2. Dr. Gupta: The Tachyon Man(Episode.2)Sarang hairani se apne dost ko dekh
raha tha. Use lag raha tha ki uska dost
kawya ki
maut k sadme se pagal ho gaya hai, ''bhai
samhal
apne aap ko, ye kaisi behki-behki baatein
kar raha
hai. Pagal to nai ho gaya hai. Ye namumkin
hai.''
Gaurav poore josh ke sath bola- ''bhai mai
sach keh
raha hu aur ye bilkul mumkin hai.''
Phir thoda ruk kar bola- ''kabhi 'tachyons'
ka naam
suna hai?''
Sarang ko ab bhi pata nai tha ki gaurav kya
kehna
aur karna chahta hai.
''Ha suna hai... aise particles jinki speed
light ki
speed se bhi jyada hoti hai. Par ye sirf ek
theory hai
aur tera matlab kya hai?''
Gaurav apni kitabo mai najre gadaye hi bola,
''ye ab
sirf ek theory nai rahi. Pichle mahine hi
colorado ke
ek professor ne in particles ko apni
laboratory mai
create kar liya hai. Unka naam Dr. Gupta hai
aur ha
wo Indian hai.''
''Sach... magar isse hume kya?''
''Dr. Gupta agle friday ko India aa rahe hai.
Agar
hum unse 'tachyons' ko kaabu mai karna
seekh le to
hum time-travel kar sakte hai.''
''jara dhang se samjhayega, kaise??''
''Einstein ke mutabik jo cheez light ki speed
se travel
karti hai wah time-travel kar sakti hai. Agar
hum
tachyons ka istemal apni time-machine mai
kare to
hum asani se time-travel kar sakte hai aur
samay
mai peeche jakar kawya ko ba....''
Baat poori hone se pehle hi gaurav ki aankhe
bheeg
gai thi. Lekin apne aansoo pochta hua wo
bola,
''maine sab setting kar li hai. Hum unke
paas as a
student jayenge aur unse hume sikhane ko
kahenge.''
''Agar wo nai maane to...''
''Maine kaha na ki maine sab setting kar li
hai. Tu
uski chinta mat kar.''
''Lekin tujhe meri madad kis liye chahiye?''
''Bhai tujhe to Pata hi hai ki mere paas itna
paisa nai
hai ki akela hi time-machine bana saku jabki
is
kaam mai karodo ka kharcha ayega. Agar tu
apne
papa se k..k.keh ke...''
Sarang ke pita 'TekRek' naam ki company
mai CEO
the jo army ke liye hathiyar banane ka kaam
karti
thi.
''Papa shayad hi manenge bhai. Unke liye
business
hi sabkuch hai, isliye wo itni badi rakam
kabhi aise
risky project mai nahi lagayenge.''
''Ek baar meri unse baat karwa de bhai. Mai
unhe
mana lunga.''
''Jaisa tu theek samje. Mai kal hi teri unse
meeting
karwa dunga.''
Agle din Gaurav bahut khush tha. Uske liye
aaj ek
bada din tha. Aaj use 2 kaam niptane the. 1
tha
sarang k papa ke sath deal karna aur dusra
nikhil ko
raaji karna. Nikhil uska dost tha aur kismat
se Dr.
Gupta ka bhanja bhi.
Nikhil ko patana itna tough nai tha jitna
sarang ke
pita Mr. Verma ko tha. Lekin usne unhe bi
raaji kar
liya magar ek bhari keemat par.
Ab bas ek hi kaam bacha tha aur wo tha Dr.
Gupta
se mulakat aur unhe impress karke unke
gyaan ki
chabhi hasil karna.
Dr. Gupta ek 40-45 saal ke aadmi the aur
koi bhi
unhe dekhte hi bata sakta tha ke wo ek
scientist hai.
Weh jyadatar samay apna lab-coat penne
rehte the
aur har waqt sirf science ki baate hi kiya
karte the.
Weh samay ke kafi paband the isliye Nikhil
ne
Gaurav ko khaas chetawani di thi ki kabhi
unko
intejar na karaye aur bilkul punctual rahe.
Gaurav chooki quantum physics ka jadugar
tha use
Dr. Gupta ko impress karne mai jyada time
nai laga
aur Dr. Gupta ne use aur sarang ko apna
student bana liya.
Magar unka assistant gaurav ko bilkul
pasand nai
karta tha. Wo achanak kahi se prakat hota
aur
gaurav k bane banaye kaam ko bigad deta.
Aur ek din...
to be continued...
आप पढ़ रहे हैं
THE TIME MACHINE(IN HINDI)
Mystery / ThrillerSTORY BY WRITER NIKAS NIKAS:-Kya Time-Travel sambhav hai?? Kya koi samay mai peeche jakar apna past badal sakta hai. Ye kahani aise hi ek insaan ki kahani hai jisne ek hadse mai apna pyar kho diya aur phir use wapas pane ke liye time-machine tak ba...