4. Balwinder Joins The Team (Episode.4)
Aaj ka experiment akhiri hone ke sath sath
bahut hi important bhi tha.
Aaj Dr. Gupta in dono ko sikhane wale the ki kaise
tachyons ki direction ko control karna hai aur apni
marzi se disha deni hai. Aaj ka experiment bhi poori
tarah safal hua aur ab gaurav apne maksad ko
poora karne ke liye bilkul taiyar tha.Lekin ek baat jo gaurav ne sochi hi nai thi uska
dhyan agle hi din sarang ne usko dilaya
''tu tachyons apne paas banayega kaise??''
''matlab??'' gaurav ko wakai samaj nai aaya tha.
''matlab, tachyons ko banane ke liye jo machines
chahiye wo to sirf Dr. Gupta ke paas hi hai..'' sarang
ne samjhaya.
''Abe, ye to maine socha hi nahi..'' gaurav ab
asmanjas mai pad gaya.
''ab kya karega??'' sarang ne uske aage ke neeti ke
bare mai janna chaha jo ab dhundli pad chuki thi.
''shayad ballu madad kare..'' gaurav kuch der
sochne ke baad bola.
''Kaun?? balwinder?? ha shayad wo madad kar
sakta hai.'' sarang bhi shayad yahi soch raha tha.
''lekin phir hume use sab kuch batana padega..''
sarang kisi aur ko ye baat batane ke paksh mai nai
tha.
''aur koi chara nai hai bhai..
hume use batana hi padega..'' gaurav ne apni
lachari jahir ki.
''Dekh le, kahi koi aur dikkat na khadi ho jaye. Tune
to dekha hi hai ki wo tujhe bilkul bhi pasand nahi
karta tha..'' sarang ne apni shanka batai.
''bhai wo to bahut pehle ki baat hai.. ab to wo
hamara kafi achha dost ban gaya hai.. dekh lena wo
madad jaroor karega..'' gaurav ko balwinder par
poora bharosa tha.
''chalo baat karke dekh lete hai.. kya pata baat ban
hi jaye.. lekin time-machine wali baat jarurat padne
par hi batayenge..'' sarang ab bhi ye baat raaj hi
rakhna chahta tha.
''chal maani teri baat..'' gaurav khush hote hue
bola.Agle hi din dono balwinder ke ghar pahunch gaye.
Wo un dono ko dekhkar bahut khush hua.
''Are gaurav.. sarang.. tum dono yaha.. aao baitho..
yaha kaise aana hua..'' ballu ek hi saans mai bolta
hi chala gaya.
''Wo... bhai... hume tumhari thodi madad chahiye
thi..'' kehte hue gaurav ne shuru se lekar ant tak
saari baat use bata di time-machine wali bhi.
''Oh my god!! tum log pagal to nai ho gaye ho.. time-travel impossible hai.. aur Gupta sir ke machines ke
blue-prints tumhe dene ka matlab hai unse
gaddari.. ye mai nai kar sakta..'' pehle ki tarah
balwinder ek saans mai sab kuch bolta hi chala
gaya.
''bhai hum wo blue-prints tumhe wapas kar denge
aur wada karte hai unka galat istemal nai karenge..''
gaurav ne use samjhane ki koshish ki.
''chale jao dono isse pehle ki mai police ko bulao..''
gaurav ki baat sune bagair balwinder gusse mai
unpar phat pada.
Dono ko yakeen nahi tha ki balwinder ka reaction
kuch aisa hoga isliye dono waha se bina ek shabd
aur bole waha se nikal gaye.
Lekin wo kuch door nikle hi the ki peeche se
balwinder ki awaaj aayi, ''ruko ek minute..''
''maine bahut socha aur mai tumhari madad karne
ke liye taiyar hoo.. lekin ek shart par..'' bhagte hue
unke paas akar phir ek hi saans mai wo sabkuch bol
gaya.
Dono ki ankhe chamak uthi. ''kya shart hai
tumhari..'' dono ek sath bole.
''ek to wahi jo tumne kahi ki unhe wapas kar doge
aur unka galat istemal nai karoge.. aur dusri ye ki
mai bhi time-machine banane mai tumhari madad
karoonga aur tumhare sath time-travel par bhi
chalunga.'' balwinder ko to jaise ek saans mai hi
sab kuch kahne ki aadat thi.
''Lekin ye to do sharte hui.. lekin chalo theek hai..''
gaurav ne haste hue kaha aur dono waha se chale
gaye. Aur ballu apne mobile par ek number milate
hue waha se apne ghar ki taraf mud gaya.
''ha bhai wo maan gaye, apna kaam ban gaya
samjho..'' balwinder rahasyamayi dhang se
muskurate hue phone par kisi se baat karne laga.''Hum ballu ko kaise le ja sakte hai.. ye koi picnic
thode hi hai..'' hostel pahunchte hi sarang ne chinta
ke sath halka sa gussa late hue kaha.
''Agar use na kar dete to wo hume kabhi blue-prints
nai deta..'' gaurav ne kaha.
''lekin kahi wo koi pareshani na khadi kar de.''
sarang ne chintit hote hue kaha.
''tab ki tab dekhi jayegi..'' gaurav ne befikra hote hue
kaha aur sarang ne bhi aage behes nai ki.Aur 3-4 din baad hi balwinder unke paas blue prints
lekar pahunch gaya. Gaurav ab apni manjil ke aur
najdeek aa gaya aur kuch hi dino ke andar un teeno
ne milkar wo machines bana li wo bhi chote size
mai taki unhe time machine mai fit kiya ja sake.Ab bas time-machine banana hi baaki tha.
to be continued...
आप पढ़ रहे हैं
THE TIME MACHINE(IN HINDI)
Misteri / ThrillerSTORY BY WRITER NIKAS NIKAS:-Kya Time-Travel sambhav hai?? Kya koi samay mai peeche jakar apna past badal sakta hai. Ye kahani aise hi ek insaan ki kahani hai jisne ek hadse mai apna pyar kho diya aur phir use wapas pane ke liye time-machine tak ba...