54. Secret Of Consulate

350 1 0
                                    

Episode 54
54.. Secret Of Consulate
''Kya prithvi khaas hai?? Beshak ye khaas hai.. ye sawal to tum logo ko bahut pehle hi pooch lena chahiye tha..'' zetron ne wapas aate huye kaha.
Sab dhyan se uski baat sunne lage. Aaj unhe ek aur bahut hi jaroori baat malum padne wali thi isliye sabka poora dhyan zetron ki taraf tha.
''Tum logo ne iridium ka naam to suna hi hoga??'' Zetron ne seedhe jawab dene ki jagah unhi se ulta sawal poocha.
''Bilkul suna hai.. balki isi ki vajah se to hamari time-machine bani thi.. tachyon machines mai yahi metal to tachyons ko shaant aur control karta tha.. lekin is baat ka prithvi ke khaas hone se kya relation??'' Jawab gaurav ne diya.
''Relation hai bachhe... relation hai... iridium apne aap mai aisa akela metal hai aur ye prithvi hi nahi poore universe mai hi bahut rare hai.. iski vajah hai ki ye prithvi par ya kisi bhi grah par naturally nahi banta.. ye sirf us grah par girne wale asteroids se hi milta hai.. aur prithvi un gine chune graho mai se ek hai jaha iridium asteroids se nikala jata hai.. baki ke graho par ya to ye hota nahi hai ya wo iske baare mai itna nahi jante.. aur jaha ye hota hi nahi waha iske baare mai koi sochta bhi nahi.. aur iske bina time-travel impossible hai..'' zetron ne detail mai bataya.
''Sochta nahi matlab??? Wo grah jo highly advanced hai wo to ise lab mai bana sakte hai na??'' Abki baar nikhil ne poocha.
''Tumhe example deta hu tabhi samajh mai aayega tum logo ko.. diamond tumhare yaha sabse sakht cheez maani jati hai.. lekin forbomium usse bhi 100 guna jyada sakht aur majboot hota hai.. lekin tumhare yaha forbomium ke baare mai koi nahi janta.. to jab koi janta hi nahi ki aisi bhi koi cheez ho sakti hai to wo use banayenge kaise??? Ek aur example dekho... Kya tumhe malum hai diamond ko melt karke agar steel aur plutonium ke sath mix kiya jaye to jo metal banega wo diamond se bhi 10 guna mazboot hoga aur had se jyada radioactive bhi... ab prithvi par iske is tarah kaam aane ke bare m koi nahi janta.. jab koi janta hi nahi to waise istemal bhi kaise karega???'' Zetron ne examples ke sath samjhaya. Sabke samajh mai aa gaya ki kyu prithvi khaas hai. Group mai se sirf neha hi aisi thi jo abhi bhi surakian hathyaro ke baare mai soch nahi thi aur man hi man dar bhi rahi thi.
Achanak zetron ko na jaane kya hua usne apne kapdo mai se ek lazer gun nikali aur turant neha par fire kar diya. Kisi ko sambhalne tak ka bhi mauka nahi mila aur wo lazer neha se takra chuki thi. Lekin neha ka shareer ab gahre hare rang mai chamak raha tha aur lazer ka us par koi asar nahi hua tha.
''Ye hai forbomium.. is universe ka sabse majboot padarth... is universe mai aisi koi cheez nahi jo ise bhed sake ya tod sake..'' zetron ne gun wapas apne kapdo mai rakhte huye kaha.
Sab aankhe faade kanji zetron ko to kabhi neha ko dekh rahe the jo abhi bhi gahre hare rang si chamak rahi thi.
''Lekin iske liye ye lazer shoot karne ki kya zaroorat thi??'' Nikunj ne naraz hote huye kaha aur bakiyo ne bhi uska samarthan kiya.
''Ye dari huyi thi.. abhi tak un hathyaro ke baare mai soch rahi thi.. aur iska forbomium kavach tabhi kaam karega jab ise dar lag raha ho aur koi is par attack kare.. isiliye maine lazer fire kiya jisse tumhe forbomium ka demo de saku aur ise bata saku ki team mai sabse safe yahi hai..'' zetron ne apna fire karne ka karan bataya.
''Aur waise bhi tumse jyada mujhe chinta hai tum logo ki.. mujhe tumse jyada malum hai ki kab kya karna hai.. samjhhheee...'' zetron ne aage thode sakht lahze mai kaha.
Uski baat sunkar sab bilkul khamosh ho gaye.
Zetron wapas kamre se bahar jane laga tabhi sarang ne ek aur sawal pooch liya.
''Zetronnn.... kya consulate ne bhi kabhi time-travel nahi kiya???''
Zetron ne palat kar uski taraf dekha aur sochne laga ki aaj isko ho kya gaya hai.
''Time-travel koi picnic nahi hai.. aur agar tumhe yaad ho to maine kaha tha ki hamare grah par bhi sirf gine-chune logo ko hi time-travel ki izazat hai... wo gine-chune log sirf consulate hi hai.. halaki unhe time-travel karte huye kisi ne nahi dekha... bas ek purani kahani chali aa rahi hai sadiyo se.. pata nahi sach bhi hai ya nahi..'' zetron ne wahi khade-khade jawab diya.
''Kaisi kahani zetron?? Kya tum hume suna sakte hai wo kahani??'' Gaurav ne poocha.
''Kehte hai ki shuru mai jab consulate ke ilawa is universe mai koi jinda cheez nahi thi tab ek baar consulate ke female part yani 'jamiri' ne ek bachhe ko janm diya tha.. koi nahi janta ki us bachhe ka koi pita bhi tha ya wo jamiri ki aseem taqato se bana tha lekin consulate ke baki dono hisso yani 'jamaro' aur 'jamron' ko ye bilkul pasand nahi aaya.. isliye unhone us bachhe ko time-travel ke jariye samay ki gehraiyo mai kahi chhupa diya.. lekin kaha jata hai ki jab wo bachha wapas aayega to consulate ki jagah wo is universe ko chalayega.. koi nahi janta ye sach hai bhi ya nahi.. aur agar sach hai to wo bachha kaha hai ye siway consulate ke koi nahi janta.. bas ek kissa hai aur kuch nahi..'' zetron ne wo kahani sunayi aur turant waha se gayab ho gaya bina un logo ka reaction dekhe.
''Badi anokhi kahani hai ye to... lagta hai ki is universe ki tarah consulate ke bhi kayi aise raaj hai jinhe koi nahi janta aur na kabhi jaan payega..'' sarang ne zetron ke gayab hote hi kaha.
''Wo to hai.. sirf consulate hi is baare mai kuch bata sakte hai.. lekin billi ke gale mai ghanti kaun bandhe.. unse poochne ki himmat kaun kare!!!'' Gaurav ne bhi uski haa mai haa milate huye kaha.
''Ye bekar ki baate chhodo aur ye socho ki is training ko kaise jhele.. isne to sabki haalat kharab kar rakhi hai.. kal kya karna hai waha aur kaise karna hai ye socho..'' neha ke sir par hath ferte huye nikhil ne kaha.
''Kal ki kal dekhenge.. abhi to filhaal mujhe neend aa nahi hai.. so good night...'' nikunj ne jamhai lete huye kaha.
''Abe kaahe ki good night.. ya to malum hi nahi chalta ki din kab hai aur raat kab..'' gaurav ne haste huye kaha aur usi tarah haste khelte unhone samay bitaya.

Agle din vayun unke paas aaya aur sabko 6th planet par le gaya. Jaise hi usne training start karne ke liye chutki bajayi sabhi log usi position par aa gaye jaha unhone kal chhoda tha. Gaurav wapas usi jagah par pahuch gaya jaha wo kal tha aur wo janwar usse kuch door khada use apne khaas andaz mai chida raha tha. Sarang ke samne wahi robot khada tha jo use uksane ke liye abhi bhi use khari-khoti suna raha tha. Nikunj jaha wapas usi machine par tha to wahi nikhil bhi door wahi tha us bawandar ke peeche. Kawya ke samne jaha phir se wahi phool the wahi neha ke upar wahi kaale baadal mandra rahe the.
Zetron ke itna sab kuch samjhane, dikhane aur is training ki ahmiyat batane ke baad bhi koi fark nahi pada. Sab ka pradarshan pehle din jaisa hi tha. Kisi ne bhi apna initial test paas nahi kiya.
Aur aise hi koshish karte-karte din par din gujarte jaa rahe the lekin haalat ab bhi wahi the. Kisi ko safalta nahi mili thi. Ab zetron ko lagne laga tha ki bina bahari madad ke ye log kabhi apni training khatam nahi kar payenge. Lekin wo chah kar bhi unki madad nahi kar sakta tha. Ek to ye seedhe-seedhe consulate ke aadesh ki khilafat hoti aur dusra use jo kaam consulate ne diya tha us par dhyan dena tha lekin use kuch na kuch to karna hi tha in logo ki madad karne ke liye.

Training ka 10va din:
Gaurav ko wo janwar tabhi dikhta jab wo thak kar choor ho jata aur wo use chidane ke liye aa jata. Ye bhi wahi pal tha. Gaurav baitha hua apni chadhi huyi saanse samhaal raha tha ki tabhi use zetron ki awaaj apne andar goonjti sunayi di.
''Tumhari shaktiya tumhe bhagne ke liye nahi di gayi hai.. us janwar ke peeche mat bhago balki use apne paas bulao.. teleport aur telekinesis jaisi shaktiyo ka istemal karo.. hypnotize karo us janwar ko apni shaktiyo se..''
Ye awaaj use batane ke liye kafi thi ki use kya karna hai.
to be continued...

THE TIME MACHINE(IN HINDI)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें