26. The Blue-Prints
Episode- 26
''Tum kawya se itna pyar kyu karte ho gaurav.. uske liye tum itna kuch kar gujar gaye ki ab ye kisi amar prem-kahani jaisa lagta hai..'' neha ne poocha.
''Chal bhai.. bahut der ho rahi hai.. waise bhi pehle hi kafi kuch bata diya hai isko..'' gaurav kuch kahe isse pehle hi sarang ne kaha. Usne ab bhi neha ki taraf apni peeth kar rakhi thi.
''Lagta hai.. ye abhi tak mujhse naraj hai..'' neha ne man hi man socha.
''Kyuki.... maine yahi chuna hai...'' gaurav ne bina sarang ki baat par react kiye neha ke sawal ka jawab diya phir kuch der rukkar kaha,''mai bina kawya ke jine ki kalpana bhi nahi kar sakta.. mera astitva usi se shuru aur usi par khatam hota hai.. yadi wo nahi to mai bhi nahi.. mujhe har haal mai wo wapas chahiye.. aur is maksad mai mere liye hadein mayne nahi rakhti..''
''Kash tum ye pyar mere sath baant sakte..'' neha halke se budbudayi.
''Kya kaha??'' Gaurav ne poocha halaki usne sun liya tha jo neha ne kaha tha.
''Kuch nahi..'' neha hadbadayi.
''Hum chal rahe hai ya nahi??'' sarang ne adheerta se phir toka. Wo jald se jald waha se nikalna chahta tha.
''Tum araam kar lo neha.. bahut thak gayi hogi.. mai tumhare liye kuch lau?? Chay ya coffee??'' Nikhil ne neha se poocha. Use to. pata hi nahi tha ki bhai-behan ka pyar kya hota hai. Itne saalo baad jab use uski behan mili to care to lazmi thi.
''No thanksss... tum log jao.. mai theek hu..'' neha ne kaha. Use to nikhil ke muh se aise shabdo ki kalpana bhi nahi thi. Phir achanak use dhyan aaya ye uska bhai hote huye bhi nahi uska bhai nikhil nahi hai.
''Are aise kaise.. itne bade ghar mai akeli kaise rahogi.. aur tabiyat bhi theek nahi hai tumhari.. dekha na abhi kaise behosh ho gayi thi.. jab tak tum bilkul theek nahi ho jati mai yahi rukunga.. tumhari dekh-bhal ke liye.. akhir mai bhi to tumhara bhai hi hu..'' nikhil ne pyar se uske sir par hath pherte huye kaha.
Itna pyar neha se asahniya tha.
''Theek hai bhaiya.. aap ruk jao..'' rote huye neha ne nikhil ke seene se lagkar kaha.
Mahaul kafi emotional ho gaya tha aur nikhil ki ankhe bhi bhar aayi thi isliye gaurav aur sarang ne chup-chap waha se nikalna hi behtar samjha.''Ye kahi yaha ke nikhil ko kuch na bata de..'' bahar aakar sarang ne gaurav se kaha.
''Nahi... mujhe nahi lagta ye use kuch bhi batayegi..'' gaurav ne kaha.
''Kyu?? Aisa kyu lagta hai tujhe??''
''Kyuki mera man yahi kehta hai.. pichli baar bhi isne apni marzi se nahi balki us kamine ke dhamkane par hi hamare sath natak kiya tha.. neha dil ki buri nahi hai.. bas halat bure the us waqt..''
''Mai janta hu bhai.. par ab mera man us par bharosa nahi kar sakta.. usne mere sath pyar ka jhootha natak kiya tha.. mujhe bas yahi yaad aata hai jab bhi mai usko dekhta hu..''
''Chalo kuch to yaad aata hai.. varna mujhe to laga teri yaddasht hi chali gayi hai dimag par chot lagne se..'' gaurav ne uska dhyan baatne ke liye majak kiya.
''Yaad mat dila yar us baat ko.. ab bhi dard hota hai poori body mai..''
''Chaliye sir ji... chalte hai yaha se.. blue-prints bhi to laane hai..'' gaurav ne phir majak kiya.
''Dobara wo naam na liyo warna mujhse bura koi nahi hoga.. samjhaaa... ab chal..'' sarang ne gusse se kaha. Use to ab is naam se hi chid ho gayi thi.
''Lekin wo blue-prints tune rakhe kaha hai.. mujhe to laga unhe sach mai zetron le gaya tha..'' raste mai sarang ne poocha.
''Dekh liyo.. apne aap pata chal jayega..'' gaurav ne muskurate huye kaha.''Yahhhhaaaaa??? Lekin kabbbb???'' Sarang ne ashcharya se kaha.
Wo dono Dr. Gupta ki lab ke bahar khade the.
''Us din jab zetron ke jane ke baad hum log jab Dr. Gupta se milne aaye the.. tabhi maine wo blue-prints yaha chupa diye the..'' gaurav ne bataya.
''Lekin yahi kyu??''
''Kyuki isse safe koi aur jagah nahi thi.. balwinder jail mai hai to wo yaha nahi aa sakta tha aur uske ilawa sirf Dr. Gupta hi yaha aate.. aur wo bhi us din colorado wapas jaa rahe the to mujhe laga yahi sabse safe rahega.. chal aaja lab mai ghusne ka intejam kare..'' gaurav ne kaha.
Unhe ek khidki dikhi. Gaurav ne pathhar markar uska kaanch phoda aur thodi hi der mai wo dono andar the.
''Milll gayyyeeee...'' ek almari se blue-prints nikalte huye gaurav ne kaha. Wo almari lab ke store room mai thi aur uska kafi kam istemal hota tha.
''Chal jaldi se wapas chalte hai neha ke ghar.. kahi koi hume yaha dekh na le.. aur us bhondu ko lekar wapas chalte hai 2nd dimension mai jald se jald..'' sarang ne kaha.
''Haa sach mai bhondu hi hai.. behan se kya mila diya pagal hi ho gaya hai.. bhondu kahi ka..'' gaurav ne haste huye kaha aur dono usi khidki se bahar aa gaye.
''Lekin wo itni jaldi chalega??? Mujhe nahi lagta itni asaani se wo neha se alag hoga.. dekha nahi kaisa ro raha tha ladkiyo ki tarah..'' raste mai chalte chalte sarang gaurav se bola.
''Alag kaise nahi hoga.. yaha use mai bas neha ko dekhne ke liye laya tha bas... na ki hamesha ke liye rakhi bandhwane ke liye.. saale bhondu ko jabardasti le jaunga..'' gaurav ne kutilta se haste huye kaha.Thodi hi der mai dono neha ke ghar pahuch gaye lekin waha koi nahi tha. Poora ghar khali tha. Dono ko kuch ajeeb laga. Unhone turant neha ka room check kiya to waha bhi koi nahi tha. Magar bathroom ke gate ke paas farsh par thoda khoon laga hua tha.
''Abe wo dekh... khooonnn...'' sarang ne gaurav ko farsh par pada khoon dikhate huye kaha. Khoon jyada nahi tha isliye gaurav ki najar mai nahi aaya tha.
Khoon dekhte hi uske hosh ud gaye. Man mai tarah tarah ke vichar aane lage. Kahi nikhil ne to kuch nahi kar diya neha ko, ya shayad neha ne hi nikhil ko kuch kar diya ho. Kya pata yaha wala nikhil aa gaya ho aur usi ne kuch gadbad kar di ho.
''Abe neha ka mobile nahi dikhi raha.. us par milakar dekh... shayad koi utha le.. malum to padega akhir adhe ghante mai hi yaha aisa kya ho gaya..'' sarang ne apni udhed-bun mai khoye gaurav ko jhakjhor kar kaha.
''Hmmm.... theek hai... ye idea achha hai..'' kehkar nikhil aas paas koi aur phone dhoodne laga kyuki unke apne mobile to in do dimensions ke chakkar mai kaha gum ho gaye the unhe khud hi nahi pata tha.
Nikhil(1st) ke room mai unhe ek mobile mil gaya jo nikhil(1st) ka hi tha lekin uski battery down thi. Unhone use charging par lagaya aur neha ka number dhoodne lage. Usme neha ka number saved tha to gaurav ne turant use milaya. 2-3 ring jane ke baad kisi ne uthaya aur gaurav usse baat karne laga.''Hume turant city hospital jana hoga..'' gaurav ne phone rakhte hi kaha.
to be continued...
आप पढ़ रहे हैं
THE TIME MACHINE(IN HINDI)
Mystery / ThrillerSTORY BY WRITER NIKAS NIKAS:-Kya Time-Travel sambhav hai?? Kya koi samay mai peeche jakar apna past badal sakta hai. Ye kahani aise hi ek insaan ki kahani hai jisne ek hadse mai apna pyar kho diya aur phir use wapas pane ke liye time-machine tak ba...