42. What Happened To Earth???

271 3 0
                                    

42. What Happened To Earth???

Episode- 42

''Meri to kuch samajh mai nahi aa raha.. ye kya ho raha hai.. hum tere dimension mai kaise ho sakte hai..'' gaurav samne ke najare ko dekhte huye bola.
Jaha unki time-machine unhe lekar aayi thi waha ka najara dil dehla dene wala tha. Waha har taraf aag hi aag thi. Sabhi ghar, dukane aur imarte khandahar ban chuki thi. Sadko par tooti gadiyo aur lasho ke siway kuch nahi tha. Hawa mai lasho ke sadne ki gandh bhari huyi thi jo kisi bhi normal insan ko pagal kar sakti thi. Lekin lashe waha kankaal nahi thi. Sabhi lashe sadi hui halat mai thi magar maas abhi bhi un par mojoud tha jo 2 baato ki or ishara kar raha tha. 1 ye ki in logo ko mare huye kuch hafte ya mahine hi huye hai aur 2 ye ki agar inhe mare jyada time nahi hua hai to ye nikunj ka dimension nahi hai. Hawa mai bhi sulfur ki jagah bas lasho ke sadne ki badboo hi thi halaki dono mai jyada fark nahi hai Lekin phir bhi ye sabit kar raha tha ki ye nikunj ka dimension nahi hai. Kawya to lasho ko us halat mai dekhkar behosh hi ho gayi. Gaurav aur sarang ne use samhala aur wahi machine ke paas hi lita diya.
''Ye kaunsi jagah aa gaye hum?? Hume to is waqt apne dimension mai apne time mai hona chahiye tha..'' sarang ne ghabrate huye kaha.
Gaurav ke paas iska koi jawab nahi tha. Use to khud nahi pata tha ki akhir wo hai kaha aur yaha kaise pahuche.
''Hum log mere dimension mai nahi hai.. ye tumhara hi dimension hai..'' nikunj ne palat kar unki taraf dekhte huye kaha.
''Abe kya bakwas kar raha hai?? Ye hamara dimension kaise ho sakta hai?? Aur yaha ki halat aisi kaisi ho gayi??'' Sarang ne gusse se poocha. Gaurav bhi kawya ke paas se khada ho chuka tha.
''Wo sab mujhe nahi pata.. lekin ye mera dimension nahi hai.. yaha ki hawa mai radio-activity nahi hai warna hum ab tak behosh ho gaye hote aur kuch hi der mai mar jate.. aur to aur lashe bhi yaha abhi tak sirf sadi hai... hamare dimension mai lashe kab ki kankaal mai badal chuki hai.. aur ek aur badi baat ye ki agar ye mera dimension hota to ye awaaje nahi aa rahi hoti..'' nikunj ne bhi awaaj uchi karte huye kaha.
Uski baat sunkar wo log khamosh ho gaye aur sunne ki koshish karne lage ki kaun si awaaje aa rahi hai. Dhyan se sunne par unhone mehsoos kiya ki kahi door se kuch drilling karne ki si awaaje aa rahi thi jo kafi dheemi thi. Uske sath hi waha se kayi aur bhi awaaje aa rahi thi jo kafi darawani thi.
''Hum ye kaha fas gaye.. agar ye nikunj ka dimension nahi hai to kahi ye hamara wala hi to nahi.. kahi ye sab butterfly effect to nahi..'' sarang ne darte huye aur lagbhag rote huye kaha.
''Abe aisa nahi ho sakta.. maine sare precautions liye the.. butterfly effect se aisa nahi ho sakta.. jarur koi aur baat hai.. ruk mai machine check karta hu..'' gaurav ne kaha aur time-machine ke andar ghus gaya.

''Abe humne galti se time galat set kar diya.. hum 2022 ki jagah 2023 mai aa gaye hai..'' gaurav ne machine se bahar aate huye kaha.
''Sahi kaha tumne.. aur tumne bahut der kardi yaha aate aate..'' ek bhayanak si sarsarati awaaj unhe sunayi di.
Sabki nigahe us awaaj ki taraf hi mud gayi. Ab take kawya ko bhi hosh aa chuka tha lekin samne khade jeev ko dekhkar use phir se chakkar aa gaye.
''Zetronnn....'' gaurav khushi se chillaya.
''Nahi... mai zetron nahi hu...'' us jeev ne kaha aur unki taraf badhne laga.
''T..t.to phir..tu..tum kaun h..ho..'' gaurav ki khushi pal bhar mai hi haklahat mai badal gayi.
''Mera naam niberu hai.. lekin filhal hamare paas time nahi hai.. jaldi se zetron ki di huyi IDT nikalo.. hume jaldi chalna hoga kyuki ye grah kisi bhi pal phatne wala hai..'' niberu ne kaha.
''Ma.. mattlabbbb??? Aur akhir tum ho kaun??'' Sarang ne poocha.
''Sab bataya jayega.. lekin pehle wo IDT mujhe do..'' niberu ne hath badate huye kaha.
Gaurav ne bina jyada soche IDT niberu ko dedi.
''Good... ab sab time-machine ke paas jakar khade ho jao aur jara jaldi karo..'' niberu ne IDT ko ek hath mai pakadte huye kaha.
Sab uski baat mankar time-machine ke paas jakar khade ho gaye. Kawya ki to niberu ko dekhkar halat hi kharab ho chuki thi isliye wo gaurav ke peeche bilkul usse chipak ke khadi thi aur dar se kaap rahi thi. Niberu bilkul zetron jaisa hi dikhta tha. Waisi hi kali skin, waisi hi peeli ankhe, waise hi lambe hath, waisi hi darawani aur sarsarati awaaj, sab kuch waisa hi tha. Kawya ki ye kisi xemus-wasi se pehli mulaqat thi isliye wo kuch jyada hi dar rahi thi.
Niberu ne IDT ko apne hath mai thoda ghmaya aur phir uske red aur green button ko kafi tej speed se ek special pattern mai dabaya aur phir akhir mai ek baar un charo ki taraf IDT ka muh karte huye green button dabaya jisse unke charo taraf ek adrashya gola ban gaya aur wo sab time-machine sahit waha se gayab ho gaye.

Wo log bina portal ke hi time-machine ke sang dusre dimension mai aa gaye the.
''Abe ye to nikhil wala dimension lag raha hai.. lekin hum yaha bina portal ke kaise aa gaye?? Aur wo niberu kaha gaya??'' Gaurav ne aas paas dekhte huye kaha.
''Mai yaha hu... aur tumne sahi kaha ye tumhare dost nikhil ka hi dimension hai..'' pedo ke jhurmut se nikalte huye niberu ne kaha.
''Hum yaha bina portal ke kaise aa gaye??'' Sarang ne poocha.
''Kya ye sawal utna jaruri hai ki iska jawab dekar samay kharab kiya jaye ya koi aur sawal poochna chahoge??'' Niberu ne bhi sawal ka jawab sawal se hi diya.
''Ohh.. aur ab ye IDT mai wapas le raha hu kyuki ab tumhe iski jarurat nahi padegi..'' IDT ko apne kapdo mai rakhte huye niberu ne kaha.
Wo log sirf dekhte hi rahe kyuki kar to koi kuch sakta hi nahi tha siway sawal poochne ke jiski shuruat gaurav ne ki.
''Hamare dimension ko akhir hua kya hai??'' Gaurav ne seedha prashn kiya.
''Wo sab kuch tum logo ki vajah se hua hai aur tumhare time-travel ki vajah se..'' niberu ne gusse se apni awaaj thodi uchi karte huye kaha jise sunkar unke paseene chhut gaye.
''H..ham...mari v..vajah se??? Lekin h..humne to sare precautions l..liye t..the?? Hamari vajah se kaise??'' Gaurav ab hakla raha tha.
''Tum pehle ye batao ki kya tum jante ho time-travel kaise sambhav hota hai??'' Gaurav ki baat sunkar niberu ne thoda shant hote huye poocha.
''Haa.. jab koi light ki speed se bhi tej jata hai to wo time-travel kar sakta hai..'' gaurav ne kaha.
''Nahi... ye sach hote huye bhi poori tarah sach nahi hai..''
''Kya matlab???''
''Matlab ye ki time-travel wo nahi hai jo tum samajhte ho.. asal mai ye ek inter-dimensional travel hai..'' niberu ne bomb sa phodte huye kaha.
''Tum kya keh rahe ho kuch samajh nahi aa raha.. inter-dimensional travel to wo hota hai jo humne abhi abhi kiya tha is IDT ki madad se?? Kyu hai na??'' Sarang ne sir khujate huye poocha.
''Nahi ye koi inter-dimension traveller ya IDT nahi hai.. aur hum is waqt jaha khade hai ye bhi koi dusra dimension nahi hai.. balki ye ek alag universe hai.. hamesha se tumne is machine ke sang universe cross kiye the na ki dimensions..'' niberu ne ek aur bomb phoda.
Abhi to sabko chakkar se aane lage. Abhi tak Jo kuch bhi wo jante-samajhte the wo sab jhooth tha. Sab ghoor-ghoor kar niberu ko dekh aur sun rahe the siway kawya ke. Wo kafi thaki huyi thi isliye wahi paas mai ek bench par baith gayi thi.
''Is baat ko samajhna thoda mushkil hai.. waise bhi insani nasl in mamlo mai bilkul bewkoof hai.. darasal samay ki shuruat huyi thi ek bade dhamake se jise tum big-bang kehte ho.. lekin us dhamake se sirf tumhara hi universe nahi bana tha.. anginat universes ka janam hua tha us dhamake se.. sabhi ek sath aur ek hi cheez se bane hai to sab hai bhi ek jaise.. bas unme antar logo ki soch aur rehan-sehan ka hai.. warna sabkuch har universe mai ek jaisa hai..'' niberu ne vistar se samjhaya.
''Yar tumhari koi bhi baat palle nahi pad rahi.. zetron ko bulao.. wo achhe se samjhayega..'' gaurav ne kaha.
''Zetron mar chuka hai..'' niberu ne teesra aur sabse bada bomb phoda.
to be continued...


Happy New Year

THE TIME MACHINE(IN HINDI)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें