21. In Hospital {Episode- 21}

411 3 0
                                    

21. In Hospital {Episode- 21}

Gaurav ki khushi ka thikana nahi tha jab usne suna ki 'ye dono to zinda hai'. Usne nikhil ki or dekha to nikhil turant samajh gaya wo kya kehna chahta hai. Usne apna phone nikala aur ambulance mangwai. Sarang aur is dimension ka gaurav dono hi ab tak behosh the, aisa lag raha tha jaise coma mai ho. Thodi hi der mai ambulance bhi aa gayi aur un dono ko usme chada diya gaya. Unke sath hi gaurav aur nikhil bhi ambulance mai baith gaye. Wahi inspector Chaudhary sir ji aur uske sathiyo ko police van mai daalkar thane ki aur rawana ho gaye.

Kafi der tak un dono mai se koi kuch nahi bola. Jaha nikhil is poore mamle ko samajhne ki koshish kar raha tha wahi gaurav khud par sharminda tha ki usne yaha ke nikhil ke bare mai bhi wahi soch rakhi Jo uski apne nikhil ke baare mai thi. Uski khamoshi ki ek aur vajah thi sarang ki aisi halat jiska jimmedar kahi na kahi wo khud ko hi maan raha tha.

''To tum mere dost gaurav nahi ho...'' Kafi der baad akhirkar nikhil ne chuppi todi.
''Ha bhi aur nahi bhi..'' gaurav ne gol-mol sa jawab diya.
''Matlab???''
''Matlab ye ki mai tumhara dost gaurav hi hu lekin is dimension ka nahi hu..'' gaurav ne apni baat samjhayi jo nikhil ko samajh nahi aayi.
''Mai samjha nahi..''
''Mai samjhata hu.. iska matlab ye hai ki ye wala gaurav aur mai ek hi hai bas shareer aur soch alag hai..''
''Jab shareer bhi alag hai aur soch bhi to tum dono ek kaise huye??'' Nikhil ka sawaal wakai kafi kathin tha.
''Aise samjho ye aur mai ek sikke ke do pehlu hai.. dono alag hote huye bhi ek hi sikke ka hissa hote hai.. waise hi hum dono alag hote huye bhi ek hi insaan ke hisse hai.. aise anginat hisse hote hai har insaan ke.. jo apne aap mai poore bhi hai aur adhoore bhi..'' gaurav ne yaha apne genious hone ka parichay ek baar phir diya.
Nikhil ko ab bhi kuch samajh nahi aaya tha lekin jitna wo jo samajhna chahta tha utna wo samajh gaya tha ki ye uske dost gaurav jaisa dikhta hai par uska dost gaurav nahi hai.
''To tumhare dimension ka nikhil kaisa hai.. maine sir ji ko kehte suna ki usne tumhe dhokha diya tha..'' nikhil ne ek aur bouncer faika. Ek aisa sawal jiska jawab gaurav nahi Dena chahta tha.
''Tum na poocho to hi achha hai..''
''Kya wo itna bura hai??''
''Haa.. bas aisa samajh lo ki tumhare sir ji jaisa hi hai..'' gaurav ne sarang ke behosh shareer ki or dekhte huye kaha.
Nikhil usse abhi aur bahut kuch janna chahta tha magar tab tak hospital aa chuka tha isliye wo shant ho gaya. Waise bhi is samay gaurav ka baat karne ka bilkul mood nahi tha. Use is waqt sirf sarang ki chinta lagi thi.
Un dono ko emergency ward mai le jaaya gaya aur unka ilaaj shuru ho gaya. Gaurav aur nikhil emergency ward ke bahar hi baith gaye, waise bhi wo aur kar hi kya sakte the. Unme sarang ki halat jyada serious thi kyuki jankariya ugalwane ke liye use maara bhi bahut gaya tha aur bhookha pyaasa bhi rakha gaya tha.

Kareeb 15 minute baad doctors bahar aaye aur unme se Dr. Chandra jo nikhil ke papa ke sabse achhe dost the nikhil ki aur mukhatib huye.
''Ab dono kaise hai Chandra uncle??'' nikhil ne unse poocha.
''Un dono mai se ek to out of danger hai nikhil.. magar dusre ka opration.... are tum to us patient ki tarah hi dikhte ho..'' nikhil se bolte bolte Dr. Chandra achanak gaurav ki taraf dekhte huye bole.
''Jii.. m...mmai... wo...'' sawal sunkar gaurav haklane laga. Use koi jawab hi nahi soojha aur sach wo bata nahi sakta tha.
''Ha Dr uncle.. darasal ye dono judwa bhai hai..iska naam gaurav hai aur iske bhai ka saurav.. aur wo dusra hamara dost hai sarang..'' gaurav ko haklate dekh nikhil ne jhooth bol diya siway akhiri line ke.
''Aap kuch bata rahe the Dr. un dono ki halat ke baare mai??'' Nikhil ka jhooth sunkar gaurav ka haklana bhi ruk gaya.
''Haa wo tumhara bhai to out of danger hai.. bas jyada chot lagne se behosh hai.. thodi der mai use hosh aa jayega.. magar tumhara dost sarang kafi critical hai.. uske lungs mai infection ho gaya hai.. aur sir par bhi kafi gehri chote hai.. turant uska operation karna hoga..'' Dr. Chandra ne un dono ki halat batayi.
''To operation kijiye uncle.. use plz bacha lijiye..'' nikhil ne kaha kyuki gaurav se to aage kuch bolte hi nahi bana.
''Theek hai.. mai operation ki taiyari karta hu..'' Dr. Chandra ne kaha aur waha se chale gaye.
''Lekin dost.. operation mai to bahut kharcha aayega.. aur mai to apne sath kuch bhi nahi laya..'' gaurav ne apni chinta nikhil ko batayi.
''Abe dost bhi bolta hai aur aisi baatein bhi karta hai.. chinta mat kar.. mai hu na.. aur waise bhi Chandra uncle Paise nahi lenge..'' nikhil ne gaurav ki peeth thapthapate huye kaha.
''Kyu???''
''Darasal chandra uncle ke upar ek baar ek patient ke pariwar walo ne laparwahi aur murder ka case darj karwa diya tha.. jabki uski death lung cancer ke bigadne aur der se hospital lane ke karan huyi thi.. tab papa ne hi unhe bachaya tha aur unke upar lage iljam galat sabit kiye the..'' nikhil ne poori baat batayi.
''Ohh... achha..''

Kareeb 2 ghanto baad operation shuru ho gaya jo kareeb 6 ghanto tak chala. Jab tak operation khatam hua raat ke 12 baj chuke the.
Dr. Chandra operation theater se bahar aaye to unke chehre par ek muskan thi jo iska saboot thi ki sab kuch theek hua hai.
''Operation kaisa hua uncle?? Successful to tha na??'' Gaurav ne unke bahar aate hi poocha.
''Ha uncle... wo theek to hai na??'' Nikhil ko bhi sarang ki chinta ho rahi thi.
''Sab theek hai bachho.. operation 100% successful raha.. sarang bilkul theek hai.. wo khatre se bahar hai lekin hosh mai aane mai abhi waqt lagega.. ab agar tumhari ijajat ho to mai saurav ko bhi check kar lu.. nurse ne bataya ki use hosh aaya tha lekin wo phir behosh ho gaya..'' Dr. Chandra ne kaha aur phir emergency ward ki or nikal gaye.
Gaurav ne ye sunkar rahat ki saans li ki uska dost khatre se bahar hai.
Achanak use kuch dhyan aaya aur wo apni jeb tatolne laga.
''Kya hua.. ise doond raha hai kya??'' Nikhil apni jeb se IDT nikalte huye bola.
''Ha... lekin ye tere paas kaise?? Ye to us wale sarang matlab sir ji ne leli thi..'' gaurav usse IDT lete huye bola.
''Ha thi to usi ke paas.. lekin maine tum logo ki baatein suni thi.. isliye mujhe laga ye jaroor koi kaam ki cheez hogi.. to maine chupke se ye usi waqt nikal li thi jab hawaldar uske behosh shareer ko van mai chada rahe the.. mai ise usi waqt tujhe dene wala tha lekin tujhe pareshan dekhkar ise apne paas rakh liya taki sahi time par de saku..'' nikhil ne bataya.
Uski baat sunkar gaurav ki aankhe bhar aayi aur usne use gale se laga liya.
to be continued...
______________________________

Read Stories & keep support

Like on Facebook- https://facebook.com/StarkwoodStories

Follow me - https://twitter.com/Aryan__hunter

THE TIME MACHINE(IN HINDI)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें