48.vayun

216 2 0
                                    

Episode 48

''Lekin yaha to sirf ek hi suit hai.. baki ke suits kaha hai??'' Gaurav ne poocha.
''Chinta mat karo.. baki suits bhi aa jayenge abhi..'' zetron ne kaha aur phir suit ki or dekhte huye control-board par kuch buttons dabaye.
Dekhte hi dekhte wo suit 6 wristband jaisi devices mai badal gaya jo hawa mai wahi tairne lage. Zetron ne hath hawa mai lehraye aur wo wristbands seedhe jakar un sabhi ke right hand ki kalayio se chipak gaye.
''Ye lo.. aa gaye sabke suits.. ye wristbands jo tum logo ke hatho par bandhe hai yahi tumhare exo-suit hai.. inhe istemal karne ke liye bas ek baar apna left hand inke upar ferna aur phir apna right hand is tarah upar uthana.. exo-suit activate ho jayega..'' zetron ne apna hath uthakar dikhaya.
Sabhi ne turant jaisa zetron ne kaha tha waisa hi kiya aur unke hath upar uthate hi wo wristbands ek pal ke liye chamke aur agle hi pal wo suit unke shareer par tha. Suit kafi shandar aur aramdayak tha aur uski khoobiya to zetron pehle hi suna chuka tha.
''Aur agar suit utarna ho... matlab deactivate karna ho to kaise karenge???'' Nikunj ne poocha.
''Jo tareeka pehanne ka hai wahi utarne ka bhi hai... lekin dhyan rahe ye suit koi mamuli suit nahi hai.. ye ek bomb bhi hai.. ek nuclear bomb.. jarurat padne par ise bomb ki tarah bhi istemal kiya ja sakta hai.. isliye ise jara samhal kar istemal karna.. kabhi bhi apna left hand wristband par ferne ke baad apne dono hatho se apni chati par 'X' ka nishan mat banana warna bomb activate ho jayega.. jo 30 second mai phat jayega.. aur agar bomb ek baar activate ho gaya to na hi use deactivate kar sakte hai na hi suit ko..'' zetron ne bataya.
Ise sunte hi sabke ek baar phir pasine choot gaye.
'Ye to bada khatarnak suit hai.. agar galti se bhi bomb activate ho gaya to samjho hum to gaye kaam se???'' Nikhil ne kaha.
''Nahi aisa nahi hai.. ye ek 'V' grade technology hai.. jahir hai itna unsafe nahi hoga.. ye suit pehanne wale ke sath poori tarah se judta hai.. jab tak pehanne wala nahi chahega bomb activate nahi hoga..'' zetron ne samjhaya.

Zetron ki baat sab ko samajh aa gayi. Iske baad sabhi ne badi sawdhani ke sath suit ko wapas deactivate kar diya.
Ab sabhi training ke liye taiyar the magar unki training 'Ghaman' par hamle ki vajah se 1 din ke liye taal di gayi thi isliye aaj sabko araam karna tha. Zetron apne control-room mai tha aur baki sabhi log ek alag room mai ruke huye the.

''Neha... tum aur pregnant??? Kaise???'' Achanak kawya ne wo baat chhed di jo wo thodi der pehle consulate ke samne karne se bach rahe the.
Jawab mai neha ne kuch nahi kaha. Wo sir jhukaye pehle ki tarah hi baithi rahi aur shayad sharma rahi thi.
''Are yahi bata do kaun hai wo lucky guy???'' Gaurav ne bhi use chhedte huye kaha.
''Behna kahi tumhare sath kisi ne jabardasti to nahi ki na??'' Neha ko chup dekh kar nikhil ne gusse se kaha.

