Episode- 29

406 2 0
                                    

Episode- 29

''To ye hai hum logo ki kahani.. aur phir jab maine IDT ka button dabaya to wo chali hi nahi.. thodi der halke se thoka-hilaya aur button press kiya to wo chal gayi.. mujhe laga shayad pehle button shayad theek se daba nahi hoga.. lekin ab lagta hai ki koi bahut badi bhool ho gayi mujhse..'' Gaurav ne shuru se lekar ant tak poori kahani nikunj ko suna di.
''Mujhe lagta hai ki bhagte waqt jab machine tumhari jeb se giri tab ya to iski default settings mai gadbad ho gayi ya iska koi part toot gaya.. agar sirf settings mai gadbad hai tab to jyada ghabrane ki baat nahi hai.. lekin agar koi part damage hua hai to dikkat ho sakti hai..'' nikunj ne poori baat sunne ke baad apni ray jahir ki.
''Are bhai kyu dara rahe ho?? Agar damage hua hoga to kya wo theek nahi ho sakta??'' Sarang ne ghabrate huye kaha. Poore group mai shayad sabse dara hua wahi tha.
''Ye depend karta hai.. jaisa ki tumne bataya ye machine ek out-of-galaxy tech hai.. to iska mechanism bhi waisa hi hoga.. isliye maine kaha ki dikkat ho sakti hai.. lekin phir bhi hum poori koshish karenge..'' nikunj ne samjhaya.
''Ohh.. tumhara bahut bahut shukriya dost..'' nikhil ne kaha.
''Isme shukriya kaisa.. ye to hamara farz hai.. aur shayad tumhari madad se hum apni bhi madad kar sake..'' nikunj ne kaha. Uski ankho mai ek alag hi chamak thi. Usne akhiri line khud se kahi thi isliye kisi ko sunayi nahi di.

''Are bhai.. tumne hamari story to sun li lekin apni nahi sunayi.. ye is duniya ka aisa haal kaise hua??'' Gaurav ne poocha.
''Bahut lambi kahani hai.. tum log thake huye honge.. aur yaha ke atmosphere mai adjust karne mai bhi pareshani ho rahi hogi.. kuch der araam kar lo.. baad mai tasalli se baat karenge..'' nikunj ne uthte huye kaha.
''Nahi tum baitho.. hum log theek hai.. hum sab abhi sunna chahte hai..'' neha ne kaha. Ye uske pehle shabd the jo yaha aane ke baad usne nikunj se kahe the.
''Ab agar itni sundar ladki kahegi to baithna to padega hi..'' nikunj ne wapas baithte huye kaha.
Nikhil ko uski ye baat bilkul bhi achhi nahi lagi. Use laga wo uski behan ke sath flirt kar raha hai lekin chooki usne unki jaan bachayi thi aur wapas ghar jaane ka bhi yahi banda ekmatra upay tha isliye wo kuch nahi bola.
''Haa to suno.. aaj se lagbhag 8 saal pehle ki baat hai.. saal tha 2013.. us waqt hamari duniya bhi kafi khubsurat thi.. hamare yaha ke scientists ne ek machine banayi thi universe ke rahasyo ko janne ke liye jise wo 'large hydron collider' yani 'LHC' kehte the.. uske sabhi experiments kafi safal rahe the.. yaha tak ki 'god particle', jise hum higgs-boson kehte hai, ko bhi khoj liya gaya uski madad se.. lekin ek din ek russian scientist ne us machine ke experiment ke waqt ek bhool kar di.. jisse waha blast ho gaya.. us waqt waha neutrons par experiment ho raha tha.. dhamaka 100 nuclear bombs se bhi jyada shaktishali tha.. kai European desh ek jhatke mai khatam ho gaye.. baaki bache european countries aur russia mai world war shuru ho gaya kyuki european countries Russia ko hi is tabahi ka jimmedar maan rahe the.. USA ne europe ka sath diya aur Asian countries ne russia ka.. ye ek nuclear world war tha.. kuch nahi bacha uske baad.. aaj ki sachhayi ye hai ki human race ab sirf north aur south poles mai bane glass domes mai hi bachi hai.. ya hamari tarah kuch log jameen ke andar reh rahe hai.. tum log sulfur ki vajah se nahi balki nuclear radiation ki vajah se behosh huye the.. agar aur 5 minute upar rehte to shayad mar chuke hote.. 4 saal pehle hamare parents aur dosto ki maut ke baad tum pehle jinda log ho jinhe humne dekha hai..'' nikunj ne bheegi ankho ke sath poori kahani sunayi.
Sabne ekdum shanti ke sath nikunj ki poori baat suni. Sabki ankhe nam thi aisi bhayanak sachhayi jankar. LHC machine unke dimensions mai bhi banayi gayi aur istemal ki gayi thi lekin aisa kuch unke sath nahi hua tha.
''Bhai.. ye to bahut hi bhayanak dastaan hai.. LHC to humare yaha bhi thi lekin hamare yaha aisa hadsa nahi hua..'' gaurav ne kaha. Nikhil ne bhi uski baat ka samarthan kiya.
''Abhi kuch dino pehle hume ek distress signal mila tha jo ki north pole wale dome se tha.. waha se kaha gaya tha ki wo log hume jald hi yaha se le jayenge.. waha jindagi yaha se kafi asaan hai.. aur jab life-tracker ne tumhara signal pakda to hume laga ki wahi log hume bachane aaye hai.. lekin unki jagah hume tum mil gaye.. radiation exposure se bejan.. lekin ghabrao mat.. humne tumhare upar se radiation exposure ko khatam kar diya hai.. tum logo par ab koi radition nahi hai..'' nikunj ne aage continue kiya.
''Thanx dost.. tumne hamari jaan bachayi.. nuclear radiation to bahut hi khatarnaak hota hai.. lekin tum par uska asar nahi hua kya??'' Gaurav ne nikunj ka shukriya ada karne ke sath hi sawal daaga.
''Jab tumhari 80% duniya pichle 8 saalo se nuclear radiation aur nuclear thand se khatam ho rahi ho to sab seekhna padta hai.. hum upar ek khaas protection suit pehan kar hi jate hai..'' nikunj ne kaha.
''Lekin bhai yaha to kitni garmi hai.. phir ye kaisi nuclear thand hai??'' Gaurav ne naya sawal daaga.
''Tum to kafi intelligent lagte ho.. lagta hai hamari-tumhari khoob jamegi..'' nikunj ne muskurate huye kaha aur phir gaurav ke sawal ka jawab diya, ''Wo nuclear war takriban 1 saal tak chala jisse poori earth ka weather system aur atmosphere lagbhag khatam hi ho gaye.. nuclear dhuye ke badal ne asmaan ko dhak liya.. rahi sahi kasar lagatar hote jwalamukhi visphoto ne poori kar di.. jagah jagah naye jwalamukhi paida hone lage jinki raakh ke gubaar ne suraj ko hamesha ke liye dhak liya.. aur nuclear thand ki shuruat ho gayi.. lekin abhi 2 mahine pehle hi is jwalamukhi mai phir visphot hua jiske karan tum yaha garmi mehsoos kar rahe ho.. pichle 2 mahine se wo lagatar lawa ugal raha hai..''
''Ye duniya to sach mai narak hai.. yaha jindagi wakai kafi kathin hai.. aur mai sochti thi ki meri jindagi kathin hai..'' neha ne kaha.
Nikunj ne neha ki taraf dekha to uska udaas chehra dikha. Halaki udaasi mai wo aur jyada masum aur sundar dikhti thi lekin phir bhi thi to wo dukhi hi.

''Are nikunj bhaiya.. jaldi aao.. sab khatam ho gaya..'' achanak mayank ki tej awaaj goonji jisme bhay saaf dikh raha tha. Nikunj turant awaaj ki or lapka aur uske peeche peeche wo charo bhi.
Ek room mai mayank baitha tha aur ro raha tha. IDT ek table par waisi hi rakhi huyi thi jaisi wo lekar gaya tha.
''Kya hua?? Tu ro kyu raha hai?? Abe batayega bhi ki nahi??'' Nikunj ne mayank ko jhakjhorte huye poocha.
''Bhaiya.. hamari akhiri ummeed bhi khatam ho gayi yaha se nikalne ki.. sab khatam ho gaya bhaiya.. sab kuch..'' mayank ne rote rote huye hi kaha.
''Lekin hua kya?? Kuch bata to sahi..''
''Bhaiya.. kal raat ko north pole wale dome mai lagbhag 9 Richter scale ka bhookamp aaya tha jisse dome ki deewaro mai daraar pad gayi thi.. aur phir bhookamp se aaye avalanche se dome toot gaya.. kuch bhi nahi bacha bhaiya.. sab khatam ho gaya.. hajaro log maare gaye hai.. sirf gine chune hi bache hai aur wo bhi shayad jald hi mar jayenge nuclear exposure se.. ab hamara kya hoga bhaiya??'' mayank ne rote rote poori kahani batayi aur uske akhiri sawal ne nikunj ki bhi ankhe nam kar di. Iska jawab uske paas nahi tha lekin gaurav ke paas tha.
''Ek rasta aur hai..''
''Kya??'' Dono bhaiyo ne ek sath poocha.
''Agar IDT theek ho jati hai to tum log hamare sath chal sakte ho..''
to be continued...

THE TIME MACHINE(IN HINDI)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें