28. The Third Dimension
Episode- 28
''Abe dimag to kharab nahi ho gaya tera.. kya bak raha hai..'' sarang gaurav se bola. Uski awaaj mai ghabrahat saaf jhalak rahi thi.
''Mujhe lagta hai gaurav sahi keh raha hai.. ye hamara ghar nahi hai.. lekin ye kaise ho sakta hai??'' Nikhil aas paas dekhte huye bola.
''Wahi to meri samajh mai nahi aa raha ki ye kaise hua..'' gaurav IDT ko ulat-pulat kar dekhne laga.
''Kahi ye kharab to nahi ho gayi?? ohhh god... hum log kya hamesha ke liye yahi fas jayenge??'' Sarang ki halat patli ho rahi thi. Sarang kya, sabhi ki dar se ghiggi bandh gayi thi. Neha ne ye janne ke liye ki akhir wo kaha hai khidki se bahar jhaank kar dekha.
''Suno sab... jaldi se yaha aao... bahar dekho kya hai...'' neha ne sabhi ko khidki ke paas bulaya. Uski awaaj mai dar aur betaabi dono the. Sabhi ne bahar jhaank kar dekha to unke tote ud gaye. Bahar ka najara kisi hollywood movie mai dikhayi jane wali tabaahi jaisa tha. Har taraf aag hi aag, kankaal bikhre huye the aur samne hi jaha shehar hona chahiye tha waha ek jwalamukhi tha jisme se dhua aur lawa nikal raha tha. Waha kuch bhi aisa nahi tha jo jindagi ka saboot de sake.
''Maa ki ankh.. ye kaisi jagah hai yaar.. mera to dum ghut raha hai yaha.. jaldi se chalo yaha se..'' sarang bahar ka najara dekh kar bola. Sabki hawa tight ho chuki thi bahar dekhne ke baad.
''Lekin kaise?? IDT to kharab ho gayi hai.. pata nahi sahi hogi bhi ki nahi..'' gaurav ne kaha.
''Abe wo red wala button dabakar dekh.. shayad kuch ho jaye..'' sarang ko achanak ye idea soojha.
''Yaha aane ke 5 second baad hi daba kar dekh liya tha.. kuch nahi ho sakta ab..'' gaurav ne sarang ki is ummeed par bhi pani fer diya.
''Matlab hum hamesha ke liye yaha fas gaye hai.. gaurav.. bhai kuch kar.. tu to genius hai.. theek kar ke dekh na..'' nikhil ne ruanse swar mai kaha.
Nikhil ne abhi kaha hi tha ki neha behosh ho kar gir padi. Saans lene mai wakai sabko dikkat ho rahi thi. Neha ke baad ek-ek karke sab behosh hone lage.Gaurav ko jab hosh aaya to usne khud ko ek kamre mai bistar par paya. Lekin ye kamra kafi saaf aur vyavasthit tha aur yaha hawa pehle ki tarah jehrili nahi thi halaki garmi ab bhi kafi thi.
''Ohh.. to tumhe hosh aa gaya.. chalo achhi baat hai... tumhare dosto ko bhi jaldi hi hosh aa jayega..'' peeche se ek awaaj gaurav ke kaano mai padi.
Usne palatkar dekha to lagbhag usi ki umra ka ek ladka gate par tray liye khada tha jisme pani se bhare glass the.
''Tum kaun ho?? Aur mai yaha kaise pahucha?? Mere dost kaha hai?? Kya tum hume yaha laye?? Ye jagah kaunsi hai??'' Gaurav ne ek sath kai sawal pooche.
''Are bhai shant ho jao.. tumhare dost bilkul theek hai.. apne aas paas dekho..'' us ladke ne badi hi shanti se jawab diya.
Gaurav ne aas paas dekha to uske dost sarang, nikhil aur neha wahi lete huye the farsh par aur sabhi ab tak behosh the. Unme se nikhil aur neha ko halka halka hosh aa raha tha jabki sarang poori tarah behosh tha.
''Tum kaun ho bhai?? Aur ye kaunsi jagah hai??'' Apne dosto ko salamat pakar gaurav ne us ladke se poocha.
''Hii.. mera naam nikunj hai.. mai yaha apne bhai mayank ke sath rehta hu.. aur is waqt tum mere ghar par ho jo jameen se 150 foot neeche hai..'' us ladke ne bataya.
''Lekin tumne hume dhooda kaise??''
''Iski madad se..'' kehte huye nikunj ne apni jeb se ek machine nikali jo bilkul IDT jaisi dikhti thi.''Ye to IDT hai.. ye ise kaha se mili??'' gaurav ne man hi man kaha aur apni Jeb mai use dhoodne laga jaha usne behosh hone se pehle use daala tha. Uski IDT uski jeb mai hi thi jise usne nikal liya.
''Ye ek life-tracker hai.. are tumhare paas bhi to hai..'' nikunj ne gaurav ke hath mai mojoud IDT ki or ishara karte huye kaha.
''Nahi ye koi tracker nahi hai.. ye ek bilkul alag hi cheez hai jiski vajah se hum yaha fas gaye hai.. waise ye life-tracker kya hota hai??''
''Life-tracker ek tarah ki tacking machine hai jo 100 km ke dayre mai mojoud kisi bhi jinda cheez ke heat aur motion ko pehchan leta hai aur signal dene lagta hai.. maine khud banayi hai.. mai aur mere bhai ke ilawa 100 km ke is dayre mai sirf tum charo hi jinda insaan ho..'' nikunj ne akhiri baat kehne ke baat ek lambi nirasha bhari saans li aur phir bola, ''ye lo pani piyo.. tum thak gaye honge.. thoda araam kar lo.. hum baad mai baat karenge.. jab tumhare dosto ko hosh aa jaye tab mujhe bula lena.. mai yahi paas wale kamre mai hi hu..''
Itna kehne ke baad nikunj waha se chala gaya. Gaurav usse abhi bahut kuch poochna chahta tha lekin tab tak nikunj kamre ke bahar jaa chuka tha. Usne pani piya to use wo bahut kadwa laga.
Gaurav ab bhi hairan tha ki akhir ye sab ho kya raha hai. Lekin itna wo samajh gaya tha ki ye duniya shayad kisi badi tabahi ke baad ki bachi-khuchi duniya hai jaha jinda rehna bahut mushkil hai.Dheere dheere un teeno ko bhi hosh aa gaya tha. Sarang ko sabse baad mai aaya tha shayad uski kharab sehat ki vajah se. Teeno hi achambhe se apne aas paas dekh rahe the. Kamre kafi chota tha char logo ke hisab se jiske ek kone mai neha ke dono bag rakhe huye the.
Gaurav ne sarang ke hosh mai aane ke baad nikunj ko awaaj lagayi wo turant hi un teeno ke liye pani lekar hajir ho gaya. Is baar sath mai uska bhai mayank bhi tha.
Pani ka swad kafi ajeeb tha jo unke chehro se saaf pada jaa sakta tha.
''Tum logo ko shayad nahi pata magar yaha jindagi bahut mushkil hai.. peene ke liye pani bhi bas hum dono bhai hi jante hai ki kitni mushkil se ikathha karte hai..'' nikunj ne udaasi se kaha.
''Sorry bhai.. hume nahi pata tha ki jindagi yaha itni kathin hai.. waise is jagah ko kya hua hai??'' Nikhil ne kaha.
''Matlab tumhe kuch nahi malum?? Mujhe laga hi tha..'' nikunj ne ashcharya se kaha.
''Kya laga tha tumhe...''
''Yahi ki tum log yaha ke nahi ho.. kisi aur duniya se aaye ho..''
''Ha hum log yaha ke nahi hai.. is machine ki madad se yaha aaye hai..'' gaurav ne IDT dikhate huye kaha.
''Lekin ye to bilkul ek life-tracker jaisi dikhti hai.. iski madad se tum yaha kaise aa sakte ho..'' nikunj ne hairani se IDT ko dekhte huye kaha.
''Ye koi life-tracker nahi hai.. ye ek inter-dimension traveller hai jise short mai hum IDT kehte hai.. isi ki madad se hum apne dimension se tumhare dimension mai aaye hai..'' gaurav ne samjhaya.
''Lekin tumne to kaha tha ki uski vajah se tum yaha fas gaye ho..'' nikunj ne kaha.
''Haa.. kyuki ye kharab ho gayi hai..'' gaurav ne udaas hote huye kaha.
''Shayad hum ise theek kar sakte hai..'' mayank Jo ab tak chup-chaap khada tha unki baatein sunkar bola.
''Sachhh...'' charo ek sath bole.
''Haa.. lekin ye kafi complicated machine lagti hai.. isliye thoda time lagega..'' nikunj ne kaha.
''Bhai.. tumhe jitna time chahiye lelo.. tum ise bas theek kar do.. hum tumhara ye ehsaan kabhi nahi bhulenge..'' gaurav ne uske hath mai IDT pakdate huye prarthna ki.
Nikunj ne IDT turant mayank ko pakda di jise lekar wo waha se chala gaya.
''Hum dekh lenge ab.. poore 4 saal baad kisi jinda insaan ko dekha hai.. to madad karna to banta hi hai.. waise tum logo ne apni story nahi sunayi ki tum log akhir yaha pahuche kaise aur ye machine tumhe kaha se mili..'' nikunj ne kaha.
''Theek hai.. lekin tumhe bhi apni kahani batani hogi..'' gaurav ne kaha.
to be continued...
______________________________
आप पढ़ रहे हैं
THE TIME MACHINE(IN HINDI)
Mystery / ThrillerSTORY BY WRITER NIKAS NIKAS:-Kya Time-Travel sambhav hai?? Kya koi samay mai peeche jakar apna past badal sakta hai. Ye kahani aise hi ek insaan ki kahani hai jisne ek hadse mai apna pyar kho diya aur phir use wapas pane ke liye time-machine tak ba...