part-25

300 12 1
                                    

jaisy hi usny salaam phera...usy apny pichy kisi k hony ka ahsas hua...wo samajh gaya..ki abi kuch der pehly usy jisky bary my bataya gaya tha shayd wahi ho....usny dua mangi..aur apny chehry par hath phera....tabhi pichy sy uski awaz ayi....

"apka bahut bahut shukriya...es mushkil wakt my mera sath deny k liye...apko nahi pata apny mujh par kitna bada ahsan kiya hai...main ek bar phir sy......." aur jaisy baki k alfaz usky mu my hi dam tod gaye....jab us shaks ny usy mudh kar dekha....
usky burqey my hony k bawajood bi wo usko pehchan gaya tha...aur kaisy na pehchanta..yahi to wo shakshiyat thi jisny usy hila kar rakh diya tha.......

wakt puri tarah sy tham chuka tha...kamry my hu ka sa sannata tha...mano ek sui bi giregi to tehelka mach jaega....dono ankho my hazaron sawalt liye ek dusry ko dekhy ja rahy thy...sakta to tab tuta jab zor sy badal garjy.....

"edward ....tum....yaha...."sargoshi k andaz my pucha gaya...aur wo jo patthar bana usy dekh raha tha....ek dam hi usky hoth sukad gaye...bhawen tan gayin....

" mera nam imam hasan hai..." bady naghawar andaz my kaha gaya...aur ekdam hi usky dimagh my jhamaka sa hua....wo kuch aur bolti ussy pehly hi wo do took andaz my bola

"main es kamry my tumhary sath nahi reh sakta....to behtar ki tum yahin theher jao...main apna kuch aur entizam  kar lunga...." wo bina uski taraf dekhy bola...aur tezi sy bahar nikl gaya...

aur wo jaisy sab kuch samajhny ki naqam si koshish kar rahi thi...wo apna sarpakadti wahin baith gayi.....

*****************

rat kafi ho chuki thi...par nind uski ankhon sy koson dur thi..aj usny jis shaks ko dekha wo pehly sy kitna alag tha..usky chehry par halki sy dadhi ek alag hi noor baksh rahi thi...aur sabsy hairatangez wo namaz padh raha tha...lekin kab aur kaisy itna badla wo...dil me hazaron sawalat thy par jawab kon deta...par ab usy janna tha sab kuch...aur kyu janna tha ye wo bi nahi janti thi.....puri rat yun hi sochty huwe guzar gayi par koi sira hath nahi laga....phir ek dam hi jaisy ankho k samny kaundha sa lapka...aur wo ek dam sy uth baithi...aur idhar udhar nazren daudany lagi..

samny hi uska blue colour ka bag rakha hua tha...wo lapak kar us tak pabunchi...

"aye allah mujy muaf kar dena...main bina ijazat k yr bag khol rahi hun....par main kya karun main bahut majboor hun..idky siwa aur koi rasta nahi hai....." phir usny bag ki zip kholi....jismy usky kapdy..kuch saman aur ek black diary thi..usny dhiry sy us diary ko uthaya...

"shayad isky zariye...baki logon ka pata mil jaye...." soch kar usny diary kholi....aur samny jo manzar tha...usny usy barf bana diya.....

ye pakeeza ki mayon ki tasveer thi.......

"edward ny isy .....par kyu...wo to ...wo to ek fraud shaks hai na....phir......." wo jitna sochti utna ulajhti jati....phir usny us tasveer ko uski jagah par rakha.....phir diary par likhy address par uski nazar padi.....

"imam hasan son of imam hashmi...chandni chauk ..delhi.."

"ye sab kya hai.....?ye imam hashmi k beta.....par kaisy...?aur...aur ye delhi me....."

"matlab......matlab hm do sal sy ek hi sheher my thy...aur mujy bhanak tak nahi lagi......"

"par koi bat nahi....ab to main jan gayi hun na...."

"meri wajah sy bahut logon ka dil dukha hai...adil bhai aur amina ki zindaghi my zeher meri hi wajah sy aya hai...aur main hi isy dur karungi.....main in do doston ko phir sy ek karungi...kyunki ab mujhmy aur is bojh ko sehny ki taqat nahi hai......allah meri madad karna...." keh kar usny jaldi sy address aur number note kiya aur sara saman waisy hi rakh diya.....

Mujhe haq hai...जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें