Dadi ko guzrey aj 1 maheena guzar gae, lekin Mr.Ahmed ka ghr ka mahalo badal na saka, unke ghr sa jese khushi ki umeed he khtam hogae the, Unka ghr jese kaatne ko door raha tha sub ik dusre sa bhag rahe the kese ka pass kuch hota nhi kehna ko dadi apne sath inki khushiya bhe le gae. Mrs Ahmed k fracture aur chot ki waja sa wo wese he kamzoor the phr dadi k jana unko bh tor gaya, unke intiqal ka bad Mrs Ahmed bh toot si gae, unki tbyt smbhlne k bajae mazeed kharab hogae, Mr.Ahmed ko bhe unky walda k jane k ghum ne tor kar rakh diya, wo chust tandrost insan the lekin ab unko Blood pressure ki shikayat hone lage, unka bp down he rehta ha ab.
Is pore ghum ma ik larki jis ko kamzor smjha jata tha, jis k paida hone ko naosiyat smjhi jate the. Jis ko kabhi ghar ka fard ki hasiyaat hasil nhi hue aj wahe bekar si larki apne ma baap ka sahara bane hue ha. Dadi k jane sa Arfa ko bh shadeed takleef hue, lekin jab iske ami abu ki tbyt down hone lage tu Drs na usko hidyat de thi k usa apne ami abu ko smbhalna ha aur unka sahara bane rehna ha. Arfa na apne ma baap ki qadar ma koi kami nhi chori ghr k sare kam sa leker ami abu ki dawai ki timings sub us na smbhala hua tha. Is aik maheena ma usna apni activities k ik bar bh nh socha dairy likhna, parhna in sub k liya iska pass time he nh bachta tha. Hamza sa bh mushkil sa thori si baat hojate thi wo bh ik din k waqfe sa. Usna apne ghr walo k dil ma apne liya wo jaga banae jo wo sare zindage bana na chahti the, Ik raat sone ka waqt uski ami na us sa kaha;
Mrs.Ahmed: Arfa beta ma tmhara kis tarha shukriya ada karu? ma khud sa sharminda hu, mjha sare zindage bete ki khuwaish the, ma ya bhool gae the k ma bh beti hu kese ki, ma bh larki th, mjha bh kese na pala bara kiya aur aj ma he beti k paida hone pa khush nh the. Mena hamesha tmha haqeer smjha kabhi wo murtaba nh diya kabhi tmhare huqoq pore nhi kiya aur aj tm na hamre liya din raat ik kar diye, Mrs Ahmed ki ankho ma ansu rawa thy hath jore wo apne beti k age bebas hokar ro rahe the, Mr.Ahmed pass bethe unhe dekh rahe thy, ander sa wo khud bh ya sub feel kar rahe thy, lekin wo Arfa sa in sub k aitraaf pehla he kar chukay the. Aj apni biwi aur beti k bech ki guftugo sun k wo muskura rahe thy k bila akhir aj inka ghr ma muhbbat haqeqi maeno ma pori hogae, wo uth k apne biwi k pass ake beth gae aur unke kande pa hath rakha aur sath he Arfa ka bh.
Arfa ankho ma ansu liye apne ma ka hath thame ro rahe the, ma ke aitraf e muhbbat k bad wo behad rone lage Mr. Ahmed na apne biwi bachy ko gale sa lagaya aur teeno rone lage,
Arfa: Ami ap esa na bola kare please ap mjh sa maafi na mange is ma apki koi galti nhi me wada karti hu ma apke har khuwab ko pora karunge apko kabh feel nh hone dunge k apne kese bete ko paida nhi kiya, Ya sun ka Mr & Mrs Ahmed muskura kar Arfa ko dekhne lage, Mrs. Ahmed na Arfa k mathe ko chuma;
Mrs.Ahmed: Arfa jis ka pas tm jese bahadur beti hu usa kese beti ki kya zarorat! ankho ma ansu chehry pa muskurahat hatho ma beti ka chehra liya Mrs Ahmed behad khush th. Ab tm jao Aram karo thak gae hoge. Han beta ap jao Ahmed bh bolne lage. Arfa apni jaga sa uthe aur Goodnight keh kar wo apne room ma chale gae. Jab wo room ma ae aur bed pa ake lait gae, aj wo behad khush the kio na hoti khush aj uska liya bht bara din tha, Maa k payar milna aur unka ap pa fakhar karna har aulaad k liya be had khushi k bais hota he. Us na mobile daraz sa nikala aur Hamza sa ya sub share karne k liya mobile nikala, aur usa call lagaya pehli call Hamza na nhi uthae, kafi din sa call pa baat nhi hue aur Hamza janta tha k is waqt in ka ghr ka mahool kesa ha us na bh Arfa ko zayda tang nhi kiya usko smjha aur uska sath diya,
Hamza mobile istimal karty karty so gaya usa khud bh pata nh laga wo kab so gaya. Pehla call pa wo nhi utha, dusre call pa ik dam uski ankh khule usna mobile dekha tu Arfa ki call the ya dekh ko aik dum chonk gaya, usko laga shyd koi masla hogaya usna ik dum call uthae;
Hamza: Hello Arfa kya hua sub theek tu he na??
Arfa: Han sub theek ha tmhare awaz ko kiya hua? so rahe the?
Hamza: Han wo pata he nh chala kab ankh lag gae, tm batao kese hu ghr ma sub kese?
Arfa: Ma theek hu aur bht bht khush hu, aik maheena bad aj pehli bar Hamza na Arfa ko itna khush dekha wo muskurahat jisa wo ik maheena sa miss kar raha tha aj usko sunny ko mile.
Hamza: Arey MashaAllah MashaAllah ese khush rahe ap.. Muskurata hua Hamza jawab dene laga, esa kya hua hame bh tu pata chale.
Arfa: Arfa na Hamza ko aj ka pora waqiya bataya.. aj itne dino bad wo ese has bol ka baat krne lage aur aj itne dino bad unhona pori raat baat ki aur namaz parh k sogae. Subah uth kar jab Arfa kitchen ma masroof the tu Mr.Ahmed jaldi jaldi ma uska pass agae us sa kehne lage;
Mr.Ahmed: Beta Arfa apka result agaya ha jaldi ae
Arfa: Ya sun k wo ik dum dhung hogae, banda kitna bh parhae ma acha kio na hu kitna he wo apne paper sa satisfy q na hu result ki khabr hamesha usko pareshan kardete ha. Wo bhagte hue kitchen sa bahar ae aur apne abu k sath table pa beth ka laptop pa result search krna lage, website on krke result site khol k uska hath larz rahe thy, bari msuhkil sa usna apna roll num likha aur search k button dabaya uske mathe pa paseena ane lag gaya tha, result load hone laga uski dhrkan taiz the dil ma duaa chal rahe the, jab result load hua tu usna ankhe band kardi aur dil sa uski ah nikal gae shukar Alhumduliallah, Mr.Ahmed k pareshan chehra muskurate chehra ma badal gaya, Arey Wah 92% boht boht mubarak hu unhona Arfa ka matha chuma aur uth k uski ami ko result batane k liya khushi khushi apne room ma jane lage, Arfa behad khush the muskurate wo apne result ko bar bar dekh rahe the, wo bhagte hue apne room ma gae aur apne friends ko msg krke apne % batae aur unki poche, sub k line ba line replay ane lage
Lubna:82.3
Sonia:84.5
Alina:80.3
Hamza:81.6
Aroosa:79.6
Sub na aik dusre ko mubark bad k msgs kiya, Arfa na Hamza ko msg kiya k wo nashte k bad baat karege msg karne k bad wo nechy utri aur apne ami k pass gae aur unsa mubarak bad wasool ki waha jake usa pata laga k abu bahar sa nashta aur mithae lene chale gae, usa behad khushi ho rahe th, wo kitchen ma ake chae bana ne ma lag gae aur Allah ka shukar ada karne lag gae, Aj ik maheena bad Arfa ki waja sa dobara inka ghr ma behad khushi ae! Aj dadi ka bad pehli bar inhona hase khushi nashta kiya.
2 maheena ki un thak mehnat aur tayari ka bad Arfa aur uska dosto na mukhtalif Medical colleges ka test diye, interviews diye. Kuch dino bad medical colleges k results agae thy. Barso sath ma parhne wale dosto ko ab mukhtalif colleges ma jana pargaya kionka sub k alag alag college ma name aya. Arfa, Hamza, Sonia in teeno ka name ik he college ma aya tha aur baki sub k alg alg. Arfa aur Hamza na MBBS k liya apply kia tha. Sonia aur Lubna na BDS, Alina na Pharmacy aur Aroosa na Radiology ma.
Medical college ya wo akhri maqam tha jaha sa in sub na apne apne khuwab pore karne thy, Medical college ma admission milna aur phir apne pasand k department ma seat milna bht luck ki baat hoti ha, Baaz dafa insan k marks hoty magr luck nhi aur baaz martaba insan k marks itne nhi hoty magr unke luck ki waja sa unko seat mil jate ha. Lekin ik baat ha parhna likhna seat milna nhi milna kese aur field ma jana ya sub Allah ki marzi aur insan ki koshish pa hota ha baaz dafa insan ko cheez nh milti jis ki usa khuwaish hu balke Allah usa wohe cheez deta ha jo uska liya behter hota hamesha Allah k faisle par shukar ada kiya karo kionka parhae lakho logo ko naseeb nh,aur jis field ma hum hoty wo lakho logo ki khuwaish hoti ha..
ČTEŠ
Jadojehad (Struggle)
DobrodružnéThe story of a girl who struggle hard for her dreams. Living in a Conservative family where a girl is not allowed to full fill her dream, in this type of family Arfa fights and successfully fullfill her dreams