Past Of Zetron Episode- 35

322 7 3
                                    

Past Of Zetron
Episode- 35
''Yani mai bilkul sahi soch raha tha..'' gaurav ne kaha aur phir kuch sochkar usne zetron se kaha, ''zetron.... kya mai ek baat pooch sakta hu????''
''Haa poocho... bas abhi jo hua us baare mai mat poochna.. uska jawaab tumhe dheere dheere mil jayega.. lekin abhi sahi samay nahi hai..'' zetron ne gaurav ki baat sunkar kaha.
''Ye aaj jo hua us baare mai nahi hai.. mai tumse hamari pehli mulakat par pooche gaye sawal ka jawab janna chahta hu..''
''Konsa sawal???''
''Tumhe yaad hai jab tumne kaha tha ki koi vajah hai jis karan tum hamari duniya mai dakhal nahi de sakte aur maine tumse jab wo vajah poochi to tumne kaha tha ki waqt aane par bataoge.. mai aaj wahi vajah janna chahta hu..'' gaurav ne purani yaadein kuredkar poocha. Is baare mai sarang bilkul bhool chuka tha lekin gaurav ko bakhoobi yaad tha. Gaurav ka sawal sunkar zetron ke chehre par har waqt mojoud rehne wali halki si muskurahat aur badi ho gayi.
''Tum sach mai janna chahte ho..'' zetron ne poocha.
''Haa zetron... please batao na kya wajah hai ki tum is duniya ke bhagwan hokar bhi yaha par dakhal nahi de sakte..'' gaurav ne vinti si karte huye poocha.
''To suno.. iske peeche mere dwara ki gayi 3 galtiya hai.. jo is duniya ke liye shayad sahi nahi thi aur shayad sahi thi bhi...''
''Matlabbbb... mai kuch samjha nahi... kaun si 3 galtiya??'' Gaurav ne sir khujate huye poocha.
''Beech mai mat toko.. bata to raha hu.. darasal tumhare solar system se earth nahi balki mars ko chuna gaya tha life-support ke liye.. lekin mars par life kafi kathin thi.. waha ka atmosphere, weather system, ecosystem sab kafi unstable the.. aur tumhare star yani sun se doori thodi jyada hona iski vajah tha.. life waha kuch saalo tak hi bachi reh sakti thi.. aur waha life ke khatam hote hi mai bhi khatam ho jata aur mai jaldi marna nahi chahta tha.. jabki earth se sun ki doori bilkul perfect thi.. lekin earth par life bina kisi satellite ke mumkin nahi thi.. isliye mars ke teen mai se ek satellite ko maine waha se hatakar earth se jod diya.. jise tum aaj 'moon' kehte ho.. yeh meri pehli galti thi..'' zetron ne jaise hi raaj se parda hatana shuru kiya sab ki bolti band ho gayi. Unhone socha hi nahi tha ki sach itna avishvasniya hoga. Unhe scientific discoveries se ye to malum tha ki earth par jeewan moon ki vajah se hi hai lekin ye possible aise hua tha ye unhone kabhi socha hi nahi tha.
''A..a...aage k..ky...kya hua??'' Gaurav ne haklate huye poocha. Zetron ki baat par shaq karne ka to koi matlab hi nahi tha.
''Satellite shifting koi hasi-majaak nahi hai.. bahut energy lagti hai isme.. lagbhag utni hi jitni tumhara sun saal bhar mai paida karta hai.. ye baat hamari 'consulate' ko pata chali to wo bahut naraz huye mujh par.. kyuki ye niyamo ke khilaf tha.. aur mujhe chetawani di gayi ki aage aisa dobara na ho.. lekin mere naye naye jawani ke josh ne ise ansuna kar diya.. aur mera 'earth par life banane' ka maksad nahi badla.. lekin niyamo ke anusar ek hi solar system ke do planets par jeewan nahi ho sakta tha.. earth par life create karne ke liye mars par life ka ant jaruri tha.. lekin 'consulate' ko pata na chale isliye maine is baar thoda hoshiyari se kaam liya.. mars aur jupiter ke beech mojoud asteroid belt se ek lagbhag 6 km ke asteroid ko mars ki taraf mod diya.. lagbhag poore planet se life khatam ho gayi.. kuch hi log bach paaye.. jo jaruri bhi the warna mai bhi khatam ho jata.. yehi wo dusri galti thi jo maine ki.. maine waha se life ko yaha earth par shift kiya.. aur is baar 'consulate' ko kuch pata nahi chala.. lekin unhe shaq jarur ho gaya tha..'' zetron ne apni kahani aage badhayi.
Ye wala sach to aur bhayanak tha kyuki zetron ne yaha life basane ke liye mars ki poori life ko khatam kar diya tha. Ye roop zetron ka wakayi darawana tha.
''Tum log soch rahe hoge ki mai kitna selfish hu.. lekin mujhe tab sahi galat se koi matlab nahi tha.. earth par life shift karte hi mars se jeewan ka poori tarah ant ho gaya..'' zetron ne apni baat aage badhayi.
''Lekin tum mars ko bhi to shift kar sakte the.. ek poore planet ko barbad karne ki kya jarurat thi..'' gaurav ne thoda gusse se poocha. Gaurav ke alawa koi aur bol hi nahi raha tha. Waha to sabhi ankhe faade bas zetron ki baatein hi sun rahe the.
''Iski 2 vajah hai.. ek to mars ko shift nahi kiya jaa sakta tha kyuki uski jagah earth pehle hi mojoud thi.. aur dusri ye ki planet shifting aur satellite shifting mai bahut antar hai.. hamari 'consulate' ke alawa aur koi ye kaam nahi kar sakta.. satellite shifting bhi maine akele nahi ki thi.. kisi ne madad ki thi meri..'' zetron ne vajah ginayi.
''Kisne??''
''Wo mera koi apna tha.. khair tum aage suno.. earth par life shift to ho gayi thi lekin yaha development nahi ho raha tha.. yaha koi intelligent species nahi thi.. earth ko ek intelligent specie ki jarurat thi lekin yaha ke khatarnak jeewo ke sath ye mumkin nahi tha.. isliye maine phir wahi tarqeeb lagayi.. aur asteroid belt se ek aur asteroid ki disha badli aur use earth se takra diya.. sath hi insan ke liye beej bhi bo diye.. yahi meri teesri galti thi.. aur is baar 'consulate' ko pata chal gaya.. unhone mars wale mass-extinction ko bhi isse jod diya.. aur iski bhaari keemat mujhe chukani padi..'' zetron ne lambi aah bharte huye kaha.
''Kaisi keemat???''
''Wo tumhara janna jaruri nahi.. tum bas ye jaan lo ki yahi wo vajah hai jinke karan mujhe yaha dakhal dene se mana kar diya gaya hai..'' zetron ne taka sab jawab diya.
''Lekin tum ab to dakhal de rahe ho..'' is baar nikhil ne himmat karke poocha.
''Mujhe 'consulate' is baar khud ijajat di hai.. tumhara planet technology ke mamle mai ek level 'B' planet hai lekin gaurav ki time machine ek level 'U' technology thi aur rules ke hisab se ye galat tha isliye mujhe dakhal dene ki ijajat unhone de di.. 'A' se lekar 'Z' tak grade ke hisab se planet ki technology decide ki jati hai.. 'Z' matlab supreme technology.. xemus ek grade 'V' planet hai.. hamare banaye huye kayi planet to humse bhi jyada advanced hai.. ab agar tumhare sawal-jawab khatam ho gaye ho to kya ab IDT ka istemal karke yaha se chalne ka kasht karoge.. nikunj tumhe bhi chalna hai.. lekin pehle sab surface pehle chalo warna waha us dimension mai zameen ke andar hi nikloge aur turant mar bhi jaoge..'' zetron ne kaha.
Nikunj ne bina kuch kahe haa mai sir hila diya. Waise bhi yaha rukne ka koi fayda nahi tha. Sab kuch to khatam ho hi chuka tha yaha uska.
''Lekin itne protection-suits nahi hai yaha..'' nikunj ne dheere se kaha.
''Koi baat nahi.. suit ki jarurat bhi nahi hai.. kuch nahi hoga kisi ko.. mai sab dekh lunga..'' zetron ne kaha.
Sabhi bina suit pehne hi surface par aa gaye aur zetron ke kahe anusar kisi ko bhi kuch mehsoos nahi hua. Sabko taiyar dekhkar gaurav ne green button daba diya. Button dabate hi pehle ki tarah portal khul gaya aur sab usme sama gaye.
to be continued...

(फेसबुक पेज like करना ना भूले)

THE TIME MACHINE(IN HINDI)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें