum salam.Ajae ander bethe kursi ki taraf ishara krty hue Arfa na unhe bethne ko kaha.
Hamza's Grand Mother: beta tmhara behad shukriya tm na mere ik loty sahare ko bacha liya
Arfa: Aunty ya sb Allah ki marzi h uski zindage likhe th usa mil gae mene kuch nh kiya.
Hamza's Grand mother: Beshak beta lekin apki bh utne mehnat ha.
Arfa: Muskura k nechy dekhne lage aur boli anti ya nashe k adi kab sa he, college ma tu itna nh karta tha, Arfa ko khud smjh nhi aya is na ya kio bola.
Hamza's Grand mother: chonk k dekhne lage apko kese pata,
Arfa: Mere sath is na coaching aur university ma parha ha.
Hamza's Grand mother: Tu tum ho wo Arfa? jis k ghum ma wo esa hogaya ha, Heraani sa Arfa ko dekhne lage.
Arfa: Mere waja sa? wo shrow sa ese tha mene usko roka tha kafi arse wo sahe raha phe uni ma ake is na dubara ya sb shrw kiya jab mene roka tu usna sare aam mere beizti ki, Arfa na rawa speed ma uski ami ko uni ki sare stories batae is bar Arfa ki ankho ma ansu nhi ae uska dil mazboot hogaya tha.
Hamza's Grand Mother: Ankho ma ansu liye hath jor k Arfa ki taraf barhaya beta usa maaf kardo, uski taraf sa ma maafi mangti hu roty hue unhona Arfa ko dekha, Arfa dekh k heraan hue usko anti pa taras ane laga uski ankho ma ansu ae us na hath thama aur kaha;
Arfa: ya kya kar rahe ha ap, please ap maafi na mange ap mere maa ki tarha ha ap namange maafi mene tu usko kab k maaf kiya hua he.
Hamza's Grand mother: Beta tum uski zindage ma wapis ajao usa smjhao uski halat theek kardo. roty hue dupty sa ansu saaf karty hue unhona Arfa sa iltija ki.
Arfa: Aunty as a Dr ma usa smjha dunge lekin ma uski zindage ma wapis nh aunge ma dubara wo aziyat nh seh sakti abh mjha bht kch krna ha apni family k liya aur abh ap bh sojae ma bh ghar ja rahe hu mere ami intizar kar rahe hunge wo akele ha. ya keh kar Arfa apni jaga sa uth gae aur nikal gae uski ami thori dair beti rahe phr wo bh room sa nikal kar Hamza k pas chale gae.
"Zindage ma kabhi bhi dusro sa shikwa na karo, balke Khud Ko badllo, Kionka pao ko gandage sa bachane k liya juta pehna jata he na ke sare shehar ma kaleen bichaya jata"
ESTÁS LEYENDO
Jadojehad (Struggle)
AventuraThe story of a girl who struggle hard for her dreams. Living in a Conservative family where a girl is not allowed to full fill her dream, in this type of family Arfa fights and successfully fullfill her dreams