11. The Dream Again & Exams
(Episode.11)
Hostel pahunchne ke baad bhi gaurav ke
dimag mai Dr. Gupta ki hi baatein goonj rahi thi. Kya
wakai past mai jana impossible hai?? Agar haa to
phir wo kya tha jo time machine ne use dikhaya
tha?? Kya wo sab sirf nazro ka dhokha tha?? Nahi..
nahi wo nazro ka dhokha nahi ho sakta.. agar aisa
hota to zetron hamare paas kyu aata.. wo asli time
machine thi isiliye to use waha aana pada..
Gaurav yahi sab soch raha tha ki achanak zetron ka
dhyan aate hi use IDT ka dhyan aaya.
Usne turant us device ko apni jeb se nikala aur use
gaur se dekhne laga.
Kya wakai is universe mai anginat dimensions
mojoud hai?? Kya is duniya ke pare bhi koi duniya
hai wo bhi bilkul is jaisi?? Kya wakai ye device is
duniya ki seemao ko laangh sakti hai??
Yahi sab sochte sochte kab gaurav neend ke agosh
mai kho gaya use khud pata na chala.
''Plz gaurav, wo mat karna warna tumhe jindagi
bhar pachtana padega..'' ek jani-pehchani si awaaj
gaurav ko sunayi di.
''K..k..kaun hai?? Kawya k..k..kya tum ho??'' Gaurav
lagbhag rote huye bola.
''Plz gaurav, wo mat karna warna tumhe jindagi
bhar pachtana padega..'' us awaaj ne phir wahi
dohraya.
''Kawya?? Kaha ho jaan?? Plz mujhe mat tadpao??
Kawyaaaa... Kawyaaaa...'' gaurav lagbhag cheekhte
huye utha.
''Abe kya ho gaya tha tujhe... neend mai hi badbada
raha tha..'' sarang uske paas hi khada tha.
''Kuch nahi... bura sapna tha...'' gaurav ko ye sapna
bilkul asli lag raha tha.
Ghadi ki aur dekha to wo boli, ''12:17 A.M''
Ye ghadi uski aur dekhte hi apne aap time bata deti
thi.
8 ghante se jyada time ho gaya tha gaurav ko soye
huye. Waise bhi pichhle kai dino se time machine ke
chakkar mai wo theek se soya nahi tha.
Aur ghadi dekhte hi use apna time travel yaad aa
gaya aur uske baad huya sara ghatna-kram bhi. Aur
phir achanak hi use IDT ki yaad aayi usne aas-paas
dhoonda par use wo kahi nahi dikha.
''Ise dhoond raha hai kya??'' Sarang achanak use
IDT dikhate huye bola.
''Haa.. par ye tere paas kaise??'' Gaurav ne hairani
se poocha.
''Jab tu so raha tha to ye tere bagal mai hi pada
huya tha.. aur ab ye tujhe exams ke baad hi
milega..'' sarang ne muskurate huye kaha.
''Kyu?? Ye mera hai.. la wapas de mujhe??'' Gaurav
kheejte huye bola.
''Ek baar keh diya na.. nahi milega matlab.. nahi
milega.. exam dene hai ki nahi?? Waise bhi time
machine ke chalte tu bilkul bhi nahi pada hai..''
sarang ne waise hi muskurate aur ballu gussa
dikhate huye kaha.
''Chal theek hai.. lekin Wada kar tu bhi ise istemal
nahi karega..'' gaurav ne haar mante huye kaha.
''Hmmmm...'' sarang ne bas itna kaha aur IDT ko
utha ke drawer mai rakh diya aur use lock kar diya.
to be continued...
आप पढ़ रहे हैं
THE TIME MACHINE(IN HINDI)
Mystery / ThrillerSTORY BY WRITER NIKAS NIKAS:-Kya Time-Travel sambhav hai?? Kya koi samay mai peeche jakar apna past badal sakta hai. Ye kahani aise hi ek insaan ki kahani hai jisne ek hadse mai apna pyar kho diya aur phir use wapas pane ke liye time-machine tak ba...