10. Dr. Gupta Talks About Time-Travel (Episode 10)
Dr. Gupta apne samaan ki packing mai vyast the jab gaurav aur sarang unke paas pahunche. Jaise hi dono ne lab mei kadam rakha Dr. Gupta un dono ko dekhkar kafi khush huye.
''Aur bachho... kaise aana hua yaha par, wo bhi itne dino baad..'' Dr. Gupta ne pyar se poocha.
''Kuch nahi sir.. bas wo aap Colorado wapas jaa rahe the to socha aap se milte chale... aur kuch poochna bhi tha aapse..'' gaurav ne jhooth ke sath thoda sach milaya.
''Baatein to hoti rahengi.. chalo ab aa hi gaye ho to packing mai meri madad kar do.. bahut saari packing baaki hai.. aur pata nahi ye ballu kaha mar gaya.. tum logo ke jaane ke baad wo bhi naa ke barabar hi dikhta hai lab mai..'' Dr. Gupta kuch samaan uthate huye bole.
Dono ko hi malum tha ki is vakt ballu yani balwinder jail mai hai par wo dono Dr. Gupta ko India mai unke akhiri dino mai pareshan nahi karna chahte the isliye dono chup rahe. Waise bhi balwinder ki asliyat jankar Dr. Gupta ko kafi dukh hota aur phir unhe time-machine ke baare mai bhi sabkuch batana padta.Dono ne Dr. Gupta ki packing karne mai help ki aur packing poori hone ke baad sabne hi rahat ki saans li kyuki packing karwane mai unhe 2 ghante se jyada time lag gaya tha.
''Haa... to ab bolo kya poocha chahte the tum sarang??'' Dr. Gupta ne sarang ki aur dekhte huye poocha.
''Sir... sarang nahi, mai aapse kuch poochna chahta tha..'' gaurav ne turant kaha.Sarang ki to sitti-pitti hi gum ho gayi thi kyuki use to pata hi nahi tha ki poochna kya hai.
''Haa to tum poocho, kya poochna chahte ho??'' Dr. Gupta ne hanste huye kaha.
''Kya... t..t..time-travel p..possible hai??'' gaurav ne haklate huye poocha.Dr. Gupta ka hansta huya chehra ekdum serious ho gaya.
''Is sawal ka jawab nirbhar karta hai ki kis tarah ke time-travel ke baare mai tum janna chahte ho..'' Dr. Gupta ne bilkul sadhi awaaj mai kaha.
''Matlab?? Time travel kai tareeko se hota hai??'' Sawal is baar sarang ne kiya.
''Bilkul... time travel darasal 2 tarah se possible hai..'Reversible' and 'Irreversible'..'' Dr. Gupta ne kaha.
''Matlab kya hai inka professor..'' gaurav ki utsukta bad rahi thi.
''Matlab temporary aur permanent.. reversible matlab temporary aisa time travel hai jisse aap time travel karke wapas apne samay mai aa sake.. aur irreversible matlab permanent iska ulta hai yani...'' Dr. Gupta apni baat poori karte isse pehle hi gaurav bol pada, ''yani ek baar gaye to wapas nahi aa sakte.. chahte bhoot ho ya bhavishya..''
''Correct.. but mujhe nahi lagta ki irreversible time travel bhoot kaal par kaam karta hai.. kyuki aaj tak humne kisi bhi time traveller ko nahi dekha hai..'' Dr. Gupta ne apni raay di.
''Lekin professor kya time travel karna khatarnaak ho sakta hai??'' gaurav ne akhirkar wo baat pooch hi li jiske liye wo yaha aaya tha kyuki use ab bhi zetron ki baat par vishvas nahi tha.
''Agar is poori duniya ko ek baar mai hi khatam kar sakne wali koi cheez agar hai to wo time travel hai.. kabhi 'Butterfly Effect' ke baare mai suna hai..'' Dr. Gupta ab kafi serious dikh rahe the.
''Nahi..'' dono ek sath bole.
''Butterfly Effect ek theory hai jiske anusar beete huye samay mai kiya gaya halka sa bhi badlaav timeline ko gadbada sakta hai.. aur palak jhapakte hi is duniya ka ant kar sakta hai..''
''Hum samjhe nahi professor..'' gaurav wakai confused dikh raha tha. Yahi haal sarang ka bhi tha.
''Maan lo tum time mai peeche jate ho aur waha ek pathhar yu hi hawa mai uchhal dete ho.. ab socho wo pathhar paas se gujarti ek car se takra jaata hai.. jisse driver ka dhyan bhatak jaata hai jisse wo road cross karte ek admi ko thok deta hai, wahi admi jo bhavishya mai ek janlewa mahamaari se bachne ki dawa banane wala hota hai..'' Dr. Gupta ek hi saans mai poori baat keh gaye aur phir bole, ''is tarah tumhare sirf pathhar uchalne se hi ek chain-of-accidents shuru huyi jisne duniya ko hamesha ke liye badal ke rakh diya.. yaad rakho, ek makhhi tak ka badla hua rasta is chain ko shuru kar sakta hai.''
''Ohh...'' gaurav sirf itna hi keh paya.
''Yeh baat sunne mai ajeeb aur majakiya lag sakta hai magar ekdum sach hai.. Isiliye kai scientists mante hai ki past mai jana possible nahi hai... reversible ho ya irreversible.. jiski ek vajah wo 'Grandpa paradox' ko bhi mante hai.. ha future mai shayad jaya jaa sakta hai..''
''Ab ye 'Grandpa paradox' kya hai professor??'' Sarang ne poocha.
''Grandpa paradox wo theory hai jiske anusar agar koi insaan past mai jakar apne grandparents ya parents ko milne se rok leta hai to iska matlab hoga wo kabhi paida hi nahi huya lekin agar wo kabhi paida hi nahi hua to uska matlab hai ki usne kabhi time travel nahi kiya aur apne grandparents ya parents ko milne se nahi roka.. ye ek aisa loop hai jo chalta hi rahega.. ye ek aisa sikka hai jiske dono sides ek doosre ke opposite bhi hai aur true bhi..'' Dr. Gupta ne poora saar samjhaya.Gaurav ab jaan chuka tha ki kyu zetron ne unhe past mai jane nahi diya aur timeline mai chedkhaani nahi karne di. Aur kyu usne aisa kaha ki Uske yaha bhi time travel ki ijajat sirf gine chune logo ko hi hai.
''Lekin aap kya mante hai professor??'' Gaurav ne poocha.
''Mai manta hu ki Jo ho chuka hai use kisi bhi tarah badla nahi jaa sakta.. phir chahte koi jitni hi baar time travel kyu na kar le..'' Dr. Gupta ne muskurate huye kaha.
''Ok... thanx professor apna time dene ke liye.. ab hum chalte hai..'' gaurav ne kaha.
Dr. Gupta ne unhe muskurate huye vida kiya aur phir baaki kaamo mai lag gaye.
Lekin unki baato ne gaurav ke andar uthal puthal si macha di thi. Ab use lag raha tha ki time travel ek stupid idea tha.Lekin abhi to bas shuruat hi huyi thi. Uski zindagi kuch hi dino mai badalne wali thi wo bhi hamesha ke liye.
to be continued...Facebook/starkwood stories for more stories
आप पढ़ रहे हैं
THE TIME MACHINE(IN HINDI)
Mystère / ThrillerSTORY BY WRITER NIKAS NIKAS:-Kya Time-Travel sambhav hai?? Kya koi samay mai peeche jakar apna past badal sakta hai. Ye kahani aise hi ek insaan ki kahani hai jisne ek hadse mai apna pyar kho diya aur phir use wapas pane ke liye time-machine tak ba...