44. Neha & Nikunj's Sweet Surprise
Episode- 44
''Abe ye bachha kiska hai?? Kahi neha ka hi to nahi?? Usne shadi kar li kya??'' Gaurav sarang ko jhidakte huye bola.
''Abe mujhe kya malum?? Mai bhi to tere sath abhi abhi hi aaya hu.. jyada khujli ho rahi hai to khud jakar pooch le..'' Sarang ne gusse se kaha. Use dekhkar saaf malum pad raha tha ki us bachhe ko dekhkar use koi khushi nahi hui balki bura hi laga hai.
Is ek saal mai neha kafi badli-badli si lag rahi thi. Jaha pehle uske chehre par ek halki muskurahat hamesha bani rehti thi wahi ab uska chehra kafi murjhaya aur thaka hua lag raha tha. Kafi kamjor ho chuki thi. Jo neha pehle bala ki khubsurat aur natkhat dikhti thi wahi ab aise dikh rahi thi mano salo se bimar ho.
''Abe shant ho ja.. naraz kyu ho raha hai?? Us niberu ne mana na kiya hota to khud jakar hi pooch leta..'' gaurav ne use shant karte huye kaha.
''Chalo chalte hai yaha se.. warna agar usne hume dekh liya to bahut gadbad ho jayegi..'' sarang ne rookhi si awaaj mai kaha.
''Nahi kuch der aur rukte hai na..'' nikunj jo ab tak bina palak jhapkaye neha aur us bachhe ko dekh raha tha sarang ki baat sunkar achanak bola.
Uska kehna hi tha ki ghar se nikhil bahar aaya aur neha se kuch baat karne laga. Wo log thoda door khade the isliye unki baat sun na sake lekin dekh kar lag raha tha ki nikhil shayad neha ko daant raha tha. Phir usne us bachhe ko apni god mai liya aur ghar ke andar chal diya aur uske peeche peeche neha bhi.''Ab to wo bhi andar chali gayi.. abhi to chale ya abhi bhi rukne ka irada hai??'' Sarang ne taana sa marte huye kaha.
''Ha theek hai.. chalo...'' nirash man se nikunj ne kaha.
Phir charo waha se jaise aaye the waise hi wapas time-machine aur niberu ke paas chal diye.Waha niberu abhi bhi waisa hi khada tha jaisa use wo chhod kar gaye the, theek usi jagah.
''Ha to mil aaye neha, nikhil aur anamika se??'' Niberu ne muskurate huye poocha.
''Anamikaaaa??? Kaun anamika???'' Sab ne ek sath poocha.
''Are iski aur neha ki beti.. aur kaun... yahi to naam rakha hai us bachhi ka...'' nikunj ki taraf ungli karte huye niberu ne kaha.
Sab nikunj ko hairani se dekh rahe the. Unke chehro par ajeeb hi bhaav the.
''Ohh lagta hai isne kuch bhi nahi bataya tum logo ko.. chalo mai hi bata deta hu.. aaj se theek 1 saal pehle....''niberu ne kehna shuru kiya lekin nikunj ne use rukne ka ishara kar diya to wo ruk gaya.
''Jis din hum log time-machine mai jane wale the aur clone banne ka intejar kar rahe the us din mai wahi us ghar mai hi ruka tha.. aur raat ko jab pani peene ke liye utha to dekha ki neha ke kamre ki light jal rahi thi..'' nikunj ne batana shuru kiya.
Sab ki nigahe nikunj par hi tiki huyi thi. Sab janna chahte the ki akhir ye hua kaise aur kin halato mai.
''Jab mai uske kamre mai pahucha to dekha ki wo ro rahi thi aur blade se apne hath ki nas katne hi wali thi..'' nikunj ne aage continue kara.
''Phirrr???'' Gaurav ne use beech mai tokte huye poocha.
''Maine turant phurti dikhate huye andar jakar uske hath se blade cheen liya aur usse poocha ki wo ye kya aur kyu kar rahi thi..''
''Plz mujhe marne do..'' neha ne rote huye kaha aur nikunj se wapas blade cheen-ne ki koshish karne lagi. Isi koshish ke dauran blade neha ke hath mai lag gaya aur waha se khoon nikalne laga lekin neha uski parwah na karte huye abhi bhi blade cheen-ne ki koshish kar rahi thi. Wo bilkul pagal si ho gayi thi. Koi aur rasta na dekh kar nikunj ne use ek chaanta mara jisse wo ekdum shant khadi ho gayi magar ro wo ab bhi rahi thi. Use shant dekhkar nikunj ne usi blade se turant apni shirt fadi aur use neha ke ghaav par bandh diya jisse khoon behna ruk sake. Neha ka hath pakad kar wo baitha raha aur neha dheere-dheere subakti rahi.
''Ye tum kyu kar rahi thi neha..'' nikunj ne usse poocha.
''Mujhe malum hai tum log kal mujhe chhod kar hamesha ke liye chale jaoge..'' neha ne subakte huye kaha.
''Ye tumse kisne kaha??'' Nikunj ne poocha.
''Mujhe malum hai.. mai gaurav ko to kho hi chuki hu ab tumhe nahi khona chahti..'' neha ne jawab diya.
''Matlabbb???'' Nikunj ne hairani se kaha.
''Matlab I love you too.. plz mujhe chhod kar mat jao..'' neha ne usse lipatte huye kaha.''Aur phir us raat ko jo hua wo shayad nahi hona chahiye tha..'' kehte huye nikunj ne apni baat khatam ki.
Gaurav ab bhi hairan tha ye soch kar ki neha ko akhir nikunj se pyar hua kab jabki usne to nikunj ko saaf mana kar diya tha.
''Aur neha tabhi se tumhara intejar kar rahi hai.. tumne wada jo kiya tha lautne ka isliye roj bahar aakar tumhara intejar karti.. bechari gumsum rehne lagi aur khana peena sab chhod diya.. phir ek din pata chala ki wo pregnant hai to nikhil aur uske parents kafi naraz huye.. unhone usse bolchal lagbhag band hi kar di.. isse uski tabiyat aur kharab hoti chali gayi.. lekin kuch samay baad neha ko us halat mai dekhkar nikhil ne usse bolchal shuru ki aur apne parents ko bhi mana liya.. anamika ke janm ke baad bhi wo waisi hi rahi.. roz tumhara intejar karti rehti hai..'' niberu ne aage ki sari kahani sunayi.
''To tumne usse mujhe milne kyu nahi diya?? Wo mera intejar kar rahi hai aur mai usse mile bina hi wapas aa gaya..'' nikunj ne gusse se kaha.
''Kyuki ye sab baatein ab bemani hai.. tum log ab wapas apne samay mai jaa hi rahe ho to jo badalne wala hai uski vajah se paeshan kyu hona..'' niberu ne samjhaya.
''Theek hai.. lekin ab to neha ko mai bilkul bhi hissa nahi lene dunga..'' nikunj ne taish mai kaha.
''Ye baatein zetron se karna.. chalo ab jao tum log..'' niberu ne kaha.
Iske baad sab time-machine mai chale gaye aur is baar gaurav ne poori sawdhani se time set kiya aur Go! ka button daba diya.Time-machine ne is baar unhe bilkul sahi samay mai pahuchaya tha. Time-machine se nikal kar nikunj seedha neha ke ghar ki taraf chal diya. Nikunj ke jaate hi achanak time-machine se sparks uthne lage aur phir turant hi machine ne aag pakad li. Gaurav ko samajh hi nahi aaya ki akhir ye kya hua lekin phir usne andaza lagaya ki ho na ho ye kaam zaroor niberu ka hai taki wo log samay ke sath dobara koi ched-khani na kar sake. Wahi khade rehne ka koi matlab nahi tha to wo bhi nikunj ke peeche nikal gaya. Sarang usse machine ki is halat ke baare mai poochna chahta tha lekin phir use jata dekh wo bhi wahi uske peeche ho liya aur sath hi kawya bhi. Aisa lag raha tha ki jaise kahi saalo se nikunj ne neha ko nahi dekha hai isliye wo lagbhag daud raha tha.
Unke jaate hi zetron waha aaya aur machine ki wo halat dekhkar soch mai pad gaya. Usne apni ankhe band ki aur gaurav ki location dhoodne laga. Kuch hi seconds mai use gaurav ki location use mil gayi aur wo waha se gayab ho gaya aur seedha nikhil ke ghar pahuch gaya. Wo waha adrashya roop mai hi khada raha aur un logo ka intejar karne laga.
Thodi hi der mai nikunj use aata hua dikhai de gaya.to be continued...
______________________________
आप पढ़ रहे हैं
THE TIME MACHINE(IN HINDI)
Mystery / ThrillerSTORY BY WRITER NIKAS NIKAS:-Kya Time-Travel sambhav hai?? Kya koi samay mai peeche jakar apna past badal sakta hai. Ye kahani aise hi ek insaan ki kahani hai jisne ek hadse mai apna pyar kho diya aur phir use wapas pane ke liye time-machine tak ba...