part -27-

261 14 12
                                    

"ary ammi par ye kaise ho sakta hai...." wo pareshani se bola

"ismy harj hi kya hai...koi anokhi bat to nahi hai na...." wo uski almari thik karti aram sy bolin...

"par ammi zara ye sochiye log kya kahengy....kya hamari baton par koi yakeen karega..." wo unhe qayal karny ki puri koshish kar raha tha par wo man kar na de rahi thin...

"logon sy darny ki zarurat nahi hai unka to kam hi baten banana .......

" hame bas allah ki fikr karni chahiye ki wo hamsy razi aur khush rahy bas...."wo do took bolin....

"par ammi bahar logon my hamara uthna baithna hai aisy me ekdam sy koi akar........."

"tumhari biwi .." unhone fauran toka...

"ha wahi.... par ab logon ko ye kaisy samjhaengy....." wo pareshani sy bola....

"beta ji miyan biwi k ek kamry me rehny sy logon ko kabsy takleef hone lagi.......

" par ammi logon ko kya pata hamari shadi kab kaise kin halaat me hui...khamkhah baten banaengy hamare bare me...." usne akhiri teer phenka

"agar aisa hai to ham tumdono ka waleema rakh dety hain...(gayi bhains pani me).alhumdulillah hashmi sahab ki itni izzat hai ki log hamari bat ko samjhengy......" wo soch kar boli to es naye jhatky par usky pairon taly sy zameen nikl gayi...

"ye ...ye kya kah rahi hain ap ammi...ye kaisy ho sakta hai....." wo baukhla hi to gaya...

"dekh ab agar tuny anakani kari na to main bata rahi hun main bhukhi pyasi mar jaungi kahy deti hun...."

"allah na karen ammi ye kaisi baten kar rahi gain ap....main ek to kya das walime kar lun apni ammi k liye....." wo fauran unky hath ankho sy lagata bola....

"chal shareer kahin ka...tu bas yahi ek kar le...."

"thik hai ammi jaisi apki marzi...." wo mayusi sy bola...

"beta is tarah sy to mere dil par bojh ban jaega...tu hans kar keh na...."wo dukhi hoti bolin to wo fauran sambhla...

" ary meri pyari ammi jan etni khubsurat pyari biwi jisy milegi wo bhala khush kyu nahi hoga....main aj tak apko esliye nahi bata paya ki kahin ap mujh sy naraz na ho jaen...."...usny bholypan k sary record tod diye aur fatima fauran pighal gayin....

"kya.....tu sach keh raha hai beta...." wo nihaal hoti bolin..

"apko abi bi shak hai kya ammi..." wo shikayti andaz me bola...

"ary nahi mere bachchy....bikul bi nahi......allah tujhy dhero dher khushiyan de aur nazr e bad sy bachaye ...." wo uski peshani chum kar dhero dher duwaen dene lagin...jo ki edward ki kamzori thi....

******************
"haye allah amina tu jaldi aja nahi to mera heart fail ho jaega....." wo apny dil par hath rakhti boli...jabsy usy walime ka pata chala usky jism me to mano khun hi na reh gaya.....

"ary sabr rakho mayna main fauran pahunchti hun......tum bilkul bi pareshan na ho

" kaise sabr rakhun amina...yaha mujy halaal karny ka pura intezam ho chuka hai...jaldi ajao fatiha padhny...." usky jumly par udhar amina ki hansi nikl gayi par usny control kar liya warna es wakt wo bahut bura man jati....

"achcha main abi pahuchti hun....ab tum phone rakho...main maham ko tayar kar lun...." wo hansi par zapt karti boli...to usny phone rakh diya...

"allah ye kis nayi museebat my phansa diya mujy...khudayajab bi main es bandy sy milti hun to iska akhir shadi par kyu hota hai.. ..main kya karun kaha jaun koi to madad karo meri...." wo apne kmry me bathi roty huwe duhaiyan de rahi thi...aur kismat apny es naye khel par muskuraye ja rahi thi.....

Mujhe haq hai...जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें