Episode 9
Wo instrument dekhne mai bada ajeeb sa tha. Zetron ne use apni jeb se nikalkar apne lambe se hath par rakha aur bola, ''Ye ek 'Inter-Dimension Traveller' hai.. Iski madad se tum apna pyar pa sakte ho.. wo bhi bina samay mai koi gadbad kiye..''
''Kaise???'' gaurav ne sanshay ke sath poocha.
''Insaan sochta hai ki is universe ke sirf 4 dimension hai.. length, breadth, depth aur time.. lekin ye galat hai.. is universe mai anginat dimensions mojoud hai.. sabki apni alag duniya hai.. sabka apna ek gaurav hai aur ek kawya.. kisi mai tum policewale ho to kisi mai murderer, kisi mai actor ho to kisi mai bhikhari.. kisi mai kawya mar chuki hai to kisi mai tum..'' zetron ne dimensions ka poora gadit use samjha diya.
''Lekin ye meri madad kaise karega?? aur ye kaam kaise karta hai?? aur sabse badi baat, ye aap mujhe kyu de rahe ho??'' gaurav ne use 'aap' kaha kyuki ye to use malum pad hi chuka tha ki ye duniya isi samne khade jeev ki den hai.
''Tumhare pehle sawal ka jawab hai ki tum imme se kisi ek dimension mai jakar kawya ka dil jeet sakte ho aur use yaha, is dimension mai la sakte ho.. tumhare dusre sawal ka jawab hai ki tumhe is tool, jise tum short mai IDT bhi keh sakte ho, ka samne wala hissa hawa mai rakhkar ye green button dabana hai jisse waha ek portal khul jayega jo dusre dimension mai jane ka rasta hoga.. wapas aane ke liye ye red button daba dena.. apne aap is dimension mai wapas aa jaoge..lekin yaad rahe agar tum us dimension mai 60 din se jyada rahe to wapas is dimension mai nahi aa sakoge..'' zetron ne phir se ek saans mai hi sari baat keh di jisse gaurav aur sarang ko yakeen ho gaya ki yahi balwinder tha.
Thoda ruk kar zetron time-machine ki aur ishara karte huye phir bola, ''aur tumhare teesre sawal ka jawab hai tumhari ye machine.. muje is IDT ke badle mai ye machine chahiye.. taki koi bhi samay ke sath na khel sake..''
''Magar aapne to kaha ki waha anginat dimensions hai to hume kaise pata chalega ki sabse sahi dimension konsa hai..'' gaurav ko ab bhi IDT par shak tha.
''Uski chinta mat karo.. maine is IDT par pehle hi tumhare liye sabse best dimension ko set kar diya hai.. wo takreeban is dimension jaisa hi hai bas thoda hi antar hai..'' zetron ne unhe samjhaya.
''Lekin aap hamari itni madad kyu kar rahe hai.. aap chahte to ye machine yuhi bhi le ja sakte the bina hume dikhai diye.. aur mai papa se kya kahunga ki machine kaha gayi..'' sarang bhi ab dar nahi raha tha aur araam se baat kar raha tha.
''Jaisa ki maine bataya mai tumhari duniya mai jyada dakhal nahi de sakta.. isliye agar gaurav time-travel pe ada raha to mai ise rok nahi paunga kyuki iska irada majboot hai, mera mind control bhi bekar hi sabit hoga.. aur tum apne papa ki chinta mat karo.. mai unka mind control karke yeh ehsaas kara dunga ki ye machine kabhi bani hi nahi.. is machine ko wo bilkul bhool jayenge..'' zetron ne poori tarah shant par thandi aur sansanati awaaj mai kaha.
''Lekin phir gaurav ko hamesha ke liye 'TekRek' ka free ka naukar banke rehna hoga..'' sarang ko ab bhi gaurav ki hi chinta thi.
''Uski bhi chinta mat karo.. inki deal ka wo point bhi mai unhe bhula dunga..'' zetron ne kaha aur phir thoda ruk kar bola, ''abbb.... kya mai ye machine le ja sakta hu.. kyuki bina tumhari ijajat ke mai ise choo bhi nahi sakta..''
''Ek sawal aur... kya vajah hai ki tum hamari duniya mai jyada dakhal nahi de sakte??'' Gaurav ne apne man ki jigyasa ko shant karne ke liye poocha.
''Waqt aane par tumhe jaroor bataunga..par abhi nahi.. lekin hum dobara jaroor milenge..'' zetron ne muskurate huye kaha.
Uski muskurahat janlewa thi, khubsurati ki vajah se nahi balki had se jyada darawani hone ki vajah se.
''Theek hai... tum ise le ja sakte ho..'' gaurav ne hatasha ke sath kaha kyuki uski sari mehnat akhirkaar bekar hi sabit huyi lekin wo khush tha ki kam se kam kawya to use mil hi jayegi.
Zetron ne jaise hi ye suna muskurata huya waha se gayab ho gaya, sath hi machine bhi gayab ho gayi.
Thodi Der dono apni jagah par ekdum sthir aur shant hi khade rahe aur phir sarang ne chuppi todi, ''ha to kab chalna hai?? is IDT ko kab istemal karna hai??''
''Abhi kuch din to nahi.. last semester ke exam paas hai.. waise bhi itne dino se time-machine ke chakkar mai kuch bhi padhai nahi huyi hai.. aur ab kai dino ke liye yaha se jane ka risk nahi le sakta..'' gaurav ne kaha. Kaha kya, lagbhag faisla sa hi suna diya.
''Theek hai.. muje bhi to taiyari karni hai..'' sarang ne kaha aur phir bola, ''tu ruk mai abhi aaya, toilet karke.. phir sath hi chalenge hostel..''
''Theek hai jaa.. but hum abhi hostel nahi ja rahe.. hum Dr. Gupta ke paas jayenge unki lab mai.. unse kuch baat karni hai.. waise bhi wo 2-3 din baad colorado wapas jaa rahe hai.
''Jaisi teri marzi..'' kehkar sarang waha se chala gaya aur jab kuch minute baad aaya to dono waha se Dr. Gupta ki lab ki taraf chal diye.to be continue...
आप पढ़ रहे हैं
THE TIME MACHINE(IN HINDI)
Mystery / ThrillerSTORY BY WRITER NIKAS NIKAS:-Kya Time-Travel sambhav hai?? Kya koi samay mai peeche jakar apna past badal sakta hai. Ye kahani aise hi ek insaan ki kahani hai jisne ek hadse mai apna pyar kho diya aur phir use wapas pane ke liye time-machine tak ba...