uski puri rat yunhi aankhon me kat gayi.....dil aur dimagh sun hota mehsus ho raha tha....use ab bi yakeen nahi araha tha ki wakt ne kitna bada khel khela hai uske sath....use kahin ka to nahi choda tha....wo patthar k but ki manind bas ek h jagah par khada tha......yakeen karna bahut mushkil ho raha tha...par sach ko jhutlaya bi nahi ja sakta tha......aur sach ki tasveer aisi bhayank thi jise dekh wo hil kar reh gaya...
wo kitni hi bar shah ji k bheje us parcel ko dekh chuka tha.....jisme shahzaad aur kulsoom ki muhabbat bhari daastan thi.... aur us muhabbat me dard aur takleef lane wala shaks koi aur nahi edward jonas tha.......usne takleef se apni ankhen bheenj li.....
shah ji use karz utarne ko keh rahe they...use badla lena tha edward jonas ko barbad karke , uski duniya ujaad kar, uski beti ko barbaad karke....marwa ko tabaah karke.....
"nahiiiii....." uske mu se chikh nikal gayi.....uski sanse tez ho gayi aur jism paseena paseena ho gaya....
"main ye nahi kar sakta...kabi nahi.....aur phir main aisa karun kyu......sir ne to muje pehle hi pura muamla bata diya tha ki kaise unse anjane ek accident hua tha...infact unhe to pata b nahi tha ki wo shaks es duniya me nahi hai.....unhe to ye sab ab pata chala hai.....aur esiliye shah ji ki dhamkiyon se pareshan ho kar marwa aur ryan ko khud se dur kiya......" wo khud ko samjhane ki koshish me laga hua tha ..
"par main shah ji ko ye sab kaise samjhaunga...un par to edward jonas ko barbad karne ka junoon sawar hai....." wo uth kar khidki k pas agaya....
"muje es muamle par jald hi koi action lena hoga...warna bahut badi museebat asakti hai...." wo abi soch hi raha tha jab uska darwaza knock hua....
"andar ajao...." aur wo mu banaye andar dakhil hui...
"kya hua koi problm hai kya...." wo use dekhta bola..jane kyu ekdam hi es ladki ki bahut fikr hone lagi thi...
"hmmm...wo muje thodi shopping karni hai...esliye gadi ki chabi chahiye thi..."
"ok...phir tum ready ho jao main chalta hun sath me...."
"na hi nahi nahi nahi....womain khud hi jaungi..." wo baukhla gayi uski peshkash par.... ab kya batati ki use apni kuch private chizen leni hai...
"jitna keh raha hun utna karo....aur ha ek bat yad rakhna ...." wo uske thoda kareeb jata bola to ghabra kar piche hui..."es ghar se bina meri ijazat kadam nikalne ka sochna bi mat..." wo dhamki bhare andaz me bola to wo bhadak uthi...
"kya.......kyu karun main aisa....kyu manu apki baat...hote kon hain ap muje order dene dene wale.....ye sare hukm apni us nimra shimra k liye bach kar rakhiye samjhe ap..." uska khoon hi khaul gaya...
"kise kya hukm dena hai ye muje batane ki zarurat nahi...jitna kaha hai utna karo....nahi to ....." wo jumla adhura chod gaya...
"nahi to kya ha ...kya kar lenge ap..." wo tadakh kar boli...to uska bazu dabochte gharazdar lehje me bola...
"nahi to muje apni baat manwana bakhubi aata hai miss marwa hasan jonas....." usne use etni sakhti se pakad rakha tha ki uski karaah nikal gayi...aur tan use apni ghalti kahsas hua to jhatke se use chod diya.....wo hairani se us shaks kodekh rahi thi...uske liye yakeen karna mushkil ho raha tha...ki arsalan uske sath aisa rawaiyya apnaega...uski ankho se ansu toot kar girne lage aur wo apne bazu par hath rakhti waha se chali gayi...
"control arsalan control ...es tarah hyper hone se muamlat aur bigad jaenge....pehle tumhe marwa ko hi yakeen dilana hoga ki tum yaha uski hifazat k liye aye ho....." wo apni peshani masalta pareshani se sochta bola....
"kya tum tayar ho..." kuch der bad uske kamre me jakar narmi se bola jo aundhe mu bed par leti thi.....
"muje kahin nahi jana...." wo bed me mu diye rundhi awaz me boli..to wo chakta hua bed k kareeb aya...
आप पढ़ रहे हैं
Mujhe haq hai...
Romanceye kahani hai pakeeza ki..jiski zindagi bahut mushkilon sy bhari hui hai..aur wo apni zindagi my any wali har mushkil ka samna bahaduri sy karti hai. ...zindagi bas yun hi kabhi dhoop, kabhi chaon si guzar rahi thi..par achanak wakt aisi karwat let...