6.Time-machine is ready but...(Episode.6)

1K 10 0
                                    

THE TIME MACHINE (IN HINDI)

6.Time-machine is ready but...(Episode.6)
Jab tak machine ban nahi gayi gaurav ka man hamesha hi use rokne ki koshish karta tha. Gaurav ko to ab ye lagne laga tha ki uska man aur wo do alag-alag insaan hai jinki aapas mai behas hamesha chalti rehti hai. Gaurav ko pata hi nahi tha ki Uske man mai aise khayal kyu aate hai jabki wo machine banane ke liye maansik aur sharirik dono tarah se drid tha.

Kuch din baad...
Machine taiyar ho chuki thi bas ab use test karna baaki tha.
''Mai jaunga test karne..'' gaurav ne dridta se kaha.
''tu pagal ho gaya hai kya?? Kuch gadbad ho gayi to??'' sarang ne chintit hote huye kaha.
''Abe kuch nahi hoga.. machine sahi hi bani hai..'' gaurav poori tarah ashvast tha.
''To mai bhi sath chaloonga..'' sarang ne kaha.
''Lekin phir bhi machine test to karni hi chahiye..'' balwinder bhi pehle machine ko kaam karte dekhna chahta tha.
''lekin machine mai remote control system nahi hai.. kisi na kisi ko machine ko ander se hi operate karna hoga..'' gaurav ne kaha.
''Ek kaam karte hai.. machine ko 1 ghanta peeche le jate hai aur 2 second ka return timer set karte hai..
Agar machine ne kaam kiya to wo 2 second mai hi laut ayegi aur agar nahi to Andar wala banda bas 1 ghanta hi samay mai peeche rahega..'' sarang ne idea diya.
''Idea to achha hai.. lekin machine ko test mai hi karunga..'' gaurav bola.
''Chal theek hai.. best of luck..'' sarang ne usse kaha.
''Best of luck buddy..'' balwinder ne bhi use best of luck kaha aur gaurav machine ke control area mai ghus gaya aur gate band kar liya.
Machine dekhne mai badi ajeeb thi. Uske dono side par bade-bade antenna lage the aur peeche tachyons wali machines ke prototype lage the. Beech mai control area tha jisme ek chair thi aur Uske aage control board tha. Gaurav ne control board par maujood ek touch-screen par 1 ghanta pehle ka time set kiya yani 2 July 2021 1:47 P.M. aur return timer 2 second par set kiya. Uske baad kuch sochkar location set kar di.

Iske baad usne 'Go!' button ko jaise hi dabaya poori machine hilne lagi. Aur phir kuch hi seconds ke baad machine achanak hawa mai gayab ho gayi.
Sarang aur balwinder ankhe faad faad kar us jagah ko dekh rahe the jaha abhi thodi der pehle time-machine khadi thi.
Lekin wo abhi us jagah ko ghoor hi rahe the ki machine usi tarah hawa mai se achanak prakat ho gayi jaise gayab hui thi.
Andar gaurav vismay sa baitha tha. Jab machine ke control area ka gate kholkar dono ander ghuse to gaurav ekdum se chillyaya-
''Ye kaam karti hai.. ye sach mai kaam karti hai..''
''Achhaaa....'' dono ascharya aur khushi se ek sath bole.
''Kya dekha tune?? Machine kaha par le gayi thi?? Matlab lab mai hi thi ya kahi aur?? Hume to yaad nahi ki ghanta ghar pehle humne machine hawa mai se paida hoti dekhi ho??'' Balwinder ne ek hi saans mai saare sawal pooch liye.
''Relax.. bhai.. sab batata hu..'' gaurav ne kaha aur gheri saans lekar phir bola, ''machine hamare hostel ke room mai le gayi thi.. wo bhi ghanta bhar pehle ke..''
''Lekin waha kaise pahunch gayi?? Machine lab mai hi kyu nahi aayi?? Aur tujhe kaise malum wo ghanta bhar pehle ka hi room tha??'' sarang ne bhi ek hi saans li poori baat kehne ke liye.
''Kyuki maine hi wo location set ki thi.. tumhe to pata hi hai ki is lab mai koi wall clock nahi hai..
Time janne ke liye hi maine room ki location set ki thi.. aur waha pahunchte hi sabse pehle wall clock par hi najar ghumayi.. ab agar yaha lab mai hi aata to time kaise pata lagta wo bhi sirf 2 seconds mai hi??'' Gaurav ne samjhaya.
''Chalo.. koi baat nahi.. machine kaam kar rahi hai isse achhi baat aur kya ho sakti hai.. chalo papa ke paas chalte hai aur machine banne ki khushkhabri unhe sunate hai..'' sarang ne sari baat jaan kar tasalli se kaha.

''Rukkkoooo.....'' isse pehle gaurav kuch bolta peeche se aayi balwinder ki jordar awaaj ne uske kadam aur honth dono rok diye.
Peeche mudkar dekha to balwinder un par revolver taane khada tha.
to be continued...

THE TIME MACHINE(IN HINDI)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें