5. The Dream & Remembering The Past (EPISODE.5)

526 13 1
                                    

5. The Dream & Remembering The Past (EPISODE.5)

Pata nahi kyu par gaurav ka man aaj bhi usse wahi baat keh raha tha jo weh pichhle 7 dino se keh raha tha. Jab se gaurav, sarang aur balwinder ne 'TekRek' ki lab mai time-machine par kaam karna shuru kiya hai gaurav ki antaratma usse bas yahi kahti ki time-machine banana uske bas ki baat nahi hai. Aur kabhi wo ye bhi sochta ki use time-machine nahi banani chahiye kyuki uska galat istemal bhi ho sakta hai. Galat hatho mai padne par ye duniya ko khatam tak kar sakti hai.
Gaurav khud se ki baatein karne laga tha jise dekhkar sabhi use pagal samajhne lage the. Lekin gaurav har baar apne man ko mana leta aur kawya ko yaad karke jut jaata apne maksad ko paane ke liye. Ab tak koi aisa din nahi beeta tha jisme wo kawya ko yaad karke roya na ho. Use sabse jyada dukh is baat ka tha ki kawya ki maut ki vajah uski let-latifi thi.
Kawya ko yaad karte hi wo us din ma kho jaata jab wo pehli baar mile the. Kawya gaurav se 1 saal junior thi aur wo uska college mai pehla din tha. College mai pehla din matlab ragging to honi hi thi. Gaurav ke hi 4 dosto raj, abhishek, Nikhil aur Amir ne ye 'jimmedari' apne upar li thi. In charo me sabse jyada kamine Nikhil aur Amir the. Ye dono langotiya yaar the aur har shararat mai sabse aage rehte the. Us din bhi juniors ko sabse jyada pareshan yahi dono kar rahe the aur unka sath raj aur abhishek de rahe the. Us din college ke gate se dakhil hone wale 7 students mai sirf kawya hi ekmatra ladki thi baki sabhi ladke the.
Lekin un charo ko is baat se koi fark nai pada tha. Ha kawya ko dekhkar charo ek baar ko mantra-mugdh jaroor ho gaye the. Saaf gora rang, gulabi honth, kamar tak lambe kale ghane baal aur bachhon jaisi adwitiya aur pyari muskan wali kawya ne us din peeli t-shirt ke upar black color ki half jacket aur blue jeans pehni hui thi jisme wo ekdum pari lag rahi thi.
''sir... mai jaaun..'' kawya darte huye un charo se boli.
Charo jaise ek sath neend se jaage the ''hhhh... kya???'' nikhil bola.
''Are aise kaise... ek kaam kardo aur phir chali jana miss... kya naam hai tumhara..'' abhishek ne hanse huye kaha.
''Ji...kawya...'' kawya ne darte huye hi jawab diya.
''Haa to kawya ji... hum tumhare seniors hai isliye tumhe hamari sabhi baatein manni hai.. janti ho na..'' nikhil muskurate huye bola.
''Jii...'' kawya usi tarah sahamte huye boli.
''Very good.. to theek hai.. wo samne jo aam ka ped dikh raha hai waha se hamare liye aam todkar lao.. wo bhi chadkar..'' nikhil kutilta se hanste huye college garden ke ek ped ki taraf ishara karte huye bola.
''Jii???'' abki baar kawya thar-thar kaamp rahi thi. ''mujhe chadna nahi aata..'' wo boli.
''achha to phir agar ye nahi kar sakti to hum charo ko gaal par ek-ek 'kiss' do aur chali jao..'' is baar amir bola jo abhi tak bas use ghoor hi raha tha.
''Jiii??'' is baar kawya ki ankh mai ansoo the.
''Ye Jii Jii kya laga rakha hai.. ya to ped pe chado ya hum sabko ek-ek kiss do..'' is baar raj gurraya.
Kawya wahi khade-khade hi rone lagi tabhi ek aur tej awaaj waha goonji, '' tum charo ko sharm nahi aati kisi ladki se aisa ghatiya majak karte huye..'' ye awaaj gaurav ki thi.
''Gaurav.. bhai.. hum to bas ise college life mai dhaal rahe the.. agar seniors ki ijjat nahi karegi, unki baat nahi manegi to jindagi mai aage kaise bhadegi..'' nikhil kheese niporta hua bola.
''Ijjat ki maa-ki-ankh..ye bhi koi tarika hua bhala ragging ka.. seedhe seedhe phut lo warna principal sir se kehkar 1 minute mai restigate kara dunga..''
College mai gaurav ko sabhi teachers bahut mante the. Gaurav poore college ka sabse genius banda tha isliye principal sir bhi us ko bahut chahte the.
Charo waha se turant khisak liye.
''Apne Dosto ki taraf se mai aapse mafi mangta hu.. dil ke bure nahi hai wo..'' gaurav kawya se bola.
Kawya bina kuch kahe waha se sharmate huye chali gayi.
Us din ke baad se to bas jaise kawya ko bahane hi chahiye the gaurav se baat karne ke, Uske sath time spend karne ke. Gaurav to us par pehle din se hi lattoo tha aur shayad kawya bhi uski dewani ho chuki thi.

Aur ek din gaurav ne ijhar-e-ishq kar hi diya aur kawya ne bhi uska jawab 'I LOVE YOU TOO' se hi diya.
Aur us manhoos din, jab gaurav ne use hamesha ke liye khoya, unke ijhar-e-ishq ki pehli anniversary thi.

''Gaurav... bhai kaha kho gaya..'' sarang ne gaurav ko hilate huye poocha.
Gaurav jaise neend se jaaga tha. Aas paas dekha to yaad aaya ki wo 'TekRek' ki lab mai hai.
''Kya baat hai??'' Gaurav oonghte hue bola.
''Machine lagbhag ban gayi hai..'' sarang ne use khush hote huye bataya, ''bas akhiri tools rah gaye hai fit karne ko.. jo tu hi kar sakta hai..''
''Theek hai.. aata hu..'' gaurav bola aur Uske sath chal diya.
to be continued...

THE TIME MACHINE(IN HINDI)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें