7. Balwinder's Betrayal & Mr. Verma Saves Them(EPISODE.7)

617 11 4
                                    

THE TIME MACHINE (IN HINDI)

7. Balwinder's Betrayal & Mr. Verma Saves Them (EPISODE.7)

Gaurav aur sarang ko apni ankho par yakeen nahi ho raha tha ki jo unke samne ho raha hai wo sach hai. Wo hairani se kabhi balwinder ko dekhte to kabhi Uske haath mai thami hui revolver ko.
''Koi kahi nahi ja raha hai.. samjhheee...'' balwinder phir gurraya.
''Ye tu kya kar raha hai yara... tujhe ye achanak kya ho gaya hai..'' gaurav ne samjhane ki koshish ki aur samajhne ki bhi ki akhir ho kya raha hai.
''Achanak nahi gaurav... achanak nahi... ye to mai usi din se soch raha tha jis din tum mere paas tachyons machines ke blue-prints lene aaye the..'' balwinder ek saans mai bola aur thodi der rukkar machine ki or ishara karte hue bola ''jante ho ye kya hai??? ye paise ki khan hai jiska paisa kabhi khatam nahi hoga chahe jitna nikal lo.. iski keemat ka koi andaja nahi laga sakta kyuki ye beshkeemti hai.. ye kisi ko bhi bhagwan bana sakti hai..sab kuch kar sakne wala bhagwan.. hahaha...''
''Tu ye kya keh raha hai.. ye machine agar kisi galat hath mai pad gayi to duniya tabah ho jayegi.. kuch nahi bachega.. isliye hum ye machine kinhi galat hatho mai nahi saup sakte..'' sarang ki ankho mai bhay tha, usi baat ka jo wo kai dino se soch raha tha aur kai baar gaurav ko bhi apna dar bata chuka tha.
''To tujhe kya lagta hai mai ye machine bech dunga... hahaha.... nahi mere dost nahi.. ye machine ab mere kabil hatho mai rahegi.. aur iski madad se mai is duniya ka sabse ameer admi b..... nahi ameer nahi, mai to is duniya ka naya bhagwan banunga... naya bhagwaaann.... hahaha...''
''Lekin is machine ke sath agar tune past mai koi gadbad ki to uska asar hum sab par hoga.. aur tujhe par bhi..'' gaurav ne use phir samjhana chaha.
''Beta... yahi tu maat kah gaya.. mai gadbad past mai nahi future mai karunga.. future ke gadgets yaha lakar bechunga.. Jo gadgets future mai aam honge wo aaj ke 2021 ke liye unimaginable aur beshkeemti honge.. wahi muje 2021 ka bhagwan banayenge.'' Balwinder ne apna plan bataya jo kafi bhayanak magar sateek tha.
''Haramjaade.. kutte.. saale asteen ke saap.. tune hamari dosti ka ye sila diya hume.. man to karta hai ki.....'' gaurav ne kehte hue aage badhne ki koshish ki magar ek hawai fire ne uske kadam rok diye.
''a..a..aa.. jyada hoshiyari nahi.. warna ye dekh rahe ho na kya hai.. 2 second mai tumhe kawya ke paas pahuncha dega.. phir karte rehna dono pyar upar baith ke... aur tum saap ki baat na hi karo to achha hoga warna jis din tumhe asli asteen ke saap ka pata chalega tumhare pairo tale jameen khisak jayegi..'' balwinder ne kutilta se hanste huye kaha aur phir apni baat khatam ki, ''chalo ab jaldi se achhe bachhe ki tarah time-machine ke blue-prints mere hawale kar do..''
''tumhe blue-prints ki kya jarurat hai?? Machine tumne khud banti dekhi hai aur banane mai madad bhi ki hai.. tumhe to sab pata hi hai ki kaise kaha kya hua hai.. sarang ne chalak bante huye kaha taaki machine ke blue-prints balwinder na le paaye.
''Sab kuch nahi munna.. sab kuch nahi.. machine par jitna kaam tune aur maine kiya hai wo to mai janta hu lekin jitna kaam gaurav ne kiya hai use samajhne ke liye muje blue-prints ki jaru......'' Balwinder apni baat poori karta isse pehle hi ek goli uske hath ke aar-paar ho gayi aur revolver uske hath se choot gayi.
Sab goli ki awaaj jise disha se aayi waha dekhne lage par waha koi nahi tha.
Balwinder ne revolver uthane ki koshish ki to ek aur goli uske pair mai ja dhansi aur revolver apne aap hi sarak kar usse door chali gayi.

Phir ek ashcharya huya. Revolver hawa mai uthne lagi aur usi tarah balwinder par tan gayi jaise thodi der pehle gaurav aur sarang par tani huyi thi. Fark bas itna tha ki is baar use pakadne wale hath adrashya the.

Aur phir dheere-dheere wo hath dikhne lage aur baaki sara shareer bhi.

Wo Mr. Verma the. Unhone ek tarah ka hi-tech suit pehna hua tha jisme kai tarah ke buttons aur lights lagi huyi thi.
''Guardssss.....'' wo chillaye.
Pal bhar mai hi 5-6 guards waha aa gaye aur balwinder ko arrest karke waha se le gaye.
''Papa.. ye apne kaise kiya??'' sarang hairani se apne papa ko dekh raha tha aur gaurav bhi.
''Ye 'Invi-suit' hai.. TekRek ka abhi tak ka sabse nayaab invention.. ye kisi bhi insaan ko invisible bana sakta hai..'' Mr. Verma ne muskurate huye kaha.
''Lekin.. uncle apko pata kaise chala ki yaha par ye sab ho raha hai??'' gaurav ne poocha.
''Tumhe kya lagta hai mai apne 6 crore kisi project mai lagaunga wo bhi bina us par najar rakhe..'' unhone muskurate hue jawab diya aur phir bole, ''mera 1 admi hamesha is lab mai mojoud rehta tha 'Invi-suit' pehne huye.. jaise hi usne muje lab mai ho rahi is gadbad ke baare mai bataya mai turant 'Invi-suit' pehankar yaha aa gaya Aur uske baad jo hua wo to tumhe malum hi hai..''
Aur phir jaise hi unhone machine ko dekha to bole, ''oh!!! to machine ban hi gayi.. usne bataya tha mujhe.. wakai kamaal kar diya..''
Gaurav isse pehle kuch bolta Mr. Verma bole, ''gaurav!! jao apna maksad poora karo taaki uske baad ye machine hamesha ke liye TekRek ki property ban sake..'' phir thoda rukkar wo bole, ''mujhe pata hai ki tum ek baar machine use kar chuke ho par mai itna bi nirdayi nahi hu.. mai shaam ko aaunga.. ummeed karta hua tab tak tumhara kaam ho chuka hoga..'' kehkar Mr. Verma chale gaye.

Unke jaate hi sarang gaurav se bola, ''to chale... teri kawya ko vapas laane..''
Gaurav bhi khushi se uchalte huye bola,''ha chalo..''
''Thehrooo..'' dono machine ki taraf khade hi the ki peeche se aayi ek awaaj ne unke kadam phir se rok diye...
to be continued...

THE TIME MACHINE(IN HINDI)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें