wo apny bistar par karwanty badal raha tha....dil ko ek bi pal ka qarar nahi araha tha ......na khany ka hosh tha na piney ka..... har lamha bas usi ki yad sataye ja rahi thi..apny ammi ko abbu ko to ye keh kar mutmaeen kar diya ki wo kuch din apni ammi k pas rukna chahti hai......par apny es dil ka kya karta jo uski qurbat ko tadap raha tha..........
"ye kya kiya tumny mere sath....aur kyu kiya............. akhir kya kami reh gayi thi meri muhabbat me jo tumny mere sath aisa kiya ruku.........." wo apni jalti ankho par bazu rakhy leta tha.......phir achank hi uska hath side par rakhi uski muskurati tasveer par gaya........
usny hauly hauly uski tasveer par hath phera jaisy wo wakayi usky samny ho.........
"mujy nahi lagta ki main tumhary bina je paunga ruku....mujy apna dam ghutta mehsus ho raha hai.............
" laut aao mere pas heartbeat laut aao ......... dekho tumhary liam ki kya halat ho gayi hai tumhary bina........" wo uski tasveer ko siney sy lagaye bola...to do moti usky galon par ludhak gaye
"ya allah khair......ye kaisa khwab tha............. liam....liam thik nahi hai....... wo bahut pareshan hain............" wo ekdam hi uth baithi usky jism sy pasiney choot rahy thy................
"mera dil bahut ghabra raha hai..........jaisy liam k sath kuch bura................... nahi nahi aisa nahi ho sakta.....wo bilkul thik hongy........." wo apny chehry par hath pherti apni betarteeb dhadkano ko sanwarti boli ....... dil zoron sy dhadak raha tha....... phir usny apna mbl uthaya....jis par uski muskurati tasveer jagmaga rahi thi...........
"ye kiasi muhabbat hai apki liam........... apko apni heartbeat par itna sa bi yakeen nahi hai........... kam sy kam ek bar...... ek bar to mujhsy bat karty.......... ye kaisi adalat thi apki jaha mujy bina koi mauqa diye sifha suli par latka diya apny........kyu liam kyu........" wo mobile ko apny siney sy laga kar sisak padi........
"liam please laut ayen.........aur mujy le jayen..........nahi to ......nhi to mera dil phat jaega........... please laut aiye mere pas ......." wo uski tasveer ko dekhti sisak padi........
"agar wo ghalat hai dhokybaz hai to kyu............ kyu mujy aisa lag raha hai jaisy ....................... jaisy wo takleef my hain..... mujy pukar rahi hai.......... aur aise hi tadap rahi hai jaisy main yaha par..................." wo apny bistar sy uth baitha......
आप पढ़ रहे हैं
Mujhe haq hai...
Romanceye kahani hai pakeeza ki..jiski zindagi bahut mushkilon sy bhari hui hai..aur wo apni zindagi my any wali har mushkil ka samna bahaduri sy karti hai. ...zindagi bas yun hi kabhi dhoop, kabhi chaon si guzar rahi thi..par achanak wakt aisi karwat let...