33. Loss Is Unbearable
Mayank apna samaan pack kar hi raha tha ki achanak goli chalne ki awaaj use sunayi di aur uske sath hi turant neha ki cheekh bhi sunayi di. Awaaje sunkar wo ekdum se chaunk gaya aur usi disha mai bhaga jaha se awaaj aayi thi. Ek anjaane dar ne use gher liya tha isliye wo turant hi hall mai pahunch gaya. Hall mai pahuchkar usne dekha ki manish ne uske bhai nikunj, neha aur sarang par gun taan rakhi hai. Thodi door nikhil behosh pada hai aur manish ke pairo ke paas gaurav ki laash padi hai. Uske seene se khoon nikal raha hai Jo is baat ka gawah tha ki jis goli ki awaaj usne abhi abhi suni thi wo gaurav par chalayi gayi thi. Point black range se goli chali thi isliye dil ko cheerte huye wo sharir ke aar-paar ho gayi thi. Mayank ko uski halat dekhkar bahut tej gussa aaya. Use malum tha ki gaurav hi unki akhiri ummeed tha is nark se nikalne ki aur ab uski maut ke baad wo ummeed bhi khatam ho gayi thi.
''Kutttttteeee....'' cheekhte huye wo manish par jhapta lekin is baar manish ne use aate huye dekh liya aur turant us par fire kar diya. Goli mayank ke pet me ja dhasi aur wo wahi gir pada.
Apne bhai par goli chalte hi nikunj ne apna aapa kho diya. Bandook ka muh mayank ki disha mai hone ke karan usne aage badh kar turant ek mukka uske chehre par maara. Mukka kafi jabardast tha isliye manish wahi gir gaya. Gun uske hath se chhootkar door jaa giri. Nikunj aur sarang uski taraf gusse se badh hi rahe the ki unhone dekha manish ke hath mai dusri gun jo thodi der pehle wali jhadap mai gir gayi thi uske hath mai aa gayi hai. Usne gun uthayi aur bina der kiye turant ek aur fire kar diya. Goli seedhe nikunj ke daaye hath mai jaa lagi. Wo dard se cheekh utha aur wahi khada ho gaya lekin sarang ne bina der kiye teji se apni direction badli aur aur ghoomta hua teji se room ke gate ki taraf bhaaga. Manish ne us par kayi fire kiye lekin khushkismati se is baar uska ek bhi nishana sarang ko choo bhi nahi paya aur wo turant hi hall se bahar nikal gaya.
''Ye to bada kayar nikla.. khud mera samna karne ki jagah apne dosto ko yaha marne ke liye chhod diya.. kitne sharam ki baat hai.. khair koi baat nahi usse to baad mai bhi nipat lunga.. bachkar akhir jayega kaha.. pehle tum se to nipat loo..'' sarang ke waha se bhagte hi manish nikunj aur neha ki taraf mukhatib hote huye bola.
Nikunj wahi paas mai hi baitha dard se karah raha tha aur neha usse thodi door khadi bas roye jaa rahi thi. Manish seedha usi ke paas aaya aur use jabardasti smooch karte huye bola, ''roti hui tum bilkul bhi achhi nahi lagti jaan.. isliye rona band karo.. mai tumhe nahi marunga..''
''Door hato mujhse.. tum jaise darinde ke sath rehna se to achha hai mai khud apni jaan le lu.. waise bhi ab jindagi mai bacha hi kya hai.. sab kuch to ujaad diya tumne..'' neha ne manish ko dhakka dete huye kaha. Wo ab bhi lagatar roye jaa rahi thi. Uske pehle aur akhiri pyar gaurav ki abhi usi ki samne hatya kar di gayi thi.
''Mai hoo na janeman..'' kehte huye manish phir uski taraf badhne laga lekin isse pehle ki Manish uske kareeb aaye neha ne phir use dhakka de diya.
''Maine kaha na door raho mujhse warna....... warna mai khud ko khatam kar lungi...'' Manish ko dhakel kar neha rote huye boli.
''Usne kaha na door rahne ko... kutte... kamine... suwar... tu agar mere hath aa gaya to maa kasam agar tera sir na kaat diya to harami...'' nikunj gusse se cheekhte huye bola.
''Chal use nahi to tujhe dekhte hai.. tum logo ki wajah se mere dono sabse achhe dosto ne suicide kar liya.. aur jab apne upar maut aayi to gaaliya nikal rahi hai..'' nikunj ki baat sunkar uski taraf mudte huye manish bola.
''Hamari wajah se??????''
''Ha tumhari wajah se.. agar tum logo ne hume us machine ke baare mai pehle hi bata diya hota to wo dono kabhi suicide nahi karte.. unhe jeene ki wajah mil jati lekin tumne nahI bataya aur tumhare karan unhone suicide kar liya.. chalo ab batao wo machine kaha hai..''
