PAKEEZA

1.9K 16 4
                                    

"Na janey ye zindagi aur kitny imtehan legi..aur kab tak main inme pas ho paungi..roz naye mashgaly roz nayi uljhany suljhaty suljhaty ab thakan si hony lagi hai.. ha par mere rab sy meri lau mujhy tootny ni deti..aur har roz mujh my ek nayi ummed jagati hai.. jiney ki ek nayi umang paida karti hai mujh my.....logon ko lagta hai ki main bahut bahadur hun...kyunki mainy khud ko kabhi kisi k agey kamzor ni padney diya...tab bhi ni jab mere abbu ny hamy ek dusri aurat k liye chod diya..tab bi nahi jab us gham my meri ma pagal ho gayi..aur tab bi nahi jab wo is duniya sy kooch kar gayin...main is badey se ghar my akely hi apni zndagi guzaar rahi hun.. ha sahi kaha guzaar hi to rahi hun...par main shukr guzar hun apny rab ki..ki usny mere sar par chat to salamat rakhi hui hai...main ek english medium school my teacher hun esliye mujhy kisi k samny hath ni phalana padta...amina ko to lagta hai..ki main mustaqbil my bahut kamyab doctor banungi...par wo ye ni janti ki aj ki ye duniya qabliyat ko ni balki paisy ko ahmiyat deti hai...khair jo bi hai...zindagi to jeena hi hai..to kyu na isey khush hokr jiya jaye...." tabi uska phone baja to usny apni diary aur pen ek kinary rakha aur call receive ki..

Mujhe haq hai...जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें