13. History Repeats Itself (Episode.13)

496 10 0
                                    

13. History Repeats Itself
(Episode.13)

Agle din gaurav aur sarang dono college ke baad seedhe hi nikhil se milne uske ghar chal diye. Unhe ye jankar dhakka sa laga tha ki nikhil ko college se restigate kar diya gaya hai. Akhirkar wo unka sabse achha dost tha. Aur sarang ke paas to ek vajah aur thi waha jane ki, aur wo thi neha se mulakat.
''Aur bhaiyo.. yaha ka rasta kaise bhool gaye.. itne dino baad..'' nikhil unhe dekhte hi chahkte huye bola.
''Ha bhai.. wo humne suna tujhe college se nikal diya kamino ne..'' gaurav ne andar aate huye hamdardi ke sath kaha.
''Bhai meri koi galti nahi thi.. usi harami ne mujhe uksaya tha.. aur us din mai vaise hi bahut pareshan tha..'' nikhil ne safai pesh ki.
''Koi baat nahi.. mai principal sir se baat karunga.. meri baat wo kabhi nahi talenge.. tera semester aur career mai barbaad nahi hone dunga..'' gaurav ne use dilasa dete huye kaha.
''Thanx yaar gaurav.. tu mera sachha dost hai..''
nikhil ne emotional sa hokar kaha.
''Abe wo bandariya kaha hai.. usse kuch baat karni thi..'' sarang ne seedhe apne matlab ki baat kahi aur phir safai si dene laga, ''k..k.. kuch notes lene the.. itne din college nahi aaye na isliye..''
''Upar hai.. apne room mai.. jakar lele 'notes'..'' nikhil ne haste huye kaha. Usne notes par thoda jyada hi jor dala jisse sarang ko laga ki uski chori pakdi gayi hai.
Neha apne room mai leti huyi kuch soch rahi thi jab sarang ne uske room mai kadam rakha.
''N..n..neha k..kaisi ho.. w... wo... kuch notes chahiye the..'' sarang ne haklate huye kaha. Neha ko dekhkar uski to halat hi kharab ho gayi thi.
''A..abhi d..d..deti hu..'' neha ki bhi sarang ko dekhkar sitti pitti gum ho gayi. Wo uthi aur jhuk kar apne bed ke paas padi books mai se kuch dhoondne lagi.
''N..n..neha kuch k..kehna tha tumse..'' sarang ab uske bilkul peeche aakar khada ho gaya tha.
Neha jaise hi khade hokar peeche mudi sarang se takra gayi. Dono bilkul amne samne ek dusre se chipak kar khade the.
Sarang ne uske gaal pe kiss kiya aur bola, ''I love you too..'' Itna kehte hi wo waha se turant bhaag liya. Do boond ansoo neha ki aankh se chhalak gaye.

Kuch Din Baad:
''Plz gaurav, wo mat karna warna tumhe jindagi bhar pachtana padega..''
Gaurav ko wahi sapna aaj phir se aaya aur wahi awaaj jo usse sirf yahi kehti.
Pichhle 7 dino se gaurav ko roj yahi sapna aa raha tha jisse gaurav ab kafi pareshan ho Chuka tha.
''Phir se wahi sapna aaya tha kya??'' Sarang ne pareshan baithe gaurav se poocha.
''Haa yaar... pata nahi kawya akhir kehna kya chahti hai..'' gaurav ne udaas sa hokar kaha.
''Kahi wo IDT ki baat to nahi kar rahi..'' sarang ne kuch der sochne ke baad kaha.
''Pata nahi yaar mujhe to kuch samajh nahi aa raha..'' gaurav ab bhi udaas tha.
''Achha sun.. aaj mai aur neha movie dekhne jaa rahe hai.. tu chalega kya?? tera bhi man bahal jayega..'' sarang ne kaha. Uske chehre par naye pyar ka khumar saaf jhalak raha tha.
''Nahi.. tu jaa.. mai kyu tum dono ke beech kebab mai haddi banu..'' gaurav bhi ab apni tension se bahar aa raha tha aur sarang ko ched raha tha.
''Lekin romance ke chakkar mai bhool mat jaiyo ki 10 din baad exam start ho rahe hai.. jaldi aa jaiyo..''
''Ha.. ha.. aa jaunga.. waise bhi kafi late ho gaya hu..''

Sarang jaldi jaldi taiyar hone laga jise dekhkar gaurav ki hansi nikal gayi.
''Has le beta.. has le.. aaj din hai tera.. saala tera sath rehte rehte teri let-latifi lagta hai mujhe bhi chad gayi..'' sarang banavti gussa dikhate huye bola.
Achanak gaurav ekdum shaant ho gaya. Wo kafi dara hua sa lag raha tha.
''K..k...kaha ja rahe ho tum m..m...movie dekhne..'' gaurav haklate huye bola.
''Green-wood mall.. lekin tujhe kya ho gaya?? hakla kyu raha hai??'' Sarang ne kaha.
Ab to gaurav ki shakal dekhne kayak thi. Wo lagbhag kaamp raha tha dar se. Aaj sabkuch waisa hi ho raha tha jaisa 6 mahine pehle huya tha jis din kawya ki hatya huyi thi. Wahi mall, wahi time, wahi movie ka plan, waisa hi late hona, phir waise hi jaldi jaldi taiyar hona, sabkuch waisa hi ho raha tha bas antar itna tha ki gaurav ki jagah is baar sarang tha aur kawya ki jagah neha.
''Mujhe kuch theek nahi lag raha bhai.. plz aaj mat jaa aur neha ko bhi phone kark e mana kar de..'' gaurav ne usse vinti ki.
''Kyu?? Kya ho gaya bhai?? Ab kyu bewajah kebab mai haddi ban raha hai??''
''Aaj sabkuch waisa hi ho raha hai jaisa us din hua tha jis din kawya..''gaurav atka aur phir bola, ''plz aaj mat jaa bhai.. aur neha ko bhi mana kar de phone karke..'' gaurav ab lagbhag ro raha tha.
''Theek hai.. theek hai.. ye ladkiyo ki tarah rona band kar.. mai abhi neha ko phone milata hu..'' kehkar sarang ne apna mobile nikala aur neha ko phone milane laga.
''Uska phone switched-off jaa raha hai..'' kuch der try karne ke baad sarang bola.
''Uss din kawya ka phone bhi switched-off jaa raha tha.. bhai ab to pakka kuch gadbad hai..'' gaurav ki chinta ab hakikat banti jaa rahi thi.
''Ab to mujhe bhi kuch theek nahi lag raha bhai.. chal mall hi chalkar dekhte hai kya ho raha hai..''
sarang bhi thoda chintit ho raha tha.
''Ha... chal..'' kehte huye gaurav taiyar hone laga. Idhar sarang ne bhi gaadi mai ek bag rakha jiski shayad jarurat pad sakti thi.

Kuch der baad Green-wood mall:
''Mujhe to neha kahi nahi dikh rahi.. use to maine yahi wait karne ko kaha tha..'' sarang ne pareshani mai idhar udhar dekhte huye kaha.
''Chal parking lot ke peeche chal ke dekhte hai.. ho... ho sakta hai waha ho..'' gaurav ne darte huye kaha.
Kawya ki hatya bhi to parking lot ke peeche hi huyi thi.
''Chal.. jaldi chal..'' kehte huye sarang parking lot ki aur lapak liya aur uske peeche peeche gaurav bhi.

Dono waha pahunche to dekha waha bhi koi nahi tha. Dono hairan pareshan se idhar udhar dekhte ja hi rahe the ki achanak ek awaaj waha goonji.
''Ise dhoond rahe ho kya??'' Ek admi neha ko pakde huye parking lot ke andhere kone se bahar aaya.
Usne nakab pehan rakha tha aur neha ki kanpati par revolver taan rakhi thi.
''Maine kaha tha na ki kuch na kuch gadbad jaroor hogi..''
to be continued...

THE TIME MACHINE(IN HINDI)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें