Hamza ka dubara ana aur ake Arfa ki tazlil karna, Arfa ko dubara mazi ki ghum name vade ma le gae. Arfa ko ik ik karke wo sare mamlat yaad agae, kis tarha zehni aziyatk sath zindage guzarte the, kis tarha logo ki tane sunty the, kis tarha apni he dadi aur ami sa apne kirdar ki buriya sunti the, Allah pa bhrosa, sabar aur himmat usko zindage k aik tareekh kone sa nikal kar roshan zindage me le ae, jaha usa zindage ki har khushi, naiymat mareezo ki duaain, maa k payar aur ik pur sukon zindage muyasir ha,
Afsos hua dekh kar aj bh Hamza apni zindage k un tarkeeh lamho sa nikla nhi. kursa uth k ankho sa ansu saaf kiya Arfana apne mu sa Hamza k liya akhri kalmat nikale aur ghr k liya rawana hogae.
Hospital sa nikal ka wo parking ki taraf ja rahe th, Dr's scrub pehne lab coat hath ma liye stethoscope gale ma latkae sochu ma ghum wo rasty pa ja rahe the k achank uska pair phisla aur wo bure tarha sa gir gae, ass pass sanata tha itne ma aik awaz ae are madam dehan sa apko lage tu nhi, Aik nojawan larka chehry pa dari sawle rung k aik mamoli jisamat k manind shaks taizi sa aya aur Arfa ko smbhalne laga Arfa drd k mare apne tang pakar k beth gae
Hussain: Madam ik min mere car ma vaspor collent spray h abh theek hwjaenge ap ruke ma aya apne books zameen p rakhy Hussain bhagta hua apni car k pass gaya aur waha sa spray leke bhaga bhga Arfa k pass aya
Hussain: madam ap pao chore ma theek krdunga abhi, Arfa ko drd k mare smjhma he nh araha tha kya kehna h kya nhi, uska ankho ma ansu the dant dabae wo boli ji jaldi theek kardain bus.
Hussain na Arfa ka pao pakara aur spray laga k khud he uska pao ko thora ahista sa kecha aur dobara spray kiya, spray ki waja sa Arfa k dard ma kafi kami ae, aur wo khud ko pehly sa behter mehsos krne lag gae, Hussain na Arfa ka hath thama aur uthne ma uski madad ki, Arfa na uth kar uska shukriya ada kiya,
Arfa: Thankyou :)
Hussain: your welcome madam.
Arfa: By the way i am Dr Arfa Ahmed, i am cardiologist.
Hussain: Hello, i am Hussain, ma Sport physician hu.
Arfa: That's great,
Hussain: sar jhukae muskura ke us na Arfa ko age k rasta diya aur dono sath sath batain karty apni gari ki taraf nikal gae.
Arfa: Ap yahe hoty he?
Hussain: Nhi mene recently join kiya he.
Arfa: great! is sa pehly ap kaha practice karty thy?
Hussain: Ma U.K ma hota tha.
Arfa: Nice, tu phr itna broad setup chor k yaha wapis q?
Hussain: Muskura kar Arfa ki taraf dekhna laga, "Angreezo ki ghulami krke unka sara setup dekh liya janch liya, ab apne mulk ma wo sare facilities lake apne he mulk ma itni ala services dena chahta hu k kese ko bh ilaj k liya mulk sa door na jana pare.
Arfa: Herange sa uski taraf dekhna lage, hussain muskura kar sir nechy krke thora age nikal gaya, magr Arfa wahe khayalo ma ghum hogae, agly he lamhe Hussain ko ahsas hua Arfa pechy reh gae, us na sir uthaya aur palat k dekha Arfa thora pechy khae soch ma ghum hogae,
Hussain, Hey Arfa kya soch rahe ap? qadam palat kr dobara Arfa ki taraf barhty hue hussain na pocha.
Arfa: Chonk ka us ki taraf dekhna lag gae, Bs yahe soch rahe thy, is age ma log career bana ne k chakar ma lagy rehty wo apne sago k nhi sochty aur ap mulk ka soch rahe, Arfa ka zindage ma is kism k logo sa kabhi pala he nh para ya yu kehna behter ha k us na zindage k ya rukh dekha he nhi kabhi, wo hamesha matlb parast aur ana parasto k bech ma rahe.
Hussain: Muskuraya, Arfa career k liya masla kaha, mere walid sahab ka shumar mulk ka bare business man ma hota ha, unki bht sare mils ha factories ha, lekin mere abu chahty thy hamesha sa hum dependent bane, dobara chalty chalty Arfa ki gari ka pas wahe ruk gae dono Arfa herange sa Hussain ko dekh rahe thy, Jab mene apna ya khuwab apne walid sahab ko bataya tha ya soch kar k wo mere madad krenge lekin unhona ya keh kar mana kiya k mjha ya sb krna h tu ma khud mehnat kro is liya ma U.K gaya waha k tarze amal sekha apnaya malomaat hasil ki kuch dost banae, jo hamre he mulk ka he, wo mjha support krne k liya tayar he. Phr jab ma sb sekh k agaya tu walid sahab na kaha wo sirf mere mali madad aur baki permissions wagera dilane m madad krenge Hospital k setup mjha khud chalana ha.
Arfa: Behad khushi hue ap ke khayalat jann ke, Allah hamesha ese logo ki madad krta ha jo dusro ka sochty he, muskura kr Arfa na, Hussain ki tareef ki.
Hussain: Shukriya! Mujha apki bh zarorat parege. Hussain na Arfa ko sanjeedge sa dekh kar kaha.
Arfa: Mere? ma kya kam askti.
Hussain: well ap cardiologist ha, ap Dil k shobe ma mere madad tu kar he sakti ha, Hussain thora muskuraya.
Arfa: Arey kion nhi zaror.
Hussain: great! dono na apas ma number shares kiye, aur Hussain na Arfa ko rukhsat kiya aur khud bh nikal gaya.
GAri chalaty Arfa behad khush the, k usa bh zindage m kuch bara karne k moqamila, wo Hussain ki baato sa kafi impress hue thi, Arfa ko impress krna mushkil kam ha aur Hussain ko iska liya mehnat nhi karne pare kionka Ameer aur mamoli shakl surat k bawjood us k jo irade uski jo soch ha wo sub ma nhi hoti, uska khayalat itne waseh thy, k unka muqabala mushkil tha, Ese log jo Allah k bando ki bhala k sochty Allah un par wese he mehrban hota ha, Aye Allah tera shukriya k mujha bh moka diya k tere bando ki khidmat kar saku ma.
" Insaniyat wo khazana ha, jo insan k ander milta ha, Jis k ander insaniyat hu wo duniya ka ameer tareen insan hota ha, aur jis k dill insaniyat sa khali hu, wo sub sa bara ghareeb ha."
YOU ARE READING
Jadojehad (Struggle)
AdventureThe story of a girl who struggle hard for her dreams. Living in a Conservative family where a girl is not allowed to full fill her dream, in this type of family Arfa fights and successfully fullfill her dreams