16.the Second Dimension
Episode- 16
Aaj gaurav aur sarang ka akhiri paper tha aur baki papers ki tarah ye bhi kafi achha hua tha. Halaki mentally dono hi bahut upset the lekin phir bhi iska asar unhone apne exams par nahi hone diya.
Lekin result waisa nahi aaya jaisa unhone socha tha. Is baar gaurav ki jagah sarang ne college top kiya tha. Kisi ko yakeen hi nahi ho raha tha ki aisa bhi ho sakta hai. Halaki sarang bhi kafi intelligent tha magar gaurav se jyada marks lana to ek chamatkar hi tha. Sabne yahi socha ki kawya ki maut ke karan gaurav exams mai concentrate nahi kar paya isliye is baar sarang baaji maar le gaya. Khud gaurav ne bhi yahi socha aur waise bhi use to bas is samay paas hone se hi matlab tha kyuki uska poora dhyan to ab IDT ka istemal karke kawya ko wapas pana hi tha.
Lekin kuch ajeeb ho raha tha. Sarang achanak hi kafi badal sa gaya tha. Hamesha kata kata sa rehta tha, bahut hi kam baat karta tha aur kafi jaldi gussa ho jata tha. Is baat ko gaurav exams shuru hone ke samay se hi mehsoos kar raha tha lekin usne jyada dhyan nahi diya tha. Use laga ki neha ke dhokhe ki vajah se ye sab ho raha hai.
Lekin us din to had ho gayi jab gaurav ne usse apni IDT machine wapas mangi aur sarang ne mana kar diya. Gaurav ko kafi ashcharya hua aur dhakka bhi laga ki ye achanak uske sabse khaas dost ko kya ho gaya hai. Pichhle do mahine ke andar wo apne do dosto ke dhokhe dekh chuka tha aur ab agar sarang ne bhi use dhokha de diya to wo bardasht nahi kar payega.
''Bhai.. meri IDT tu mujhe wapas kyu nahi de raha??'' Gaurav ne sarang se poocha.
''Bas aise hi...'' sarang ne rookha sa jawab diya.
''Magar koi to vajah hogi.. kahi tu bhi to....'' gaurav ne kehte kehte jaan boojh kar baat adhoori chod di.
''Tu bhi kya??'' Sarang ne gusse se kaha aur phir drawer se IDT nikalkar gaurav ke hath mai thama di aur bola, ''ye le apni machine lekin mai tere sath nahi jaunga..''
Gaurav to bas hairani se apne dost ko dekhe jaa raha tha. Use yakeen hi nahi ho raha tha ki ye uska wahi dost sarang hai jisne uska ab tak har kadam par sath diya hai. Use ab bhi yahi lag raha tha ki ye sab neha ke dhokhe ki vajah se ho raha hai.
''Bhai bhool ja usko.. agar tu mere sath nahi chalega to mai waha akela kya aur kaise karunga..'' gaurav ruansa hokar bola.
''Baat wo nahi hai.. mai bas chalna nahi chahta..'' sarang gaurav ko rote dekh apne swabhav mai thodi narmi late huye bola.
''Theek hai.. agar tera man nahi hai to mai zid nahi karunga.. lekin tu agar sath chalta to achha rehta..'' gaurav ne akhir hatash hokar kaha.
''Huuu....'' sarang ne jawab mai bas itna hi kaha.
Kuch der baad gaurav ne IDT ko samne rakhkar hara button daba diya aur waha uske samne ek portal khul gaya. Wo usme jane hi wala tha ki achanak peeche se sarang ki awaaj aayi, ''ruk ek minute.. mai bhi aata hu..''
Gaurav ki khushi ka thikana na tha. Yahi to wo chahta tha. Akele jane ka uska bilkul bhi man nahi tha.
''Chal phir..'' gaurav ne itna hi kaha aur phir dono ek sath us portal mai ghus gaye. Portal mai ghuste hi unke charo taraf sabkuch teji se ghoomne laga. Gaurav ne to dar ke maare ankhe hi band karli.Jab usne ankhe kholi to dekha wo apne hostel room mai hi tha bas antar itna tha ki room kafi ganda tha aur aisa lag raha tha ki waha hafto se koi nahi aaya hai.
''Hum pahunch gaye kya??'' Gaurav ne sarang se poocha.
''Lagta to hai..'' sarang ne khidki se bahar jhankte huye kaha. Bahar subah ho rahi thi jabki jab wo chale the to shaam ho rahi thi.
Gaurav ne ghadi ki aur dekha to usme 9:43 ho rahe the.
''Ye ghadi boli kyu nahi??'' Gaurav ne poocha aur phir haste huye khud hi jawab bhi de diya, ''Lagta hai is dimension mai ghadiya ab bhi sirf time dikhati hai.. batati nahi..''
''Hmmm... aisa hi lagta hai..'' sarang ne kaha.to be continued.
आप पढ़ रहे हैं
THE TIME MACHINE(IN HINDI)
Mystery / ThrillerSTORY BY WRITER NIKAS NIKAS:-Kya Time-Travel sambhav hai?? Kya koi samay mai peeche jakar apna past badal sakta hai. Ye kahani aise hi ek insaan ki kahani hai jisne ek hadse mai apna pyar kho diya aur phir use wapas pane ke liye time-machine tak ba...