''Nahi bhaiya.. nikunj ne koi jabardasti nahi ki.. hum dono ek dusre se py....'' abki baar neha khadi hokar bol padi lekin jaise hi ehsaas hua ki kya bol rahi hai turant shant ho gayi aur sharmate huye jakar chup-chaap nikunj ke bagal mai baith gayi aur uske seene mai apna sir chupane lagi. Phir to bas un dono ki khichayi shuru ho gayi. Jaha gaurav aur kawya unhe chhed rahe the wahi nikhil thoda gusse mai tha ki shadi se pehle ye sab nahi hona chahiye tha. Wahi sarang ekdum shant tha. Uski chuppi gaurav aur neha dono hi samajh rahe the lekin kisi ne bhi usse kuch nahi kaha.
Yu hi baate karte-karte kayi ghante nikal gaye aur xemus par raat ho gayi. Halaki dekh kar lag nahi raha tha ki raat ho gayi hai kyuki roshni ab bhi utni hi thi.
Wo log baatein kar hi rahe the ki zetron unke kamre mai aaya.
''Tum logo ke liye ek aur buri khabar hai.. 'Ghaman' jitna humne socha tha usse pehle hi khatam kar diya gaya hai.. 'Surak' aur 'Fdara' ki mili-juli shakti ke aage wo 1 din bhi nahi tik paya.. ab waha se jarurat ka saman lekar dono graho ki fauz kal prithvi ke liye bad jayengi..'' zetron ne kaha.
Zetron ki baat sunkar sabke haste huye chehre ekdum se latak gaye.
''Aur suno.. 'Humio' ke life-supporter aur mere sabse achhe dost 'Niberu' ne bataya hai ki 'Humio' ke raja ko is hamle ke baare mai pata chal gaya hai.. aur ab wo bhi prithvi ki taraf hamla karne ke liye nikalne wale hai.. taki time-machine ko apne kabze mai lekar uski shaktiyo ki madad se 'Surak' aur 'Fdara' ke sambhavit hamle ko rok sake.. aur apna naye planet par rehne ka maksad bhi hasil kar sake..'' zetron ne aage bataya.
Yeh sunkar to sabki batti hi bujh gayi. Abhi tak to sirf 'Surak' hi tha unka dushman lekin ab 'Fdara' aur 'Humio' bhi aa rahe the un par hamla karne ke liye.
''Abhi aur bhi hai.. 'Ghaman' par hamle ki vajah se naraz consulate ne kisi bhi xemus-wasi ko tumhari madad karne se mana kar diya hai.. consulate ka manna hai ki ye sab tum logo ki vajah se ho raha hai isliye apne planet ko bachane ke liye jo karna hai tumhe ab khud hi karna hai.. xemus tumhari jitni madad kar sakta tha usse jyada kar chuka hai.. ab tumhari koi training nahi hogi agar..'' zetron ne jaan boojhkar baat adhoori chhod di.
''Agar kya???'' Gaurav ne poocha.
''Consulate ke aadesh anusar tumhe training ab sirf unhi graho ke life-supporter de sakte hai jo tumhare grah par hamla karenge.. yani fdara aur surak.. yahi tumhe apne hi planet se bacha sakte hai agar ye raji hote hai to..'' zetron ne bataya.
''Ye kya baat huyi.. ab yahi log hume training denge jo hum par hamla karenge.. wo bhi apni marzi se..'' nikunj ne udaas hote huye kaha.
''Jaban samhal kar ladke....'' nikunj ki baat sunkar zetron ne gusse se kaha jise sunkar sab log seham gaye.
''Hamla ye log nahi inke planet kar rahe hai.. aur ye tumhari madad apni sharto par isliye karenge kyuki isme inki shaktiyo ko khatra hai.. inka planet agar haar gaya to inki life-force kam ho jayegi..'' zetron ne thoda shant hote huye aage kaha.
''Ha to phir der kisi baat ki hai.. bulao inhe.. inhe hamari madad karni hi hogi.. khaas kar surak ke guardian ko.. sab kuch surak ki vajah se hi to ho raha hai..'' nikunj ne kaha.
Ye sunna tha ki zetron ke chehre par gusse poore ufaan par tha lekin shayad wo apna gussa bahar aane se rok raha tha.
''Kiyaya yaha nahi aa sakti.. wo pehle se hi wo saza bhugat rahi hai jo uske liye kabhi thi hi nahi..'' zetron ne gusse mai apne daat bheechte huye kaha.
''Surak ki guardian ek aurat hai????'' Gaurav ne ashcharya se poocha.
''Haa... aur ab is baare mai koi sawal jawab nahi honge.. tumhari madad 'Fdara' ka life-supporter aur guardian karega.. mai use bula kar lata hu..'' zetron ne kaha aur waha se chala gaya.

''Ye 'Niberu' kuch suna-suna sa nahi lag raha???'' Zetron ke jane ke thodi der baad nikunj bola.
''Pata nahi yar.. waise bhi mera to ab dimag hi nahi chal raha.. pata nahi aage kya hoga??'' Gaurav ne sir par hath marte huye kaha.

Wo log kareeb 15 min tak waise hi baithe rahe aur phir zetron kisi ke sath waha aaya.
''Hello... mera naam hai 'Vayun'.. mai hu 'Fdara' ka guardian.. aur tumhara naya trainer bhi..'' us dusre xemus-wasi ne kaha.
to be continued...

THE TIME MACHINE(IN HINDI)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें