17. Sarang Misinterpretated
[Episode- 17]
''Chal bahar chalte hai.. dekhe to sahi yaha sabkuch kaisa hai..'' gaurav ne kaha.
''Chal...'' sarang ne jawab diya aur dono hostel room se bahar aa gaye. Bahar hostel mai sabhi wahi the Jo unki duniya mai unke hostel mai the lekin sab unhe bewajah ghoor rahe the. Aisa lag raha tha mano wo bhoot dekh rahe ho. Isse un dono ko kafi ajeeb lag raha tha isliye wo jhatpat hostel se bahar aa gaye.
Wo dono college ki taraf chal diye kyuki is samay kawya college ke ilawa kahi aur nahi ho sakti thi. Wo gate tak pahuche hi the ki peeche se ek jani-pehchani awaaj aayi, ''oye... gaurav...''
Ye awaaj nikhil ki thi. Use dekhte hi gaurav ki tyoriya chad gayi lekin phir use dhyan aaya ki ye wo nikhil nahi hai jisne use dhokha diya hai.
Nikhil unke paas aaya aur bola, ''abe kaha mar gaya tha itne dino se..''
Uska dhyan ab tak sarang par nahi gaya tha kyuki usne abhi bhi nikhil ki taraf peeth kar rakhi thi aur gaurav iski vajah bhi samaj chuka tha.
''Ha wo... tabiyat thod..'' gaurav kuch kehna chah hi raha tha ki nikhil beech mai bol pada, ''are sir ji... aap yaha?? Wo bhi iske sath??''
Nikhil ne ye baat sarang ko dekhkar kahi thi.
''Kaun sir ji?? Mera naam sarang hai.. aur ye mera best friend hai.. iske sath nahi hunga to kya tere sath hunga..'' sarang ne turant uski taraf mudte huye gusse se kaha.
Ab nikhil bhi un dono ko waise hi dekh raha tha jaise thodi der pehle hostel ke sabhi ladke dekh rahe the.
''Chal nikal le patli gali se.. warna faltu hi pit pita jayega..'' sarang use ghoor kar dekhte huye bola.
Itna sunte hi nikhil turant waha se khisak liya. College mai bhi sab unhi dono ko hi ghoor rahe the aur Jo bhi milta chahe student ho ya teacher sab sarang ko 'sir ji' kehkar hi bula rahe the.
''Lagta hai is dimension mai tera naam 'sir ji' hai aur shayad kafi raub hai tera yaha pe..'' gaurav sarang se bola.
Sarang ne kuch nahi kaha. Wo khud kafi pareshan lag raha tha aur apne liye 'sir ji' sunte sunte pak sa gaya tha.
''Tu ruk.. mai abhi bathroom hokar aata hu.. dimag ki dahi ho gayi ye 'sir ji' sunte sunte..'' thodi der baad sarang bola aur phir bathroom ki taraf chal diya.
Sarang ke jate hi peeche se nikhil ki awaaj aayi, ''Abe gaurav.. ye tu is kamine ke chakkar mai kaise pad gaya..''
Gaurav ne peeche mudkar dekha to nikhil kafi chintit sa khada tha.
''Tujhe pata nahi kya.. ye is college ka sabse bada gunda hai phir bhi tu iske sath...'' nikhil ne baat aage poori ki.
Ab gaurav ko samajh aaya ki kyu sab unhe ghoor rahe the aur sarang ko 'sir ji' keh rahe the.
''Abe tu phir aa gaya, lagta hai maar khake hi manega..'' achanak aayi sarang ki awaaj ne nikhil ko chonka diya.
''N..nnn...nahi sir ji b..b.. bas jaa hi raha tha..'' nikhil sarang ko dekhte hi haklate huye bola aur waha se nau do gyarah ho gaya.
''Is sale ko dekhte hi mera paara chad jata hai.. ye jante huye bhi ye wo nikhil nahi hai.. magar hai to nikhil hi..'' nikhil ke jate hi sarang gaurav se bola.
''Abe tu tension mat le.. Mujhe to lag raha hai ki is dimension ka nikhil hamare wale se to achha hi hai..'' gaurav ne sarang ko samjhate huye kaha.
''Waise kuch bataya kya isne yaha ke sarang ke bare mai..'' sarang ne poocha.
''Ha.. keh raha tha ki wo yaha ka sabse bada gunda hai.. sare teachers bhi usse darte hai..'' gaurav ne sarang ko wahi bataya Jo nikhil ne use bataya tha.
''Tabhi sab mujhe 'sir ji' keh rahe hai.. hmmm..'' sarang bola.
''Chal chhod use.. aaja kawya ko dhoodte hai..'' gaurav ne kaha. Uska dhyan ab phir se kawya ko dhoodne par lag gaya tha.Chalte chalte dono college garden mai pahunch gaye. Waha kafi students the aur sabhi group banakar baithe the aur gupshup kar rahe the. Un dono ke waha pahunchte hi sab ekdum khamosh ho gaye aur unhe hi dekhne lage. Lekin is baar unhe ajeeb nahi laga kyuki is baar wo unke ghoorne ki wajah jante the.
Dono wahi ek khali bench par baith gaye.
''Wo rahi Kawyaaaa.....'' achanak gaurav bola.
to be continued...
आप पढ़ रहे हैं
THE TIME MACHINE(IN HINDI)
Mystery / ThrillerSTORY BY WRITER NIKAS NIKAS:-Kya Time-Travel sambhav hai?? Kya koi samay mai peeche jakar apna past badal sakta hai. Ye kahani aise hi ek insaan ki kahani hai jisne ek hadse mai apna pyar kho diya aur phir use wapas pane ke liye time-machine tak ba...