Good Morning have a nice day :-) subah uthty he Arfa na Hamza ko msg kiya, aur wo wazoh karne chale gae. wazoh k bad wo apne kamre ma ae musalah uthane lage tu uska mobile baja, wo bed k pas ae aur mobile utha kr dekha tu Hamzak msg tha wo heraan the, k ya abh tak jag raha he us na jaldi sa msg khola tu;
Hamza: Good morning too :) Duaao ma yaad rakhiyega. Msg parhty he Arfa k chehry pa muskurahat ubar ae aur usna foran jawab diya
Arfa: Ji zaror aur ap bhi.. :) usna msg bhja aur mobile rakh kar apna duppta aurne lage tu Hamza ka replay aya,
Hamza: Ji zaror! chalain namaz time. Arfa na uska msg parha aur usa ander he ander sa bht khushi hue, ya soch kr ka wo namaz bh parhta he. Namza ka bad jab us na duaa k liya hath uthaya tu uski har duaa k sath Hamza bh shamil tha, Wo exams ma apne kamiyabi k sath uski kamyabi ki duain krne lage, apne sehat hidayat k sath uski hidayat aur sehat ki duaa krne lage, pehly Arfa ki duaao ma sirf ik he duaa hoti the k wo kamyab dr bane, ab uski duain badal gae wo ab wo apne dr bann ne ka sath uski bh dr banny ki duaa krne lage, Arfa kese masoom bachy ki tarha hath pehlae Allah sa duain kr rahe the, jese choty bachy apne waldain sa farmaish krty rehty ha. Uski duaa am din kmuqable zayda taweel hone lage iski waja sirf wo shaks h jis na iska dil ma apne liya maqam hasil krliya tha.
Dusre taraf Hamza bh duaa ma apne sath sath Arfa k liya duain karne laga, zindage me pehli bar Hamza na apne ami k ilawa kese aur ko apni duaao k hissa banaya, Hamza na pehli bar Allah sa kese larki ko apne haq ma manga, Hamza amoman namaz kam parhta th aur kabhi kabar wo duaa nh karta tha. Namaz parhty he Hamza na Arfa ko msg kiya
Hamza: Parhli mena,, aur ap free hue?
Arfa: je mena bh parh li bs Quran parh ka ate hu.
Hamza: Acha theek ha! :). msg k bad Arfa mobile rakh k Quran parhne ma masroof hoge, Aur Hamza apni excercise karne ma masroof hogaya qareeb 30 min bad jab Hamza apni exercise sa free hua tu usa na ate he apna mobile uthaya he tha Arfa k msg dekhne k liya k Arfa k msg agaya aur wo bht heran hua k usna socha aur msg agaya wo muskurane laga, usna msg on kiya;
Arfa: Han ji ap so rahe ya jag rahe?
Hamza: Hamza na foran replay diya Jag raha hu ji. :D Hamza k foran replay par Arfa bh heraan hogae, k lagta ha mobile hath ma liya betha he uska chehry pa muskurahat ubhrne lage aur wo muskura kr jawab dene lage.
Arfa: Are wah itni jaldi jawab ajaega mjha andaza nhi tha, lagta h koi mobile hath ma liya intzar kar raha tha :D. Arfa k is msg sa Hamza k hasi ma mazeed izafa hogaya aur usna foran msg type krna start kardiya;
Hamza: Hahaha :D Arey nhi nhi, me exercise sa free hua tu apko msg krna k liya mobile uthaya tu ik dam apka msg agaya jabhi foran rep agaya :D :) dono ka darmiyan guftugo hone lage, thori dairki guftugo ka bad Arfa na Hamza sa kaha k ab wo college k liya tayar ho rahe ha tu wo us sa wapis akr baat karege. Arfa kareeb 8 baje apne colllege k liya nikal gae, aur Hamza exams k liya parhne beth gaya, Hamza na soch liya tha k wo isbar pechli galti nh dhuraega, ab wo uska pechy pechy nh jaega na he ese koi harkat karega jis sa Arfa ko ghussa ajae.
Class k ikhtitam par Arfa na apna mobile nikala usa laga k Hamza k msgs ae hunge lekin is bar usa nerashi ka samna karna para uska koi msg nhi tha ya dekh kar wo heraan hogae thi kionka usa ya lag raha tha shyd pehly ki trha wo us sa zayda baat krne k koshish karega, ik dam sa wo uth kar library k liya nikal gae usa laga shyd wo bahar mojood hoga, lekin yaha bh usa afsurda lotna para, wo panijaga par beth gae phr sochna lage k wo khud in cheezo sa chirti ha inhe cheezo pa usa zalil kiya aur ab ma beth k us sa wahe tawuqat laga bethe hu, shyd ise dar sa wo nhi aya ya phr sa sogaya hoga, itne sochne sa acha h ms usa msg he kardo, chemistry ki kitaab khole wo Hamza ke soch ma gayab the, bila akhir itne sochna k bad usna mobile nikala aur Hamza ko msg type kiya;
Arfa: ? msg sent krna k bad usa laga k foran replay aega lekn esa nhi hua tu 2 min bad us na dobara msg type kiya;
Arfa: ?? msg k bad us na foran call lagae call jane lage tu usna kat di ya kya krrahema wo kya sochega k pagal hogae ha ye,, itne ma Hamza jawab aya;
Hamza: Hey ap free hogae? kab sa wait kar raha tha ma! Hamza na notes band krke ik taraf kardiye aur Arfa sa baat krne mutawaja hogaya.
Arfa: Ma tu free hogae par tum kiya so rahe the koi msg he nhi aya?
Hamza: Nhi yar wo tm college ma the tu ma bh exams k liya par raha tha.. Hamza ki muskurahat ma mazeed izafa hua dono ki muskurahat chehry pe behad numaya the.
Arfa: Acha Acha chalo ma ghr ja rahe hu abhi phr coaching ma milty he.
Hamza: Dehan sa jana aur ghr phnch k msg kardena :)
Arfa: Ji Ji zaror :). Hamza ka msgs, uska badalta rawiya, uska andaz e bayan uska khyal rkhna parwa karna Arfa k dil ma uska liya muhbbat barha rahe the, Arfa bht masoom dil k masoom khayal ki aik mamoli si larki ha jis ki zindage ma bht kam log he, Jis k dil ma be panah muhbbat aur khuwaishat he mgr koi esa nhi jis k liya wo muhbbat dikhae jis ka sath wo apni khuwaishat ko share kare, Is ma koi shak nhi k wo behad zaheen thi aur apne baba ki khuwaih pori krne k liya koi kasar nh chorti, iska bawajood bh uska dil ma bh baki insano ki tarha ik soft corner ha jis ma behad choty choty khuwaish aur arman ha jo usna kabhi jagne nh diya ya phr kabhi koi esa nhi aya jis na in khuwaisho ko jagane ki koshish ki hu. Hamza wo wahid shaks ha jis na Arfa k dil ma jaga banae aur uske soye hue Armano ko jagaya, Arfa ko Hamza p aitbar ane laga tha uska dil ma muhbbat na jaga lele the, Hamza sa baat kiye bina usa kuch acha nh lagta tha, aur iska ahsas Arfa ko exams ma hua jab wo dono behad masroof thy aur exams ki tayari ma lage thy. Dono na ya faisal krliya tha k exams ma baat nhi karenge aur pori mehnat sa exams ki tayari karenge.
Raat ka 2 baje jab Arfa tayari pori krke sone k liya latne ja rahe thi tu uska mobile bajne laga, wo mobile ki taraf barhe aur utha k dekha tu Hamza ki call arahethi ya dekh kar usa behad khushi hue uski pori thakan utar gae us na foran call recieve kiya aur muskura kr bolne lage;
Arfa: As salam o Alikum kese hu Hamza. Uski awaz ma khushi aur excitement dekh kar Hamza be behad khush hua.
Hamza: walikum salam ma theek hu Alhumduliallah tum sunao kese hu tayari hogae. Hamza ki awaz ma bh wahe josh aur khushi the.
Arfa: Alhumduliallah ma bh theek hu je. aur han tayari hogae mere pori aur tmhare?
Hamza: Han mere bh hogae ji. Woma ya soch raha tha kal last paper ha aur itne din sa baat bh nh hue tu kal paper k bad ice cream khane chale. Hamza na bht tehar k aur dar k usa icecream ki offer di.
Arfa: Han yar ye baat tu he, chalo chalty he, Arfa ko Hamza ka ya idea behad pasand aya dono baato ma lag gae aur baat krty krty unhe pata he nh chala kab subah hue, Azan ki awaz na dono ko choka dia. Azan hogae pata bh nh chala kab sa baat kr rahe thy, Hamza na has k heran hoke kaha, Han yar waqai itne din bad baat hue shayd ise liye, chalo namaz parhty phr sojate ha. Arfa na has k Hamza ko kaha, dono na ik dosre ko khuda hafiz kiya aur sogae, agly din uthne k bad dono ka darmiyan koi baat nhi hue jab tak ka paper khatm nhi hua, paper khtm hoty he dono sath ma nikal gae, is bar un dono na apne dosto ko bh nh bataya na intizar kiya bs sath ma nikal gae.
Ice cream khane k bad jab wo log apne ghr k liya nikal rahe th tu Hamza na apne jaib sa ik khat nikala aur Arfa ko pakraya Ye lo Arfa tm isa please ghr jake parhna abh nhi aur uska parhne k bad mjha apna jawab dedena ya sb ma tmha na call p bolskta na msg pa na face to face. ye keh kr Hamza apne bike ki taraf barhne laga aur Arfa usa jata dekh rahe th wo usa rokna cha rahe th lekin itne ma riksha agaya aur wo us ma beth kar ghr nikal gae.
ESTÁS LEYENDO
Jadojehad (Struggle)
AventuraThe story of a girl who struggle hard for her dreams. Living in a Conservative family where a girl is not allowed to full fill her dream, in this type of family Arfa fights and successfully fullfill her dreams