''Wo machine kharab ho chuki hai.. tu hum sab ko maar bhi de to bhi yaha se nikal nahi payega kyuki wo machine ab theek nahi ho sakti..'' nikunj ne gusse se ankhe dikhate huye kaha.Idhar hall se bahar aate hi sarang seedhe apne aur gaurav ke room mai gaya. Wo bina kuch soche samjhe hall se bhaag to aaya lekin ab use nahi pata tha ki usko kya karna hai. Usne wahi farsh par baithkar abhi 5 min pehle huye ghatna-kram ke baare mai sochna shuru kiya aur rone laga. Uska bhai jaisa aur jaan se bhi pyara dost gaurav usi ki ankho ke samne maara gaya tha. Gaurav ki maut uske liye ek bade sadme jaisi thi lekin filhaal ye waqt rone ka nahi tha. Agar usne jaldi kuch nahi kiya to uske baaki sathiyo ki maut bhi tay thi.
Kuch der sochne ke baad wo utha aur almari se protection suit nikalne laga. Usne socha ki shayad surface par kuch aisa mil jaye Jo uske kaam aa sake. Lekin protection suit ko dekhte hi use apne invi-suit ka dhyan aaya.
''Are mera invi-suit kaha gaya?? Yahi to rakha tha??'' Sarang khud se badbadate huye bola.Idhar hall mai manish nikunj se IDT ke baare mai jankari nikalwane ki koshish kar raha tha. Akhirkar jab nikunj ne muh na khola to uska paara chad gaya. Neha ko kheech kar nikunj ke samne late huye usne neha ki kanpatti par gun rakhte huye kaha, ''Mere teen ginne tak agar tune wo machine mujhe nahi di to ise bhi iske yaar ke paas pahucha dunga... ek....do....''
''Ruk jao... mai batata hu.. par ise shoot mat karna.. ye lo wo machine...'' nikunj jeb se IDT nikalkar manish ke hath nai dete huye bola.
''Mujhe laga thodi badi hogi ye machine.. chalo koi baat nahi.. ab mujhe teri koi jarurat nahi hai.. so good-bye...'' IDT hath mai aate hi gun ka nishana nikunj ki taraf karte huye manish bola.
Isse pehle ki wo shoot kar paata pet mai pade ek taakatwar ghoose se wo dard se bilbila utha. Ghoosa itna jabardast tha ki uske muh se khoon ki dhara beh nikli. Gun uske hath se choot gayi lekin jameen par girne se pehle hi invi-suit pehne sarang ne use hawa mai hi thaam liya.
Manish pet pakadkar baitha hua hi tha ki tabhi sarang ne tada-tad teen goliya uske seene ke aar-paar kar di. Use sambhalne ka mauka bhi nahi diya sarang ne aur uska seena chhalni kar diya. Wo wahi dher ho gaya.
Gaurav ne theek hi soch tha ki is suit ki jaroorat kabhi bhi pad sakti hai aur isi suit ne dusri baar sabko bachaya lekin usne ye kabhi nahi socha hoga ki ye uski maut ke baad kaam aayega.
Manish ke marte hi sarang ne apna suit utaar diya aur turant gaurav ki body ke paas gaya. Gaurav ka sir apne pair par rakh kar wo bilakh kar rone laga. Neha bhi uske paas aakar baith gayi aur wo bhi phoot phoot kar rone lagi.
Nikunj bhi apne bhai ke paas pahucha aur uski dhadkan check ki. Wo abhi jinda tha lekin kisi bhi pal mar sakta tha. Ye uski antim saanse thi.
''Bhaiya... plz aap mat roiye..'' mayank ne ukhadti saanso ke sath kaha.
''Chhotttteee...'' rote huye nikunj bas itna hi keh paaya.
''Bhaiya... shayad mera time aa gaya hai.. apna khayal rakhna.. aur ho sake to is nark se nikal jana..'' mayank ne dheemi hoti awaaj ke sath kaha.
''Marunga agar aisa phir bola to.. tujhe kuch nahi hoga..'' rote huye thoda gussa dikhate huye nikunj bola.
''Koi baat nahi bhaiya.. aap roiye mat.. aur plz meri maut ka jimmedar aap khud ko ya kisi or ko mat manna..'' mayank bas itna hi keh paya aur usne apni ankhe hamesha ke liye band kar li.
''Mayyyannnkkk...'' Bhai ki saanse rukte hi nikunj cheekha aur dahade maar kar rone laga.
Ab tak nikhil ko bhi hosh aa gaya tha. Hosh mai aate hi usne kamre mai teen lashe padi dekhi. Mayank, Manish aur Gaurav ki laashe dekhkar use phir se behoshi aane lagi. Use samajh nahi aaya ki uske behosh hone ke baad aisa kya hua ki teen-teen lashe bich gayi.
to be continued...
आप पढ़ रहे हैं
THE TIME MACHINE(IN HINDI)
Mystery / ThrillerSTORY BY WRITER NIKAS NIKAS:-Kya Time-Travel sambhav hai?? Kya koi samay mai peeche jakar apna past badal sakta hai. Ye kahani aise hi ek insaan ki kahani hai jisne ek hadse mai apna pyar kho diya aur phir use wapas pane ke liye time-machine tak ba...