Khushioki lehar

28 12 0
                                    

 Hussain sa milna Arfa ki zindage k liya itna khush gawar sabit hoga Arfa na kbhi khuwab ma bh nh socha hoga, 

Sham ka waqt jab wo ghr ma ae tu lawn ma bethi Mrs Ahmed usa dekh k behad khush hue, kionka aj Arfa k ane k andaz mukhtalif tha, aj wo pehla ki tarhaemu latkae nhi balke khushi khushi ghr ma dakhil hue,

Arfa: As salam o alikum amii ami k pas ake unhe gale sa laga k matha chum k Arfa na khushi khushi salam kiya, pehla bh Arfa k andaz yahe hua krta tha lekin pehla wo kabhi muskura kr ya khushi khushi salam nhi karti th, hamesha ik dheme lehje ma salam kiya karti the, Mrs Ahmed Arfa k mood ko dekh kar behad khush hue lekin unhona us sa pocha nhi ya soch kar k kahe uska khush hona uski ami ko pasand nhi.

Mrs Ahmed: walikum sallam mera bacha, Allah khush rakhe betho ao   Chae piye, kursi ki taraf ishara karty hue kaha Arfa kursi pa bethna k liya age bari aur Mrs Ahmed  Uska liya chae nikalne lag gae, Arfa k bethna k bad Mrs Ahmed na usa chae ki pyali di, 

Arfa: Thankyou mama is ki bht need thi. Chae k ghont lete hue Arfa na kaha

Mrs. Ahmed: I know mera bacha. Muskura kar Arfa ko dekh kar Mrs Ahmed na jawab diya, aur dil he dil ma dua krne lag gae Allah isa hamesha esa khush rake Ameen.

Arfa: Mama apko pata h itna bura scene hua aj mere sath chae k cupp nechy rakhty hue Arfa na pareshani k alam ma apni ami sa kaha

Mrs Ahmed:Mrs Ahmed take lagae kursi par bethi thi.  Allah khair mera bachakiya hua he, Mrs Ahmed pareshani ma age hoker boli

Arfa: Arey ami pareshani ki baat nhi ha sub theek ha, wo bs zara sa pao mur gaya tha be dehani sa. ab theek ha  Arfa na ami ko mutmaen krne k andaz ma bola.

Mrs Ahmed: Kuch lagaya?

Arfa:Ami waha ik Dr agae thy, Unhona mjha foran spray lagaya jis sa mera pao foran theek hogaya

Mrs Ahmed: Beta wo kon ha tmhare sath kam karty he? Mrs Ahmed na tajususi andaz ma pocha.

Arfa: Nhi ami unhone abh kal he join kiya ha, ma bh unhe nhi jante the, ami wo bht ache ha ap ko pata ha wo U.K sa aye ha aur wo yaha hamre mulk ma apna hospital kholne ja rahe ha jis k mayar U.K k tarz ka hoga, aur apko pata ha unhona mjha bh apne sath as a cardiologist kam karne ki pesh kash ki mjha bht khushi hue sun kar k bila akhir mjha bh Allah na apne bando ki khidmat k liya chun he liya :) Arfa khushi sa apne ami ko sare dastain suna rahe thy, aur sare batain bata rahe thi jo jo waha hue. Mrs Ahmed Arfa ko  dekh kar behad khush hue, Wo itna tu smjh gae k iski khushi ki waja Dr Hussain nhi blky uski peshkash ha jis na Arfa ko itna khush kardiya wo dil he dil ma Allah sa iski khushio ki duaa kar rahe the, Mrs Ahmed ka dil bh ik ma ki tarha sochne lag gaya, Wo apne dil he dil ma Arfa aur Hussain k ik hone ki duain mang rahe th.

Arfa: Ami ap kin khayalo ma ghum hogae?

Mrs Ahmed: Arey kuch nhi bus ese.

Arfa: Acha ami ma fresh hoke ate hu.

Mrs Ahmed:  Ok beta ap jao Arfa k mathe ko payar sa thapki deke Mrs Ahmed usa jata dekh rahe thi aur uska jane k bad inki muskurahat pareshani ma tabdeel hogae. Arfa ki ab shadi ki umar hogae ha, aurMrs Ahmed apnemarne sa pehla Arfa ki shadi karna chahti ha take wo itminan sa mar sakai.

Hussain apne project ko leke kafi serious tha, wo mardam shanas banda tha, us na kam umer ma itna tajurba hasil kar liya tha k wo logo ko dekh kar pehly he mulaqat ma jan leta tha k wo kitne kam k banda ha ya wo shaks kitna mukhlis ho skta ha. Hussain an pehly he mulaqat ma Arfa ko jan liya tha, k wo is kam m uske madad k liya kitna serious ha.

Mr Rehmat(Hussain'sFather): Hussain my boy kya soch rahe hu? Hussain apne lawn ma betha laptop god m liya khayalo ki duniya ma ghum tha, k apne abu ki awaz sun kar chonka jo mu ma cigar liye coat pent pehne uski taraf arahy thy.

Hussain: Chonk kar usna palat k dekha tu uska abu arrahy, Ah dad bs kuch nh hospital k soch raha tha,

Mr Rehmat: Arey boy kande pa thapy ka mar ke apne bete k wo uska baraber wale chair m ake beth gae cigar k kash lete hue bole my boy kya masla ha paise chaiye? ya permision k koi masla ?

Hussain: Dad yaha hamre shehar ma cardiac problems bht ha, yaha k ratio dekh kar aya hu 55% yaha ki population ma cardiac problems pae jate ha, aur ya kafi serious masla ha aur dusre bari problem ye ha k yaha koi acha aur advance cardiac setup nh jaha logo ko sasta aur bhtren ilaj diya jae.

Mr Rehmat: Beta tell me how can i help you.

Hussain: Dad i mjha ap sa bs itna favor  chaiye ka ap mjha  bs bahar sa machines lane ma madad kardain, aur mjha ese permission dila de k hospital k kam bina ruke chale! Hussain na behad sanjidege sa apne abu ko apna mokif bataya.

Mr. Rehmat: Don't worry beta, samjh jao apka akm hogaya.

Hussain: Thanks dad! muskura ker usne apne abu ki janib dekha.

thori dair dono baap bete apas ma baat karty rahe.

Arfa ko  Hussain k proposal itna acha laga ky wo ghr aker bh use k bare ma sochne beth gae, us na internet sa heart k problems k modren techniques dhunde modren machinery dhunde aur unka bare ma sare knowledge ikhata krke Hussain ko msg ma likhe k sare tafseel share krdi.

Hussain apne chat p jholy p betha coffee ma mug hath ma liya Arfa k sath is setup k bare ma baat krne k soch he  raha tha k Arfa k msg aya ye dekh kar Hussain ko herangi hue aur jab us na msg parha tu dhang reh gaya, k jo wo discuss krna chahta hu wo Arfa na khud sa discuss krliya, Hussain Arfa k is amal sa kafi impress hua aur usna Arfa ko callmilae;

Arfa: As salam o Alikum! table p bethe laptop on kiye research ma masroof Arfa na bina name dekha call utha liya.

Hussain: walikum salam. Kese ha ap pao ka drd kesa ha?

Arfa: Hussain ki awaz sun kar wo ik dam chokana hoke beth gae usa khud nh pata us na ya act kio kiya. je je theek ha shukriya apki waja sa he theek ha.

Hussain: Mera farz tha! wese i am impressed Dr Arfa! hussain na hath chin pa rakhk apne dari ko hilate hue bola

Arfa:Herange sa pochne lage kio?

Hussain: Ma abh jo cheezain ap sa discuss karna chahta tha wo apne khud kiya mjh sa.

Arfa: wo ma hamesha sa esa kuch karna chahti the lekin kabhi moka nhi mila aur ab moka mil raha ha tu ma usa waste nh kar sakta

Hussain: That's great.

Dono ki ye guftugo kafi dair tak chalne lage.

 "Kuch logo ka ana he apki zindage ma khushio k dastak de jata he, wo log apki zindagema chiragh k kam karty he unka ane he apki andhri zindage ko roshan kardeta ha"

Jadojehad (Struggle) Место, где живут истории. Откройте их для себя