"pagal ho gaya hai wo .....dimagh kharab ho chala hai uska .........chodungi nahi main ise dekh lena tum...." wo jale paon ki billi ki trah pure kamre me gusse se ghume ja rahi thi....uska bas chalta to wo kabeer ko qatl hi kar deti.....
"haye kitni nashukri ho tum sanam.....itna pyar karne wala shauhar mila hai aur tum ho ki...." marwa afsos se boli...
"khabardar ..khabardar jo us khabees ko mera shauhar kaha to...." wo ungli dikhati sholabar tewar liye boli...
"lo...bhala ab nikaah kiye huwe bande ko shauhar na kahun to chacha kahun kya....haye ek kabeer bhai hain jo apni muhabbat k liye puri duniya se takrane ko tayar hain...aur ek wo sangdil....patthar dil...kitni asani se apni mangni karwa li...aur muje kehta hai ki main bewakoof hun..." uski to ankhen hi chalak gayi....
"ha...waise kuch ghalat bi ni kaha hai.." wo badbadayi...
"haaaann..kya kaha tumne.." usny bhawen sukedi...
"kkk..k..kuch ni yar....bas aise hi..."
"ha ha uda lo mera mazaak...koi nahi ni hai jo meri takleef samajh sake..." wo phir rhansi ho gayi..."yar dekh main pehle hi itna pareshan hun..ab tum rona mat shuru ho jana. .." wo use dapatti boli...
" tumhe kya ehsas hoga meri takleef ka ....dil to mera tuta hai na...dokha to muje mila hai...." wo dukh bhari awaz me boli..
"marwa arsal bhai ne tumhe koi dhoka nahi diya.....ab tum unki taraf attract hui to isme unki kya ghalti hai..." sanam ne use samjhana chaha....
"mera dil is bat ko manne ko tayar nahi hai sanam...."
"unhone kisi aur se mangni kar li hai marwa....ab isse bada saboot aur kya chahiye tumhe...." usne marwa ko kandhon se tham kar khada kiya to wo kuch bol hi na payi....
"apne apko sambhalo marwa....ye to achcha huwa ki wakt rehte sachchayi samne agayi.....tum pareshan mat ho... sab kuch thik ho jaega......"
"hmmmm...aur tum bi pareshan mat ho ...kabeer bhai bi sab kuch thik kar denge..." wo sharart se boli..aur bhagi
"marwa tumhari jaan jaegi mere hathon..." wo bi uske piche lapki....
"chodungi nahi aj tumhe..." wo hath me vase liye daudi...aur achanak hi kisi se etni zor se takrayi ..phi wo sidha zameen par gira aur uske upar sanam...vase k tukde uske ird gird phail gaye...
"muje nahi pata tha...tum meri yad me es trah pagal ho ki aise mera swagat karogi ..." kabeer k jumle ne uske rukhsaron ko laal kar diya tha...wo fauran uth khadi hui...
"tum...tum phir se agaye...." wo fauran apni tone me lauti...jabki wo uske surkh tamatar jaise chehre ko dekh kar maze le raha tha..
"yy..ye is trah se ghoor kyu rahe ho muje...." wo bhawen sukedti boli...
"tumhare chehre par apni qurbat ka asar dekh raha hun sweetheart...." wo uske gal par shahaadat ki ungli rakhta bola..
"ainda muje hath lagaya na to main tum....." wo taish me agey badhi ...par jaise hi nazar uske zakhmi hath par padi baki ka jumla mu me hi reh gaya...vase ka tukda uske hath me kafi gehra laga tha jisme se khoon ris raha tha...uske chehre par hawaiyan udne lagin..jabki wo ab bi bepareah sa use muskurate huwe take ja raha tha.....
आप पढ़ रहे हैं
Mujhe haq hai...
Romanceye kahani hai pakeeza ki..jiski zindagi bahut mushkilon sy bhari hui hai..aur wo apni zindagi my any wali har mushkil ka samna bahaduri sy karti hai. ...zindagi bas yun hi kabhi dhoop, kabhi chaon si guzar rahi thi..par achanak wakt aisi karwat let...