23. Gaurav(1st) Reveals Truth To Inspector Chaudhary
Episode- 23
Gaurav ke paas or koi chaara nahi tha siway inspector Chaudhary ko sab kuch sach sach batane ke.
''Sirrrr.... mai aap ko sab kuch bata dunga lekin plz aap ye baat bahar kisi ko mat bataiyega..'' gaurav ne winti ki.
''Wo to tumhari baat sunne ke baad hi tay karunga..''
''Theek hai..'' gaurav ne unse kaha aur phir nikhil se kaha, ''bhai jara ward ka gate andar se lock kar le.. mai nahi chahta koi aur hamari baatein sune...''
Nikhil ne waisa hi kiya. Ab sab ki dilchaspi badhne lagi thi ki akhir aisi kya baat hai jise batane mai is bande ki hawa tight ho rahi hai.Gate lock karke nikhil wapas apni jagah yani theek gaurav(1st dimension) ke bagal mai baith gaya.
''Ab jo baat mai aap sabko batane jaa raha hu wo baat itni akalpniya hai ki aap shayad is par yakeen na kare.. lekin jab tak mai apni poori baat khatam na kar lu.. mujhe koi bhi beech mai na toke.. theek hai......'' itna kehne ke baad gaurav(1st dimension) ne ek pause liya aur jab sabne apni sehmati dedi usne apni kahani shuru ki.
''Mai yaha ka nahi hu.. mera matlab is duniya ka nahi hu.. mai aur sarang dono ek alag dimension se aaye hai..'' gaurav itna bolkar thoda ruka aur sabke chehre padhne ki koshish ki. Sabke chehre awishwasniyata se bhare dikh rahe the siway gaurav(2nd dimension) ke kyuki use to sabkuch pehle hi sarang ne bata diya tha.
Chehre padhne ke baad gaurav ne ek lambi saans li aur phir apni poori kahani batani shuru kar di. Kaise kawya ki hatya huyi, kaise usne time machine banayi, kaise balwinder ne unhe dhokha diya, kaise zetron se mulakat huyi, kaise usne IDT di, kaise nikhil aur neha ne unhe dhokha diya. Neha ka jikra aate hi nikhil gaurav ke kehne ke bawjood bhi beech mai bol utha, ''lekin meri to koi judwa behan nahi hai.. mera to koi bhai-behan hi nahi hai..''
''Nikhil sshhh... chup raho.. use bolne do..'' isse pehle gaurav kuch kehta inspector Chaudhary bol pade. Halaki neha ka jikra aate hi unki ankhe bhi badi ho gayi thi.
''Ha to uske baad sarang ne mujhse bina pooche IDT ka istemal kiya aur yaha aa gaya.. jaha wo sir ji ke hath lag gaya.. sir ji ne use kidnap kar liya aur khud hamare yaha aa gaya.. aur phir jab mai yaha uske sath aaya to uske plan ke anusar hi kawya ne acting ki.. aur phir jab maine yaha ke gaurav se milna chaha to usne mujhe bhi kidnap kar liya.. baaki to aap sab jante hi hai ki uske baad kya hua..'' gaurav ne ek saans mai apni baat poori ki.
''Hume kya pagal samjha hai jo is bakwaas ko sach mana lenge.. mujhe to lagta hai ye bhi us sir ji ke sath mila hua hai..'' kawya ne gusse se kaha. Use ye sab ek man-gadant kahani lag rahi thi. Use nahi lagta tha ki koi kisi se itna pyar kar sakta hai ki uske liye is had tak gujar jaye.
''Nahi... kawya... ye ladka sach keh raha hai.. halaki yakeen karna mushkil hai lekin phir bhi.. mujhe is par yakeen hai..'' inspector Chaudhary ne kawya ki baat sunne ke baad ekdum gambhir mudra mai kaha.
''Lekin uncle.. ye sach kaise ho sakta hai?? aur apko is par itna yakeen kyu hai??'' Kawya ne inspector Chaudhary se sawal kiya.
''Isliye kyuki ye neha ke bare mai janta hai..'' inspector Chaudhary ne kaha aur phir nikhil ko dekhne lage.
''To kya sach mai meri koi judwa behan hai?? Nikhil ne ruwanse hote huye poocha.
''Hai nahi thi...'' kehkar inspector Chaudhary ne apni ankh se chhalak aaya ansoo pocha aur bole, ''tumhare janm ke 2 minute hi tumhari behan ka janam hua.. hum bahut khush the ki hamare ghar mai 2-2 kilkariya gujengi.. lekin kismat ko ye manjoor nahi tha.. doctors ne Hume bataya ki ladki ke dil mai ched hai.. aur wo jyada din nahi jiyegi..''
Sab inspector Chaudhary ko hi sun rahe the aur sabki ankhe name thi.
''Janam ke 4 mahine baad hi wo chal basi.. humne ye baat nikhil se chupakar rakhi kyuki hum nahi chahte the ki nikhil ye jankar dukhi ho.. us bachhi ka naam humne neha rakha tha..'' kehkar inspector Chaudhary nikhil ko samhalne lage jo ab ro raha tha.
''Ye baat mere aur nikhil ki mummy ke ilawa koi nahi janta.. lekin jab is ladke ne neha ka jikra kiya to mujhe yakeen ho gaya ki ye sach bol raha hai..'' nikhil ko puchkarte huye wo kawya ki taraf dekhte huye bole.
Kawya se kuch bolte na bana. Use ye sochkar sharam aa rahi thi ki gaurav(1st dimension) sirf usi ke liye itni door se yaha aaya hai.Tabhi darwaje par knock huyi. Inspector Chaudhary ne jab poocha ki kaun hai to bahar se nurse ki awaaj aayi, ''sir mai operation theatre se patient ko yaha shift karne layi hu.. Dr ne kaha hai ki use thoda time isi ward mai rehna hai..''
Yeh sunkar inspector Chaudhary ne gate khol diya aur nurse aur ward boy stretcher par sarang ko lekar emergency ward mai enter huye. Sarang ab tak behosh hi tha.
Sabka dhyan achanak se ab sirf sarang par kendrit ho gaya. Use gaurav(2nd dimension) se kahi jyada maar padi thi jiska asar bhi saaf dikh raha tha lekin achhi baat ye thi ki wo ab khatre se bahar tha aur use kabhi bhi hosh aa sakta tha.
''Ab aap sab log plz bahar jaiye.. patients ko araam karne dijiye.. aap mai se sirf ek yaha ruk sakta hai..'' nurse aur ward boy ne sarang ko stretcher se bed par shift karne ke baad kaha.
''Mai rukungi..'' kawya ne kaha aur wapas gaurav(2nd dimension) ke bed ke paas jakar baith gayi.
''Theek hai...'' gaurav(1st dimension) ne kaha aur sab log bahar aa gaye.''Tum log aapas mai baatein karo.. tab tak mai us sir ji ke haal-chaal dekh ke aata hu..'' itna kehkar inspector Chaudhary waha se chale gaye.
''Bhai... ek baat samajh nahi aayi.. tu gaurav(2nd dimension) se kyu milna chahta tha?? Aisa karne se to use sab kuch malum pad jata??'' Nikhil ne apni shanka jahir ki.
''Maine jab kawya ko waise dekha to mujhe zetron par bahut gussa aaya.. jiske karan mere dimag mai ek plan aaya jiske liye yaha ke gaurav ka sab kuch janna jaroori tha..''
''Kaisa plan??''
''Abhi filhaal to wo plan mai nahi bata paunga.. lekin wada karta hu ki in dono ke poori tarah theek ho jane ke baad jaroor bata dunga.. lekin tab tak mai rahunga kaha??''
''Tum mere sath reh sakte ho.. mere ghar par... lekin ek request hai..'' nikhil ne kaha aur gaurav ko dekhne laga. Uski ankho mai ek alag hi chamak thi.
''Kaisi request??''
''Kya tum ek baar plz mujhe meri behan neha se milwa doge?? mai use dekhna chahta hu..'' nikhil ne prarthna si ki.
''Ohh... theek hai..''
to be continued...
आप पढ़ रहे हैं
THE TIME MACHINE(IN HINDI)
Mystery / ThrillerSTORY BY WRITER NIKAS NIKAS:-Kya Time-Travel sambhav hai?? Kya koi samay mai peeche jakar apna past badal sakta hai. Ye kahani aise hi ek insaan ki kahani hai jisne ek hadse mai apna pyar kho diya aur phir use wapas pane ke liye time-machine tak ba...