Exam center k bahar sare larkiya khushi center sa bahar nikal rahe the, sub k chehry pa ik wazeh khushi the, Paper acha ho ya bura akhri paper k din azadi ki khushi har chez ko balance kar lete ha, yahe hal kuch is center ka tha sb hasty shor machaty center sa bahar ake apne apne friends k wait kar rahe thy kuch apne ghr walo ko dhunde ma masroof thy aur kuch apne parents k pass jake unko apne exam ki dastan sunane ma masroof thy Sonia jaldi bahar nikal gae the aur wo apne class ka baki dosto ka sath paper discuus krna aur mubarkbad dene ma masroof the sub k chehry ma azadi ki behad khushi the, ik dusre sa gale milna chilana taliya marna sb jaga yahe chal raha tha, Arfa pink scarf hore chehry pa muskurahat liya bhagty hue Sonia ki taraf ae aur zor sa uske peet pa thapar mara;
Arfa: Mubarak hoo :D chilaty hue boli aur foran Sonia ko gale milna lage
Sonia: khair Mubarak usna bh kas k gale lagya.. phr dono na khud ko chora aur Sonia na taali marty hue Pocha
Sonia: Sub choro ya batao paper kesa hua?
Arfa: Bhtreen yaar bht bht acha hua Has kar bolne lage, Tumhara kesa hua? Dono k chehry aur ankho ma wazeeh khushi thi, aur yahe khushi waha mujood har bachy ke chehry pa nazar arahe the. Kuch Khushio K apna he maza hota aur Last paper bh un khushio ma sa ik bare khushi h
Sonia: Owsum baby Owsum :D
Baki college mates bh ane lage aur dono masroof thy sub sa baato ma itne ma Alina bh khushi khushi muskurate hue waha ae;
Alina: Azadi Mubarak guyz Taali marne k liya hath barhaty hue age ae. Sonia aur Arfa dono na taali mari aur khair mubarak kaha hasty hue, Arfa ko ik dum Hamza k khayal aya usna dono ko excuse kiya aur bag sa mobile nikal kar Hamza ko call karne lag gae.
Girls college ka muqable boys college ma zayda tufan e badtamizi machi hue the, ik taraf bachy ik dusre pa ink phekne ma masroof thy tu dusre taraf kuch bache ik dusre ko ande marne ma masroof thy, button khule tie nechy karke coller chara kar sub ik alag he tashan ma holy khelna ma masroof thy, inhe ma kuch bache ese the jo paper k bad seedha apne ghr nikal gae, kuch apne parents k intizar ma ik taraf khary the, Hamza door sa khare hoker muskurate hua ya sara manzer dekh raha tha, Hamza ko bh ink bazi krna ande marna behad pasand tha, uska ander ane wale changes ma sa ik wazeh change ya bh tha k wo in sub kharafto sa bh door hogaya tha, Ya pehli bar tha k wo in sub ma shamil nhi hua, Hamza ko apna first year k last paper yaad araha tha jab wo bh in sb ki taraha ink sa holi khela karta tha, aj usa heraat ho rahe thy k wo bh kin ghlazato ma khushi dhundta tha, dewar sa theek lagae muskurate hue khayalo ma gum Hamza ik dum chunka jab uska jaib ma rakha mobile ik bajne laga wo chonka uska mathe pa baal ane lage usna jaib sa mobile nikala aur muskura kar dekhne laga arey wah Arfa ki call muskura ker us na call recieve kiya aur dewar sa theek lagae baat krne laga;
Hamza: As salam o alikum ji kesa hua paper janab. Hamza ki muskurahat barkarar the aur Arfa sa baat krty hue wo blush krne lag jata he,
Arfa: walikum salaam ji bht acha hua meratu aur apka ? Hamza ki awaz sun kar Arfa ko aik ajeeb si khushi mehsos hone lagte ha aur uska chehra red hone lagta ha Hamza k muqable Arfa zayda blush karti ha.
Arfa baat krty krty dosto sa door ake beth gae aur Hamza dewar sa take hata ky stairs par ake beth gaya, dono ik dusre ka sath bato ma khoo gae thy k Sonia na ake Arfa ko disturb kiya;
Sonia: Agr apki eham guftugo khatam hogae hu tu kyaa hum chal skty he? Sonia na mu banaty hue Arfa ko toka :l
Arfa: Muskurate hue face banake boli bus 2 min ma ae please ;)
Sonia: Mu banate hue boli fine! aur waha sa chale gae,Sonia k jate he Arfa na Hamzasa pocha;
Arfa: so aj kaha outing k plan h ?
YOU ARE READING
Jadojehad (Struggle)
AdventureThe story of a girl who struggle hard for her dreams. Living in a Conservative family where a girl is not allowed to full fill her dream, in this type of family Arfa fights and successfully fullfill her dreams