34. Return Of Zetron Episode- 34

292 7 1
                                    

34. Return Of Zetron
Episode- 34
''Ye sab kya ho gaya bhai... ab hamara kya hoga... gaurav ke bina hum kya karenge??'' Nikhil ne gaurav ki laash ke paas aate huye kaha. Wo bhi rone laga tha.
''Mujhe nahi pata.. bhai se bhi badhkar dost tha wo mera.. gaurav ke bina pata nahi kaise jiyunga mai..'' sarang ne rote huye hi jawab diya.
Nikhil kuch der waha baithne ke baad utha aur mayank ki laash ke paas aaya aur nikunj ke paas baith gaya.
''Ye sab humari wajah se hua hai.. na hum yaha aate aur na hi ye sab hota.. hume maaf kar do dost.. mayank ki maut ke jimmedar hum log bhi hai..'' nikunj ko dilasa dete huye nikhil ne kaha.
''Jante ho mayank mera dusra bhai hai jise maine khoya hai.. mera sabse chota bhai Kirti 6 saal pehle radiation exposure se mar gaya tha.. us waqt wo sirf 6 saal ka tha.. phir ek-ek karke sab marte chale gaye.. papa.. mummy.. dost.. sab mar gaye.. aur aaj mera akhiri sahara bhi khatam ho gaya.. ab kiske liye jiyunga mai..'' nikunj ka ye jawab sunkar sabka kaleja sab phat gaya.

''Apne liye jiyoge.. aur in sabke liye bhi..'' achanak kamre mai ek thandi si sarsarati awaaj goonji. Sarang is awaaj ko pehchanta tha.
''ZETRONNN....'' lagbhag cheekhte huye usne mudkar usi disha mai dekha jaha se awaaj aayi thi. Baaki sab bhi wahi dekh rahe the. Fark bas itna tha ki baaki sab ki dar ke maare hawa tight huyi padi thi. Neha to jaise dar ke maare behosh hi hone wali thi.
Samne zetron khada hua muskura raha tha. Wahi kala shareer, wahi peeli ankhe aur unse match khata hua ek ajeeb sa choga, aur wahi darawani thandi si sarsarati awaaj.
Sarang ke muh se zetron sunkar unka dar thoda kam jaroor hua tha lekin bhauchakke sab abhi bhi the.
''Tumhe nahi pata ki tum kitne khaas ho.. aur aage tumhara kya role hone wala hai sabki jindagi mai..'' zetron ne nikunj ki taraf dekhte huye kaha.
''T....t... tum zzz...z..zetron ho..'' nikunj ne haklate huye poocha.
''Haa... lekin abhi introduction ke liye time nahi hai.. pehle mujhe jaldi se ise bachana hoga warna anarth ho jayega..'' gaurav ki taraf dekhte huye zetron ne kaha.
''Lekin ye to mar chuka hai zetron... kya tum ise wapas zinda kar sakte ho?? Bolo zetron kya tum aisa kar sakte ho??'' Sarang ne poocha.
''Marne ka kya matlab hai?? Dil ka ruk jana ya dimag ka band padna ya shareer ka kaam karna band kar dena?? Nahi... insaan ki maut tab hoti hai jab uski orb-energy jise tum log aatma kehte ho uska shareer chhodkar purity-election ke liye jati hai.. aur aisa shareer ke band padne ke 1 ghante baad hota hai..'' zetron gaurav ki body ke paas aate huye bola.
''Tum kya keh rahe ho hamari kuch samajh nahi aa raha.. ye purity-election kya hota hai??'' Sarang ne sir khujate huye poocha. Baaki sab ki halat bhi usi ke jaisi thi. Halaki unhe ab dar nahi lag raha tha magar zetron ki baatein unke bhi sir ke upar se jaa rahi thi.
''Wo tum log nahi samajh paoge.. bas itna samajh lo ki tumhara dost ab bhi bach sakta hai..'' zetron ne kaha. Gaurav ke paas aate hi usne kuch ajeeb sa ek chhota sa pen jaisa gadget nikala aur use gaurav ke shareer ke us hisse par rakha diya jaha goli lagi thi. Dekhte hi dekhte saara khoon wapas usi ghaav mai jane laga aur thodi hi der baad ghaav bilkul gayab ho gaya. Kaam khatam hone par usne us pen ko wapas choge mai daala aur ek dusra gadget nikala jo kisi football jaisa dikhta tha.
''Kya tum mere bhai ko bhi bacha sakte ho?? Use bhi wapas zinda kar sakte ho??'' Nikunj ne ummeed ke sath poocha.
''Sorry magar mai tumhare bhai ko nahi bacha sakta.. tumhare dimension mai koi purity-election nahi hota.. isliye tumhare bhai ki orb-energy turant hi shareer chhod kar jaa chuki hai..'' zetron ne jawab diya jise sunkar nikunj ki jinda hoti ummeed phir toot gayi.
''Ye mxronaf hai.. iski madad se gaurav ko wapas jinda kiya jayega..'' us gol device ko jameen par rakhte huye zetron bola.
''Mxronaf??? Ye kaisa ajeeb sa naam hai..'' sarang ne kaha.
''Oh sorry.. mai bhool gaya tha ki tumhe hamari language nahi aati.. tum ise life-generator keh sakte ho..'' zetron ne kaha aur us machine ke upar mojoud ek chote se button ko daba diya. Jhatke ke sath us machine ke dono side ek-ek flaps khul gaye jinme se hari light nikal rahi thi. Ab zetron ne gaurav ke dono hath uthakar ek-ek flap pe rakh diye aur ek dusra button dabaya.
Sab hairani se poora process dekh rahe the. Sabhi utsuk the ye janne ke liye ki aage kya hoga. Un flaps se nikal rahi hari light gaurav ke hatho se hoti huyi uske dil tak jaa rahi thi. Lagbhag 3 min baad hi gaurav ke shareer mai harqat hona shuru ho gayi jise dekhkar sabki baachhe khil gayi. 5 min baad hi gaurav aise uthkar baith gaya jaise abhi sokar utha ho.
''Zetronnnnn... tum yaha??? Aur wo dhokebaaz Manish kaha hai??? Mai kahi koi sapna to nahi dekh raha???'' Zetron ko apne paas khada dekhkar gaurav ne hairani se poocha.
''Gaurav...bhai... tu zinda hai...'' khushi se gaurav ko gale lagate huye sarang bola.
''Abe mujhe kya hua hai.. faltu mai senti kyu ho raha hai??'' Gaurav ne sarang ko apne se hatate huye poocha.
''Tum mar gaye the.. lekin zetron ne tumhe wapas zinda kar diya..'' jawab neha ne diya aur phir usne gaurav ke marne se lekar ab tak ki poori story suna di. Manish ki maut ke baare mai sunkar use koi dukh nahi hua lekin mayank ki maut ki khabar sunkar uska bhi dil baith gaya. Zetron ab tak apna saara samaan samet chuka tha aur thoda peeche hatkar khada ho gaya tha.
''Maine kaha tha na ki ye suit jaroor kaam aayega..'' sarang ki or dekhte huye gaurav ne haste huye kaha.
''Wo sab to theek hai magar ab mere man mai ek sawal aa raha hai jiska jawab sirf zetron ke paas hai..'' sarang ab bhi serious hi tha.
''Poocho...'' zetron ne use ijajat di.
''Tumne aisa kyu kaha ki agar ye zinda na hua to anarth ho jayega?? Kya wajah hai ki gaurav ki jindagi itni beshkimti hai?? Aur tumhe pata kaise chala ki gaurav mar gaya hai??'' Sarang ne apna sawal poocha.
''Hmm... sawal achhe hai lekin inke jawab mai abhi nahi de sakta.. bas ye jaan lo ki agar aaj gaurav ki orb-energy iski body se nikal jati to duniya khatam ho jati.. aage aur kuch mat poochna..'' zetron ne apne single expression wale chehre ke sath kaha.
''Zetron... kya tum inka ghaav bhi theek kar sakte ho.. inhe bhi goli lagi thi..'' neha ne nikunj ki taraf ishara karte huye zetron se poocha.
''Ha.. kyu nahi..'' kehte huye zetron ne wo pen jaisa gadget dubara nikala aur use nikunj ke ghaav par rakha diya. Kuch hi seconds mai uska ghaav bhi poori tarah bhar gaya.
''Lo ye kaam bhi ho gaya.. ab lao mujhe meri IDT do.. abhi re-activate karta hu use..'' us decive ko jeb mai rakhkar usne IDT maangi.
Nikunj turant manish ki laash ke paas gaya aur uske paas padi IDT uthakar zetron ko saup di.
''Tamraskva firelu krxdora..'' zetron apni language mai kuch bola. Uske bolte hi machine se ajeeb tareeke ki awaaje aane lagi Jo kuch hi sec mai shaant bhi ho gayi.
''Waise ye kaam tum bhi kar sakte the.. mere alawa ye machine tumhari awaaj ko bhi pehchanti hai..'' IDT gaurav ke hath mai dete huye zetron bola.
''Mujhe laga hi tha.. isliye maine sabko yaha bulaya tha.. lekin mujhe to tumhari language nahi aati phir mai kaise ise re-activate karta..'' gaurav ne IDT hath mai lekar kaha.
''Koi baat nahi ye sabhi languages samajh sakti hai.. Agli baar jab aisa kuch ho to bas itna kehna 'IDT activate default mode'.. Maine abhi Jo kaha uska yahi matlab hai.. hamari language mai is device ko tamraskva kehte hai..'' zetron ne wahi chir-parichit muskan ke sath jawab diya.
to be continued...

THE TIME MACHINE(IN HINDI)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें