39. Change Of Plan
Episode- 39
''Kitni bhi koshish kar le.. tu aur kawya kabhi ek sath nahi ho payenge..'' andhere ko cheerti huyi ek awaaj gaurav ke kaano mai padi.
Wo is waqt kisi bahut hi andheri jagah par tha jaha use apna sharir tak nahi dikh raha tha. Usne yaha waha hath pair marne ki koshish ki lekin kuch nahi hua. Use kahi koi rasta nahi dikh raha tha. Wo ye soch hi raha tha ki wo yaha kaise pahucha ki achanak use ye awaaj sunayi di jo kafi bhayanak thi.
''Kkkk...ka...kaun ha..hai...'' haklate huye gaurav bola.
''Kitni bhi koshish kar le.. tu aur kawya kabhi ek sath nahi ho payenge..'' phir wahi darawani awaaj goonji.
''Kaun hai..... sss...s..samne... kyu n...na..nahi aate..'' gaurav phir haklate huye bola.
''Hahahaha...'' jawab mai ek bhayanak hansi waha goonj uthi.
Gaurav dara hua to tha hi, ye awaaj sunkar to uski aur buri tarah se phat gayi. Wo andhere mai hi idhar udhar bhagne laga. Wo lagatar bhage jaa raha tha magar na to kisi cheez se takra raha tha aur na hi use kahi ujala najar aa raha tha. Lekin wo jaha bhi bhagta wo bhayanak hansi use aas-pass hi mehsus hoti.
''Hahahaha... kitni bhi koshish kar le.. tu aur kawya kabhi ek sath nahi ho payenge.. ye andhera kabhi khatam nahi hoga.. aadat daal le.. tujhe bhi malum padna chahiye ki kabhi na khatam hone wala andhera kaisa hota hai.. teri ye jid na jane kitno ki jindagi barbad karegi.. hahaha...'' wo bhayanak awaaj phir goonji.
Gaurav bhagta hi jaa raha tha ki achanak 2 hath andhere mai se nikle aur gaurav ko pakad kar jhak-jhorne lage.
Gaurav hadbadata hua uth baitha. Samne sarang baitha hua tha jisne use neend mai kampte aur badbadate dekh uthaya tha.
''Abe kya hua.. phir koi bura sapna dekha kya??'' Sarang ne pani ka glass dete huye poocha.
Gaurav ne aas-pass dekha. Wo nikhil ke ghar mai tha apne kamre mai.
''Ohh.. ye ek sapne tha..'' gaurav ne man hi man socha aur phir sarang se jhooth bola, ''ha yaar wahi kawya wala sapna aaya tha phir se..''
Gaurav nahi chahta tha ki uske sapne ki haqeqat jaankar sarang bekar mai hi pareshan ho lekin is sapne ne use jaroor pareshan kar diya tha.
''Tension na le.. jald hi sabkuch theek ho jayega.. time-machine bhi to lagbhag taiyar hi hai..'' sarang ne use dilasa dete huye kaha.
Jawab mai gaurav ne kuch nahi kaha kyuki wo to bas abhi aaye sapne ke baare mai hi soch raha tha. Sarang ne bhi kuch aur kehna jaroori nahi samjha.
''Are bhaiyo.. nikunj aaya hai neeche..'' achanak nikhil ne kamre mai entry lete huye kaha.
Nikhil ki baat sunkar gaurav ne sapne wali baat ko dimag se jhatka aur usse bola, ''yahi liya use..''
Gaurav ki baat ka anusaran karte huye nikhil waha se nikal gaya aur kuch hi seconds baad nikunj ke sath kamre mai aaya.
Uske aate hi gaurav ne nikhil ko bahar jane ka ishara kiya aur use kamre se bhej diya. Kamre mai ab sirf gaurav, sarang aur nikunj hi the.
''Wo device ban gaya kya jo maine bola tha banane ko..'' gaurav ne nikunj se poocha.
''Nahiiii... wo device nahi ban paayi jo tune kahi thi..'' nikunj ne jawab diya.
''Kya matlab nahi??? Hum parts to laaye the na??? Phirrrr???'' Gaurav ne halka sa gussa dikhate huye kaha.
''Abe naraz kyu hota hai.. maine kaha ki wo device nahi bani jo tune kahi thi.. iska matlab ye nahi ki koi device bani hi nahi..'' nikunj ne use shant karte huye kaha.
''Matlabbbb???'' Gaurav ne hairani se poocha.
''Matlab abhi samjhata hu lekin pehle ek baar phir se apna poora plan suna jo tune socha tha grandpa-paradox se bachne ke liye.. phir mai bataunga ki maine kyu wo nahi banaya aur uski jagah kya banaya hai..'' nikunj ne apni baat kahi.
''Hmmm.. theek hai.. jaisa ki maine pehle bhi bataya tha, mera plan ye tha ki tere ko ek aisi device banani thi jo kisi ki bhi shakal manchahi shakal mai badal sake hamesha ke liye.. aur phir hume ek lash churani thi kisi ladki ki jise hum us device ki madad se kawya ki shakal de dete aur phir past mai jakar asli kawya ko bacha kar uski jagah par us lash ko rakh dete..'' gaurav ne frustration ke sath poora plan phir se unhe bataya.
''Ab meri baat sun... plan to achha tha magar bahut sare loop-holes the usme.. ek to kawya jaisi hi kad-kathi wali lash ka intejam karna bahut mushkil tha.. waise bhi lashe ped par to ugti hai nahi.. aur dusri most important baat ye ki waha us din kawya par goli jaisa ki tune bataya tha ki nikhil(1st) ne chalayi thi agar hum waha nakli lash pehle se hi rakh dete to use malum pad jata.. shayad lash rakhte huye wo hume dekh bhi leta.. jo bhi hota magar time-line jaroor change ho jati.. jiska natija to tujhe pata hi hai ki kya hota..'' nikunj ne lambi saans kheechne ke baad ek hi saans mai poori baat keh di.
Nikunj ki baat sunkar gaurav ekdum soch mai pad gaya. Uski baat ekdum sahi thi. Itni detail mai usne socha hi nahi tha.
''To abbb???? Aur phir tune kya banaya hai..'' Gaurav ne poocha.
''Maine us device ki jagah ye banaya hai..'' apni jeb se ek mobile jaisa device nikalte huye kaha.
''Ye kya hai??'' Sarang ne us device ko dekhte huye kaha.
''Ye mera banaya hua ek 'Cloner' hai jo kisi bhi insaan ka clone uske DNA ki madad se taiyar kar sakta hai.. bas isme us insaan ka DNA feed karo aur phir 1 din ke liye ise aise hi rakh do.. 24 ghante ke andar ye machine us insaan ka clone taiyar kar degi..'' nikunj ne us device ke bare mai bataya.
''Lekin tera plan akhir hai kya??'' Gaurav ne poocha.
''Plan ye hai ki hum, chooki clone banne mai time jyada lagta hai, hum yahi ki kawya ke DNA se uska clone banayenge aur use time mai apne sath waha usi jagah le jayenge aur asli kawya ki jagah clone ko plot kar denge.. waha sab kuch waisa hi hoga jaisa hua tha bas is baar asli ki jagah nakli kawya maregi..'' nikunj ne apna plan bataya.
Plan unhe pasand aaya lekin kisi ko jaan boojhkar marne ke liye bhejne ko unka man nahi maan raha tha bhale hi wo clone hi kyu na ho.
''Yar magar ye sahi nahi hai.. hum kisi ke sath jaan boojhkar aisa kaise kar sakte hai..'' gaurav ne kaha.
''Uski chinta kyu karte ho.. jante nahi kya ki insani clones jyada din nahi jeete.. maut to unki waise bhi honi hi hai to kyu na kisi ke kaam aakar mare..'' nikunj ne samjhaya.''Chalo theek hai.. ab yahi hamara plan of action hoga.. ab bas poora dhyan time-machine par lagana hai..'' kuch dair tak behas karne ke baad gaurav ne kaha. Uske sare confusions door ho chuke the aur use nikunj ka plan hi best option lag raha tha. Use ab khud par bhi hansi aa rahi thi ki usne bina jyada details mai jaaye hi aisa plan bana liya tha jisme loop-holes bhare pade the lekin nikunj ke plan mai dhoodne par bhi use koi loop-hole nazar nahi aa raha tha siway ek dikkat ke.
''Kya yaha wali kawya manegi apna DNA dene ke liye..'' usne apni dikkat batayi.
''Uski chinta mat kar.. ye kaam yaha ka gaurav samhal lega.. maine use samjha diya hai..'' nikunj ne ye dikkat bhi door kar di. Ye sunkar gaurav ne rahat ki saans li.Iske baad gaurav time-machine banane mai dugne josh ke sath lag gaya aur apne sapne ke baare mai bilkul bhool hi gaya. Nikunj ka apni device par kaam khatam ho chuka tha isliye wo bhi gaurav ki madad mai jut gaya. Isliye pichli baar ki jagah is baar lagbhag adhe samay mai hi taiyar ho gayi. Wahi bade bade antennas, waisa hi ajeeb sa look, wahi control area, sab kuch waisa hi.
to be continued...
______________________________
आप पढ़ रहे हैं
THE TIME MACHINE(IN HINDI)
Misterio / SuspensoSTORY BY WRITER NIKAS NIKAS:-Kya Time-Travel sambhav hai?? Kya koi samay mai peeche jakar apna past badal sakta hai. Ye kahani aise hi ek insaan ki kahani hai jisne ek hadse mai apna pyar kho diya aur phir use wapas pane ke liye time-machine tak ba...