47. Knowing The Enemies
Episode- 47
''Ek baat hamesha dhyan rahe.. in shaktiyo ka upyog kisi bhi xemus-wasi par kabhi mat karna... warna tumhara anjaam wahi hoga jo tumhare dushmano ka in shaktiyo se hoga...'' consulates ke teeno siro ki awaaj waha goonji.
Jiiiiii.....'' sabhi ne ek sath kaha.
''Ab jao zetron ke sath... aage ki sari karyawahi wahi karega..'' consulate ne unhe ek taraf jane ka aadesh diya jaha zetron pehle se hi mojoud tha.
Consulate ke aadesh anusar wo sabhi zetron ki taraf chal diye. Consulate-room se nikalkar sabhi ne chain ki saans li kyuki waha to sabki phati padi thi.
Zetron unhe waha se ek alag room mai le gaya jo dekhne mai kisi office ke security room jaisa tha bas kafi bada tha. Waha buttons to kafi the lekin koi screen nahi thi. Un buttons wale control-boards ke ilawa us room mai kuch nahi tha.
Ek control-board ke aage zetron jaise hi jameen par baithne laga uske neeche jameen se hari lazers nikalne lagi jinhone ek chair ka roop le liya aur zetron us chair par baith gaya. Wo solid lazers thi aur technology ka bahut hi advanced system thi. Sabhi abhi unke samne huye chamatkar ko ghoor kar dekh rahe the.
''Baitho tum log bhi...'' zetron ne kaha to unka dhyan toota.
Wo log bhi dheere-dheere baithne lage aur wahi hua jo abhi thodi der pehle hua tha. Green solid lazers ki chairs unke neeche ban chuki thi jis par sab baith gaye.
Sabke baithne ke baad zetron ne apne aage mojoud control-board ka ek button dabaya to us board ke upar hi areal touch-screen ban gayi. Zetron ne us screen ko dekhte huye board par kuch buttons dabaye to us screen par ek planet bana aa gaya. Wo planet dekhne mai thoda brownish tha aur kafi azeeb dikh raha tha. Zetron ne phir ek button dabaya to screen teji se us planet par zoom hoti chali gayi.
''Ye hai planet 'Fdara'... tumhare dushman planets mai se ek...'' zetron ne kaha aur ek button dabaya. Button dabte hi screen par zooming ruk gayi aur kamre mai roshni badhne lagi. Un logo ne jab aas-paas nazar ghumayi to dekha wo ab us room mai nahi the balki kisi maidan mai the.
''Ab hum 'Fdara' par hai.. yani waha ke stimulation mai.. 'Fdara' ke log jinhe 'Fdaraks' bhi kehte hai technology ke mamle mai 'J' grade hai..'' zetron ne chair se uthte huye kaha.
Phir zetron ne ek or apna hath se hawa mai kuch aakar banaya to waha ek ajeeb sa alien aa gaya.
''Ye hai ek 'Fdarak'.. lambayi kareeb 4-5 foot average.. dikhne mai prithvi ke hippos jaise magar 2 pair par chalte hai.. kafi hoshiyar aur taqatwar lekin sath hi darpok bhi.. tum logo ke pehle dushman...'' zetron ne us alien ke bare mai bataya.
Sab us alien ko gaur se dekh rahe the ki achanak zetron ne chutki bajayi aur stimulation khatam ho gaya.
Iske baad wo buttons ke sath dubara khelne laga aur screen par dusra planet aa gaya. Jaha pehle wala thoda brownish tha wahi ye wala bilkul yellow tha.
Dubara stimulation shuru ho gaya to is baar wo ek registan mai the.
''Ye hai planet 'Ghaman'.. ek registani grah jaha ke logo ko 'Ghamanins' kaha jata hai.. technology ke mamle mai ye bhi 'J' grade hai..'' zetron ne kaha aur phir waise hi hawa mai aakar banane laga. Jiske baad ek aur alien waha dikhayi dene laga.
''Ye hai ek 'Ghamanin'.. lambayi kareeb 5-6 foot average.. bilkul peela rang.. 4 hath.. chota sa muh lekin badi ankhe.. dikhne mai kafi ajeeb aur mote.. bahut hi samajhdar magar jhagdalu.. isliye aas-paas ke kisi bhi solar-system ke grah se banti nahi..'' zetron ne us alien nasl ka jeewan-parichay sunaya aur phir shant ho gaya. Wo log us alien ko thodi der dekhte rahe aur phir zetron ki chutki baji to wo wapas room mai the.Zetron ne phir kuch buttons dabaye aur ek aur naya planet screen par tha. Lekin is baar screen par aaya planet kafi alag tha. Ye apne surya ke kafi paas tha isliye jal raha tha lekin sirf aadha. Baki aadha barf se dhaka hua tha.
Screen zoom hone lagi aur zetron ka bol-bachhan phir shuru ho gaya.
