22. Still In Hospital
Episode- 22
''toooo... ye cheez kisi kaam aati hai??'' Nikhil ne sarang se poocha.
''Yahi wo device hai jisse hum ek dimension se dusre dimension mai jaa sakte hai..'' gaurav ne bataya.
''Lekin tumhe ye mili kaha se??''
''Ye hume zetron ne di thi time machine ke badle mai..''
''Ye zetron kaun hai?? Uska jikra sir ji aur tumhari baat-cheet ke beech bhi hua tha.. bada ajeeb sa naam hai ye..'' nikhil ka ye sawal thoda tedha tha jiska jawab gaurav ko samajh hi nahi aaya kaise de.
''Wo kahani mai baad mai bataunga.. pehle khud se mil aaoo.. abhi bas itna samajh lo wo is duniya ka nahi hai.. lekin duniya mai chalti sirf usi ki hai..'' gaurav ne ek gol-mol sa jawab diya aur emergency ward ki taraf badhne laga. Uske peeche peeche nikhil bhi chal diya.Abhi wo emergency ward tak pahucha hi tha ki use kawya aati dikhai di. Wo usi ki taraf aa rahi thi.
Paas aate hi kawya gaurav ke seene se lag gayi aur phoot phoot kar rone lagi.
''Mujhe maaf kar do gaurav.. lekin mujhe usne majboor kiya tha waisa sab kuch karne ko.. agar mai wo na karti to wo kamina tumhe maar deta.. lekin tumhe to kuch khaas chot nahi aayi.. phir isne aisa kyu bola ki tum serious ho??'' Kawya rote rote hi bolti chali gayi. Wo ab bhi gaurav ke gale lagi huyi thi. Wahi gaurav to jaise jannat mai hi pahunch gaya tha. Itne samay baad usne kawya ka sparsh mehsoos kiya tha. Wo to bas but bankar khada raha.
''Kawya ye tumhara gaurav nahi hai..'' akhirkar nikhil ko hi bolna pada.
''Tum to chup hi raho.. majaak ki bhi ek limit hoti hai.. ek to mai waise hi pareshan hu ye sochkar ki akhir ho kya raha hai ye sab.. upar se tumhare ye ghatiya jokes..'' kawya ne nikhil ko daant lagayi to wo chup ho gaya aur tukur tukur gaurav ko dekhne laga.
Ab tak gaurav bhi swarg se dharti par aa chuka tha.
''Wo sahi keh raha hai.. mai wo nahi hu jo tum samajh rahi ho.. emergency ward mai dekho.. sab samajh mai aa jayega..'' gaurav kawya ko apne seene se alag karte huye bola.
''Tum bhi jaan.. iska sath de rahe ho.. pehle mujhe ye batao usne mujhse ye natak kyu karwaya??'' Kawya wapas uske gale lagte huye boli magar is baar gaurav ne use beech mai hi rok liya.
''Andar dekho to sahi.. sab samajh mai aa jayega..'' nikhil ne gaurav ke kandhe pe hath rakhte huye kawya se kaha.
Un dono ko serious dekh kawya ne ek baar emergency ward mai jhaank lena hi theek samjha. Andar dekhte hi uske hosh ud gaye.
Andar bhi ek gaurav leta hua tha jiske shareer par jagah jagah chot ke nishan the aur pattiiya bandhi huyi thi.
''Bhai ise kyu bula liya tumne.. kya ye sachhayi samajh payegi..'' gaurav ne nikhil ke kaan mai phusphusate huye kaha.
''Are bhai.. isko bhi to pata lagna chahiye ki iske sath ye game kyu khela gaya.. aur phir ye gaurav se sachha pyar karti hai.. sachhayi ko jaroor samjhegi..'' nikhil ne bhi waise hi phusphusate huye kaha.
''Lekin bhai sach itna bhi seedha nahi hai.. batane mai mere bhi pasine choot jayenge..'' gaurav ne is baar thoda loud kaha lekin shayad kawya ne suna nahi. Wo to andar ka scene dekhkar ekdum but ban gayi thi.
''Shhhhh... dheere bol.. aur sach janna uska haq hai.. isi bahane mai bhi poori ramayan sun lunga..'' nikhil ne use to dheere bolne ko kaha lekin khud jaan boojhkar itna loud bola ki kawya araam se sun le aur usne suna bhi.''Ye kya chakkar hai.. tum agar gaurav nahi ho to kaun ho tum??'' Kawya ne palatte huye kaha. Uski awaaj mai ghabrahat saaf jhalak rahi thi. Aisa lag raha tha jaise wo behosh hi ho jayegi.
''Sab bata dunga.. lekin wada karo jo baatein mai tumhe bataunga wo baatein tum kisi ko nahi bataogi.. aur meri baat poori hone tak tum mujhe beech mai nahi tokogi..''
''Mai wada karti...'' kawya apni baat poori karti isse pehle hi ek nurse emergency ward se bahar aayi aur boli- ''patient ko hosh aa gaya hai.. aap log ab unse mil sakte hai..''
''Ye jagah safe nahi hai.. koi bhi hamari baat sun sakta hai..'' gaurav nurse ko dekhte hi sakpaka gaya aur nikhil ke kaan mai bahut dheemi awaaj mai bola.
Gaurav ko nikhil ke kaan mai phusphusate dekh nurse waha se muskurate huye chali gayi.
''Pehle gaurav se to mil le.. phir sari baat karenge..'' nikhil ne kawya ki or dekhte huye kaha. Itna sunte hi kawya jhat se emergency ward mai chali gayi aur uske peeche peeche gaurav aur nikhil bhi.Andar is dimension ka gaurav bistar par leta hua karah raha tha jab wey teeno room mai enter huye.
''Theek to ho na jaan.. jyada dard to nahi ho raha..'' kawya ne ruwanse swar mai kaha.
''Thoda dard hai.. magar mai theek hu jaan.. lekin tumhe itni raat ko yaha nahi aana chahiye tha.. kuch ho jata to...'' gaurav ko apne dard se jyada kawya ki chinta thi. Yahi to sachha pyar hai jaha khud se jyada apne saathi ki chinta hoti hai.
''Ohh... to wo sabkuch sach tha.. tum bhi gaurav hi ho na..'' kawya isse pehle kuch bole 2nd dimension ka gaurav nikhil aur 1st dimension ke gaurav ko dekhkar bola.
''Haa.. mera naam bhi gaurav hai.. and sorry tumhari is halat ke liye kahi na kahi mai bhi jimmedar hu..'' 1st dimension ke gaurav ne kaha.
Kawya ankhe phaad kar use dekh rahi thi. Ab use sach mai chakkar aane lage the. Ab tak to wo yahi soch rahi thi ki ye uske gaurav ka koi duplicate hai lekin ab use malum pad raha tha ki ye bhi gaurav hai.
''Mujhe sarang ne bataya tha.. jab bhi humare aas-paas koi na hota tab wo mujhe sab kuch bataya karta tha.. kafi achha insaan hai wo.. yaha ke sarang ke jaisa nahi..'' 2nd dimension ke gaurav ne kaha.
1st dimension ka gaurav kuch kehta isse pehle kisi ke kadmo ki awaaj sunayi di. Usne peeche mudkar dekha to samne se nikhil ke papa inspector Chaudhary aa rahe the.
''Are papa.. aap yaha kaise??'' Nikhil ne unse poocha.
''Us 'sir ji' ko yahi admit kiya gaya hai.. hosh mai aate hi usne bhagne ki koshish ki.. isliye mujhe aana pada.. yaha aakar Chandra ne bataya ki ise hosh aa gaya hai to iska bayan lene mai yaha aa gaya..'' inspector chaudhary ne poori kahani sunayi.
'Kahi inhone hamari baatein sun to nahi li.' 1st dimension ka gaurav yeh soch hi raha tha ki inspector Chaudhary usse bole, ''are tumne ilaaj kyu nahi karwaya.. maar to tumhe bhi padi thi.. jao chandra ke paas jao.. wo tumhe dard ki goliya de dega..''
''Nahi uncle mai bilkul theek hu.. koi dard bhi nahi hai..'' 1st dimension ke gaurav ne kaha.
''Theek hai.. jaisi tumhari marji.. lekin ab sab log bahar jao.. mujhe iska bayan lena hai.. warna ise pareshani hogi..'' inspector Chaudhary ne kaha aur bistar par lete gaurav ki or mukhatib huye.
''Koi baat nahi uncle.. mujhe koi pareshani nahi hogi.. balki inke hone se to mujhe hausla milega..'' kehte huye 2nd dimension ke gaurav ne shuru se lekar ant tak jitna wo janta tha sab inspector Chaudhary ko bata diya. Kaise usne dono sarang ko ek sath dekha, kaise uska kidnap hua, un dono ki pitayi hui, sarang se informations nikali gayi.
Sab sunne ke baad inspector Chaudhary kuch der to khamosh rahe phir 1st dimension ke gaurav ki taraf mudte huye bole, ''ab tum bolna shuru karo.. tumhari sachhayi kya hai.. kyuki tum iske bhai to nahi ho ye confirm hai..''
to be continued...
आप पढ़ रहे हैं
THE TIME MACHINE(IN HINDI)
Детектив / ТриллерSTORY BY WRITER NIKAS NIKAS:-Kya Time-Travel sambhav hai?? Kya koi samay mai peeche jakar apna past badal sakta hai. Ye kahani aise hi ek insaan ki kahani hai jisne ek hadse mai apna pyar kho diya aur phir use wapas pane ke liye time-machine tak ba...