52.Know Your Enemy
Episode 52
Bawandar har gujarte minute ke sath hi kafi tej aur bhayanak hota jaa raha tha aur nikhil siway uske peeche bhagne ke kuch nahi kar pa raha tha. Wo apna hath upar uthakar us bawandar ki taraf rukne ka ishara karta lekin iska koi asar nahi ho raha tha.Idhar kawya ne jaane kitne hi phoolo ko maar chuki thi. Wo jis phool par bhi hath rakh kar apni aankhe band karti, aankhe khulne par wo murjhaya hua hi milta. Lekin kamaal ye tha ki waha murjhaye phool apne aap gayab ho rahe the aur unki jagah naye phool baar-baar aa jate the.
Dusri taraf neha ke chehre par barish ki tej fuhar pad rahi thi. Barish kewal neha aur uske aas-paas ki kuch jagah par hi ho rahi thi aur ye sab vayun ki us device ki kartoot thi. Wo upar garajte badalo ko ghoor rahi thi mano keh rahi ho ki bas bahut ho gaya. Lekin shayad badal uski baat sunne ke mood mai nahi the.
Xemus par:
''Jaisa aap kahenge waisa hi hoga consulate.. use mai khud taiyar karunga..'' zetron ne apna sir jhukate huye kaha aur waha se chala gaya.
Zetron ke jaate hi us hall mai sirf consulate hi bache the. Unhone turant apne teeno siro ko alag-alag shareer mai badal liya aur hall mai mojoud teen lazer-chairs par baith gaye.
''Kya aap dono ko pakka yakeen hai ki ye wahi log hai???'' female part ne un dono se poocha.
''Haa 'Jamiri'... mujhe poora yakeen hai ki yahi wo chune huye log hai.. kya tumhe wo sab yaad nahi hai??'' Unisex wale part ne kaha.
''Iska matlab hai ki wo samay bhi jaldi hi aane wala hai..'' male part ne kaha.
''Tumne sahi kaha 'Jamron'... wo samay ab jyada door nahi hai.. aur uski shuruat bhi maine kar di hai us ladki ke sath.. use nahi pata ki usko in shaktiyo ke alawa bhi ek aur cheez di gayi hai jo sabki kismat tay karegi..'' Unisex wale hisse ne kaha.
''Yani 'Jamaro' tumne use hamara wo anmol tohfa de bhi diya??'' Jamron ne ashcharya se poocha.
''Haa..'' Jamaro ne bas itna hi kaha aur apni ankhe band karli. Use ankhe band karte dekh un dono ne bhi apni aankhe band kar li aur wo bhi sixth planet par un sab ki training dekhne lage.Chooki gaurav ab had se jyada thak chuka tha isliye wo janwar gaurav ko ajeeb tarike ki awaajo se chidate hue dheere-dheere bhag raha tha. Uski ye harqat gaurav ko kafi gussa dila rahi thi lekin isse kuch nahi hone wala tha. Achanak vayun ki tej awaaj uske kaano mai goonji, ''Day Over''. Iske sath hi wo khud ko bilkul fresh mehsoos kar raha tha jaisa wo char ghante pehle tha aur jab aas paas dekha to paaya wo wahi khada tha jaha 4 ghante pehle tha.
Sabke kaano mai ye awaaj ek sath goonji thi aur iske sath hi sab khud ko utna hi fresh mehsoos kar rahe the jitna wo 4 ghante pehle the yani training shuru hone se pehle. Sarang ka robot to nikunj ki machine sabhi ekdum achanak se gayab ho gaye the. Nikhil ka bawandar hawa mai hi gayab ho gaya tha to wahi kawya ke phool aur neha ke baraste badal bhi dekhte hi dekhte jaise aaye the waise hi gayab ho gaye. Sabke tasks khud hi gayab ho gaye the aur sabhi wahi khade the jaha wo training shuru hone se pehle the.
Ek baar ko to unko laga ki ye sab jo ho raha tha wo sab unki aankho ka dhokha aur man ka waham tha. Ekdum achanak se sab gayab ho gaya aur pichle 4 ghanto ki thakawat bhi un tasks ki tarah gayab ho gayi.
''Aaj ki training yahi khatam hoti hai.. kal wahi se shuru karenge jaha par aaj chhoda hai..'' vayun ne apne dono hath chhati par bandhte huye kaha.
Agle hi pal wo wapas vayun ke control-room mai the.
''Tum log soch rahe honge ki ye achanak kya hua.. darasal tumhari training khaas tarike se ho rahi hai.. training ki thakaan training tak hi seemit rahegi.. aur kal jab training shuru hogi to wahi se jaha aaj chhodi hai.. aur iska matlab na sirf task se hai balki tumhare shareer se bhi hai.. kal training shuru hote hi ye thakaan bhi wapas aa jayegi.. isliye behtar hoga ki apne-apne task jald se jald khatam kar lo..'' sab ke man mai umadte sawalo ke jawab vayun khud dete huye bola. Uska task wala ishara ladko ki taraf tha kyuki thakane wale task to unhi ke the.
Uski baat sunkar sab muh latkaye waha se chup-chap chal diye.Apne room mai pahuchkar sab turant lazer-bed par pasar gaye. Thakaan to unko nahi thi lekin training ke pehle task ke pehle hi din unhe malum pad gaya tha ki ye training kitni kathin hone wali hai.
''Yaar gaurav... is training ne to meri hawa hi dheeli kar di.. abhi bhi aisa lag raha hai jaise us machine par hi hu..'' nikunj ne nirash bhav se kaha.
''Kyu tera task kya tha??'' Gaurav ne usse poocha kyuki sabse pehle use hi task diya gaya tha aur uske us janwar ke peeche bhagne ke baad kya hua use nahi pata tha.
Nikunj ne use apna task bataya aur uske baad sabhi ne apne-apne task bataye.
''Abe tum logo ka to phir bhi theek hai.. mera to samajh hi nahi aata ki kya karu.. wo robot itni kadvi baatein karta hai ki gussa aa hi jata hai..'' sarang ne kaha.
''Abe tujhe kya malum ki wo janwar kitna tej hai.. saala dikhta bhi nahi hai.. bas udti dhool aur pairing ke nishan se malum padta hai ki wo saala kaha gaya hai..''waha se uthkar gaurav ne kawya ke paas baithte huye kaha aur uske baalo mai hath firane laga.
''Tum logo ka to jaisa hai waisa hai.. lekin mera to samajh hi nahi aa raha ki ek bawandar ko kaise rokte hai..'' nikhil bhi apne task ki kathnayi ginane laga.
Ladkiya kaun sab peeche rehne wali thi bhale hi unke task sabse asaan the.
''Are mera to sabse azeeb task tha.. wo phool apne aap hi murjha rahe the.. maine to kuch bhi nahi kiya tha..'' kawya ne masoom sa chehra banate huye kaha. Uski masoomiyat dekhkar gaurav ne uska gaal choom liya aur muskurate huye kaha, ''koi baat nahi jaan.. un phoolo mai hi koi gadbad hogi.. tum kar logi mujhe yakeen hai..''
''Mera task bhi koi asaan nahi tha.. meri to samajh hi nahi aaya ki wo barish kaise band karu.. mujhe to itni thand lag rahi thi.. lag raha tha ki mai to ab gayi...'' neha ne bhola sa chehra banate huye kaha. Uski baat sunkar sab hasne lage. Neha masoomiyat aur gusse se sab ke chehre ghoor rahi thi. Usko aise dekh nikunj ne usko hug kiya aur bola, ''tumhe kuch nahi hoga.. mai hoo na..''Wo log abhi baatein kar hi rahe the ki zetron waha aaya. Wo kafi pareshan lag raha tha.
''Vayun ne bataya aaj ka din tum logo ka performance bahut hi bura tha.. lagta hai tum log training ke prati serious nahi ho.. aise to tum log saat janmo mai bhi surak ka samna nahi kar sakte..'' apni pareshani ko halke se gusse ke peeche chhupate huye zetron ne kaha.
''Zetron.. hum log bilkul serious hai.. lekin vayun ke tasks the hi itne kathin aur hamara pehla hi din tha isiliye...'' gaurav ne sabki taraf se safayi dene ki koshish ki lekin zetron ne use beech mai hi tok diya.
''Pehle task mai hi halat kharab ho gayi tum logo ki.. ye to bas shuruat hai..'' zetron ne kaha aur phir thoda ruk kar bola, ''tum log is training ko seriously lo isliye aaj mai tumhe dikhata hu ki tumhare dushman ki taqat kya hai?? Shayad usse tumhe is training ki keemat pata chale..''
Itna kehkar usne apne hath par bandhi ghadi jaisi device par ek button dabaya. Uske control-room ka main control-board turant uske samne aa gaya. Sab ki nazar us control-board par thi. Zetron ne kuch buttons dabaye aur samne waisi hi screen ban gayi aur us par ek spaceship dikhne laga jo akaar mai kisi aircraft-carrier jitna bada tha.
''Sabse pehle 'Fdara' ki taqat ko samajhte hai.. ye hai ek 'Fdarak' spaceship.. ye itna bada hai ki isme ek sath 1500 insaan asaani se kahi bhi le jaye jaa sakte hai.. aur aise 50 se jyada spaceship is waqt prithvi ki taraf badh rahe hai.. iska defense system attacking hai.. matlab apni taraf aane wale hamlo ko ye rokne ki jagah unhe nasht karta hai.. jisme iski madad karte hai ray-guns aur lazer-slashers..'' zetron ne screen par mojoud spaceship ki khoobiya ginayi. Iske baad usne ek dusra button dabaya to screen par ab ek 'Fdarak' tha jiske hath mai uske hathiyar the.
''Ye hai ek fdarak sipahi.. ye sabhi ray-guns chalate hai jo bina exo-suit ke tumhare cheethde uda sakti hai.. inke ilawa fdarak general hote hai jo lazer-slashers se loaded hote hai..lazer-slashers do tarike se kaam karte hai.. ye lazer-slashers kisi ke bhi gajar-mooli ki tarah tukde kar sakti hai.. aur agar fully charged ho to inse nikli lazer ki garmi kisi pathhar ko bhi pighla sakti hai..'' zetron ne us sipahi fdarak ke baad uski jagah aaye general fdarak ki taqat batayi. Sabhi hairani se apne dushman ki taqat dekh rahe the.''Ab baari hai surakians ki..'' zetron ek button dabate huye bola.
to be continued...
आप पढ़ रहे हैं
THE TIME MACHINE(IN HINDI)
Mystery / ThrillerSTORY BY WRITER NIKAS NIKAS:-Kya Time-Travel sambhav hai?? Kya koi samay mai peeche jakar apna past badal sakta hai. Ye kahani aise hi ek insaan ki kahani hai jisne ek hadse mai apna pyar kho diya aur phir use wapas pane ke liye time-machine tak ba...