''Ye hai planet 'Humio'.. Apne surya ke kafi kareeb hai magar sath hi tidally-locked bhi.. isi karan iska ek hissa hamesha surya ke samne rehta hai jaha temperature 2000 degree se bhi upar hota hai.. aur peeche wale hisse ka temperature -500 degree ke bhi neeche.. in dono hisso ke beech mai hi ek patla sa habitable zone hai jaha 'Humions' rehte hai.. technology mai ye bhi 'J' grade hai par inke paas kuch hathiyar aise hai jo 'Surak' ke paas bhi nahi hai..'' zetron ne kaha aur phir ek akaar banaya. Is baar samne aaya alien dekhne mai kafi patla aur lamba tha.
''Ye hai ek 'Humion'.. lambayi kareeb 8-9 foot average.. duble-patle bilkul safed.. surakians se bhi jyada hoshiyar aur aman-pasand lekin naya raja kafi lalchi aur nirdayi hone ke karan aur apne kathin jeewan se tang hone ke karan prithvi inke nishane par hai..''
Kuch der us 'Humion' ko dekhne ke baad zetron ki chutki baji aur wo wapas control room mai.
Ab bari thi unke sabse bade dushman yani 'Surak' ki. Kuch buttons dabane ke baad screen par naya planet dikhne laga. Dikhne mai ye prithvi se kafi bada tha aur ye bhi neela grah hi tha prithvi ki tarah. Screen zoom hone lagi aur wo ab ek city mai the jiski buildings kuch jyada hi uchi thi.
''Aur ye hai 'Surak'.. tumhara sabse bada dushman.. technology mai 'K' grade planet.. yaha kisi bhi cheez ki koi kami nahi.. universe ke sabse sundar planets mai se ek..'' zetron ne kaha aur phir hawa mai apne hath chalaye aur ek alien waha samne aa gaya.
''Ye hai ek 'Surakian'.. lambayi kareeb 6-7 foot.. kafi tagda shareer aur utna hi tagda dimag.. rang neela.. dikhne mai kafi kuch insaan jaise..koi kamzori nahi siway ek ke.. apna vayu-mandal bilkul shuddh hone ke karan prithvi ke pollution ko nahi seh sakte.. isliye ye hamesha apne life-suit mai hi dikhenge..'' surakians ka jeewan-parichay khatam hua to phir zetron ne chutki bajayi aur wo wapas control-room mai the.
Tabhi ek xemus-wasi waha aaya aur apni bhasha mai usne kuch kaha jise sunkar zetron ke chehre ke haaw-bhaaw badalne lage. Apni baat kehkar wo xemus-wasi waha se chala gaya.
''Tum logo ke liye ek buri khabar hai aur ek achhi khabar hai..'' zetron ne uske jaate hi kaha.
''Kyaaaa??'' Sabne ek sath poocha.
''Buri khabar ye hai ki abhi-abhi pata chala hai ki 'Fdaraks' aur 'Surakians' ek sath ho gaye hai.. aur achhi khabar ye hai ki unhone apne aur tumhare dushman 'Ghaman' grah par hamla kar diya hai.. 'Ghaman' ab nahi bach payega.. to tumhara ek dushman kam hua..'' zetron ne bataya jo abhi-abhi wo xemus-wasi use batakar gaya tha.
Achhi khabar utni achhi nahi thi jitni buri khabar buri thi isliye unke chehre latak gaye.
''Aur ek baat.. 'Ghaman' par hamla karne ke karan unki raftar kam ho gayi hai.. ab unhe prithvi pahuchne mai kam se kam 7 mahine lagenge.. lekin tumhari training ab turant shuru karni hogi..'' zetron ne unke udaas chehro ki or dekhte huye kaha.
''Lekin training hogi kab?? Aur kaise??'' Gaurav ne poocha.
''Tum logo ki training aaj hi shuru hogi.. lekin usse pehle tum sab ko kuch aur bhi milega..'' zetron ne kaha.
''Kyaaa??'' Sarang ne poocha.
''Aao mere sath..'' zetron ne kaha aur us room mai eek dusre control-board ki taraf chal diya. Wo bhi uske peeche-peeche chalne lage.
Us control-board par pahuchte hi zetron ne kuch buttons dabaye to is baar koi areal touch-screen nahi bani balki room ke beech mai se ek cabinet bahar aane laga. Uske andar tha ek shandar black color ka hi-tech suit.
''Ye raha tumhara dusra gift.. ye hai 'DJ-53G suit' lekin tum ise exo-suit keh sakte ho.. ye suit tumhari radiation, kayi tarah ki lazers, bullets se raksha karega.. ye bahut majboot hai isliye asani se phatega nahi.. artificial intelligence hone ke karan ladayi ke waqt tumhe guide bhi karega..'' zetron ne us exo-suit ki khoobiya ginayi.to be continued...
आप पढ़ रहे हैं
THE TIME MACHINE(IN HINDI)
Mystery / ThrillerSTORY BY WRITER NIKAS NIKAS:-Kya Time-Travel sambhav hai?? Kya koi samay mai peeche jakar apna past badal sakta hai. Ye kahani aise hi ek insaan ki kahani hai jisne ek hadse mai apna pyar kho diya aur phir use wapas pane ke liye time-machine tak ba...