Fitraat

35 12 0
                                    

Insan apne zindage ma kitna bh parh likh jae, kitna bh wo tajrbe kar he kio na banjae uski fitrat kabhi nhi badalte. Zindage k kese na kese moke pa ake wo apni fitrat dekha jata he. Insani fitrat ma ik cheez ha jo mushtarik ha yani jo har kese ma pae jate ha bs kese ma zayda tu kese ma kam wo ha kese bh nae mahool ma khud ko adjust krna. Koi bht jaldi nae mahool ma khud ko adjust karleta tu kese ko bht zayda waqt lag jata he. Kuch tu ese hoti jo apne ik dedh inchi masjid bana ke use ma he apne pori zindage guzar lete. 2 saal k rishty ma bandhe Hamza aur Arfa bh fitratan ik dusre sa behad mukhtalif the. Arfa ik tang nazar ghar sa taluq rakhne wale ik sanjeeda larki, iska bar aks Hamza ik modren family sa taluq rakhne wala khush mizaj aur thora aeyash type ka larka tha. Hamza ka ander waqt k sath sath Arfa k sath rehty rehty kafi tabdeeliya ae the, Wo namaz parhne, duaao ma yaqeen rakhnelag gaya, ciggrette sa dori, sanjeedgi ane lage the, aur kafi had takwo apne ander kafi achi tabdeeliya le aya tha lekin kehty he na k zindage k kese na kese moqe pa insan apni fitrat pa ajata he tu inki zindage ma wo din ane wale thy jaha wo dobra apne fitrat k age harne wale the.

College k ibtedae dino ma koi kese ko itna khas nh janta tha agr kese k koi porane dost ya rishtedar sat thy wo unhe ka sath magan hoty, Kese bhi nae college ma ana waha k rang ma dhal jana aur waha apna ik name bana na ik bht bara challenge hota he, kionka waha har jaga k har tarha k log ate ha aur koi apne ap ma bht zaheen hota ha, Medical college ma seat milna aur waha rehna parhna zindage k mushkil kamo ma sa ik ha aur bht kam log ese hoty ha jo yaha tak phunch pate aur un sa bh kam log hoty jo medical course ki sakhtiya bardasht krke mehnat sa apne raat din ik krke Dr banjate h. Arfa k liya bhi apna name bana na behad mushkil kam tha Arfa behad zaheen the, lekin waha uska jese aur bh bht thy, college ma asataza k samne name bana na aurunki nazro ma ana bht mushkil hota he, Lekin Arf ki anthak mehnat aur lagao sa wo jald he apne asataza ki noor e nazar ban gae the. Pehly ka muqable Arfa ka mizaj ma behad sanjeedge agae thy, kam umri ma ahsas e kamtari k shikar hone k sath sath us pa ghr ki zimdare bh agae the, sath he uska abu k nasihaat na uske demaghpa zayda asar krne lag gaya tha jis ki waja sa wo apne sa jure cheezo k liya zayda hasas hone lag gae the,Uski zindage ma apne ma baap k ilawa koi khas th tu wo Hamza he tha.

Amoman Larke Medical colleges ma ake parhne k bajae baki cheezo ma zayda masroof hoajte, kuch parh likh jate tu  Kuch sports ka part banty, tu kuch ka artist jag jata, kuch waqt guzarneate tu kuch famous hone, aur in ma sa bh kuch shakar ese hoty he jo medical college ma apni love life bana ne aty he, Hamza ko sports ka aur famous hone ka bht shoq tha ibtiedae dino ma uska zayda waqt Arfa ka sath guzarta tha kionka wo is college ma sirf Arfa ko janta tha, lekin hafte bhar ma us na kafi logo sa dosti kar le the aur sath sath college k sport team k bh hissa ban gaya tha, wo apna zayda time sports ma guzarta aur jab class ma lecture lene k liya ata tu Arfa k bajae apne dusre dosto ma masroof hojata, unka sath lunch p jana tu kabhi movie dekhna tu cafeteria ma masti, musical nights in sub chakro ma uski parhae k loss bh hone laga tha, Arfa be had hasas larki the, Hamza k badlta rawiya usa behad takleef dene laga iska bawjood bh wo sb bardasht krke sirf usa parhae par tawaju ka kehti the lekin Hamza apni mastio ma itna magan hogaya k usa parhae k hosh he nhi raha Hamza bazahir behad pur kashish larka th kafi larkia usa pasand karti the, aur sport ma achi performance k bad wo pory college ma mashoorhone lag gaya tha, Hamza k ander ae hue tabdeliya dekhty dekhty khtam hone lage the, Namza sa doori, cigratte noshi, flirting phr sa ane laga aur ab ki bar uski adatain zayda kharab hone lage the..

Ik din Hamza cafetria ma betha hua tha hath ma ciggratte liya Alisha sa baato ma masroof tha, Itifaq sa Arfa waha sa guzre tu uski nazar Hamza par pare shrow ma usa yaqeen he nhi araha tha k wo Hamza ha lekin jab wo qareeb ane lage tu uski ankhe phate ki phate reh gae aur wo Hamza k pass ake bole;

Arfa: Hamza ya kya tm na phr sa cigratte pena shrow kardiya, Ankho ma ansu liya Arfa heraani sa usa dekh k ghusse a bolna shrw hogae, tm college ma ake dubara pagal hogae parhae chor de aur ab dobara sa ya subshrow krdiya pheko isa Arfa na Hamza  ka hath sa cigratte phekni ki koshish ki tu Hamza na apna hath chura liya.

Alisha: Hamza Ya tm pa kio ghuusa kar rahe tm kya ab ese conservative logo sa b baat krne lag gae? Alisha Hamza ki nae dost the, ya bh Hamza ki tarha ik azadana khayal ki larki the, jis k liya ya sb am sebaat ha.

Arfa: Ap bech ma nabole ya mera aur Hamzak mamla he. Arfa na behad taizi sa Alisha ki baat kat ke usko toka. Cafeteria ma sub in teeno ko ghor ghor k dekhne lage, Hamza na zarort sa zayada smoking ki hue the aur sath he Beer pe rakhe the, wo apne hosh ma nhtha . Arfa k you sub k samne uspa chilana ghussa karna usa bht bura laga, aur Alisha Arfa ki behas sa usko mazeed ghussa aya aur wo chilane laga;

Hamza: kya tum dono chup reh sakti hu thori dair demagh ki dhae bana de bak bak karke, Hamza k baat karne ka andaz sa uski zehni kefiyat k andaza ba asani lagaya ja skta tha wo nashe ma tha. Tum log hoty kon hu mjh smjhane wale ya mjh sa sawal pochne wale mere marzi mere zindage ma kuch bh karu, Cafeteria ma logo k hujoom ikhata hone laga ta, Arfa ki ankho ma ansuo k rella ane laga tha, Hamza ki halat uski batain sunk uska pairo tale zameen nikal gae the, wo jis sa muhbbat karti ya jisko apna khair khua smjhna shrow kardete wahe log usa takleef dena shrow krdete, Jab usa pane abu pa bhrosa hone laga k wo ussa support karenge tu Lubna k ik galat fehmi ki waja sa uske abu na bh uska kirdar par shak krke usa tor diya tha, blkul ise tarha aj wo jis sa payar karti the jisa apna khair khuwa smjhne lage the, jisko apna sahara smjhne lage the aj use na uski sare aam tazlil ki. Arfa ma ciggrete pio ya sharab Alisha k sath betho ya kese aur k sath parho ya na parho tmha is sa kiya masla ha, tm kio jealous ho rahe hu, tm middle class logo k masla he yahe  ha zara sa mu kya lagao sar char jate hu, Hamza ko blkul andaza nhi k wo kaha khara aur kis k liya ky alfaaz apne mu sa nikal raha tha, Hamza k ya andaz college k larko  aur uski nae dosto na pehla bh dekha tha kionka wo bh ise ki tarha k thy aur wo is cheez ko bura nh smjhty thy, aur wo sub bhi ese temporment k malik thy. Arfa k liya aur uska sath hujoom khare wo log jo Hamza ko sirf name sa he janty thy wo sb iska ya andaz dekh k heraan thy, sub na Hamza ko hasta khelta dekha tha kese na usa is andaz ma nh dekha. Arfa roti hue cafeteria sa  nikal gae uski ankho ma behad ansu thy aur  uska demag ma usky abu ki nasihaat the wo cafteria sa door ik pair k pas beth kar rone lage, usna soch liya tha ka wo ab ya galti dubara nhi karege aur Hamza sa doori ikhtiyar karege, Us k liya ya kam asan nhi tha kionka jis qadar wo Hamza sa muhbbat karti the ik dum usa bhulana door rehna uska liya behad mushkil kam tha, parhae, ghr ki zimadare aur ab ghum e muhbbat najane kitne azmaish baki ha mere liya ansu saaf krty arfa pane ap sa bolna lage, wo waha sa  uth kar apne ghr k liya nikal gae.

                 " Is duniya ma insan ki fitrat sa sirf parinde bakhoobi wakif ha,                                                                            Insan unhe jitne bh pyar sa pas bulae wo ur jate ha" 

Kese na bht khoob kaha he

                           " Waqt, Mosam aur Log sub ki aik si fitrat hoti ha, kon kab kaha kese badal jae koi nh samjh sakta"

Jadojehad (Struggle) Tempat cerita menjadi hidup. Temukan sekarang